A Great song so deep, from the Classic Bollywood movie PYAASA 1957
Singer: Mohd. Rafi
Lyrics: Sahi Ludhiyanvi
Music Director: S D. Burman
Lyrics of the song:
Yeh Mehlon,Yeh Takhton,Yeh Taajon Ki Duniya,
Yeh Insaan Key Dushman Samaajon Ki Duniya,
Yeh Doulat Key Bhookhey Rawajon Ki Duniya,
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai.
Har Ek Jism Ghayal, Har Ek Rooh Pyaasi,
Nigahon Mein Uljhan, Dilon Mein Udaasi,
Yeh Duniya Hai Ya Aalam-e-Badhawasi,
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai.
Yahaan Eik Khilona Hai Insaan Ki Hasti,
Yeh Basti Hai Murda Paraston Ki Basti,
Yahaan To Jeevan Sey Hai Maut Sasti,
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai.
Jawaani Bhatakti Hai Badkaar Ban Kar,
Jawaan Jism Sajtey Hein Bazaar Ban Kar,
Yahaan Pyaar Hota Hai Byopaar Ban Kar,
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai.
Yeh Duniya Jahaan Aadmi Kuch Nahi Hai,
Wafa Kuch Nahi, Dosti Kuch Nahi Hai,
Yahaan Pyaar Ki Qadr Hi Kuch Nahi Hai,
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai.
Jala Do Isey, Phoonk Dalo Yeh Duniya.
Mere Saamne Se Hata Lo Yeh Duniya,
Tumhari Hai Tum Hi Sambhalo Yeh Duniya,
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai?
">