मंगलवार, 10 अगस्त 2010
A MILE STONE
1. Angdai Per Angdai Leti Hai Raat Judaaee Kee,
Tum Kya Samjho Tum Kya Jaano Baat Meri Tanhaayee Kee
Kaun Siyahi Ghol Raha Tha Waqt Ke Behte Dariya Mein,
Maine Aankh Jhuki Dekhi Hai Aaj Kisi Harjee Kee
Wasl Ki Raat Na Jaane Kyoon Israar Tha Unko Jaane Par,
Waqt Se Pehle Dhoob Gaye Taaron Ne Badi Daanaee Kee
Udte Udte Aas Ka Panchi Door Ufaq Mein Doob Gaya,
Rote Rote Baith Gayee Awaaz Kisi Saudaaee Kee
2. Apne Haathon Kee Lakiron Mein Basa Le Mujhko,
Main Hoon Tera To Naseeb Apna Bana Le Mujhko
Mujhse Too Poochne Aaya Hai Wafa Ke Maani,
Ye Teri Saadaa-dili Maar Na Daale Mujhko
Khud Ko Main Baant Na Daaloon Kahin Daaman-daaman,
Kar Diya Tune Agar Mere Hawaale Mujhko
Waada Fir Waada Hai Main Zehar Bhi Pee Jaaoon 'qateel',
Shart Ye Hai Koi Baahon Mein Sambhaale Mujhko
3. Dil Ko Gham-e-hayaat Ganwaara Hai In Dino,
Pehle Jo Dard Tha Wahi Chaara Hai In Dino
Ye Dil Zara Sa Dil Teri Yaadon Mein Kho Gaya,
Zarre Ko Aandhiyon Ka Sahara Hai In Dino
Tum Aa Sako To Shab Ko Badha Doon Kuch Aur Bhi,
Apne Kahe Mein Subho Ka Taara Hai In Dino
4. Pareshaan Raat Saari Hain Sitaron Tum To So Jaao,
Sukut-e-marg Taari Hai Sitron Tum To So Jaao
Hame To Aaj Ki Shab Poh Fate Tak Jaagna Hoga,
Yahi Kismat Hamari Hai Sitaron Tum To So Jaao
Hame Bhi Neend Aa Jayegi Hum Bhi So Hi Jayenge,
Abhi Kuchh Bekarari Hai Sitaron Tum To So Jaao
5. Pareshaan Raat Saari Hain Sitaron Tum To So Jaao,
Sukut-e-marg Taari Hai Sitron Tum To So Jaao
Hame To Aaj Ki Shab Poh Fate Tak Jaagna Hoga,
Yahi Kismat Hamari Hai Sitaron Tum To So Jaao
Hame Bhi Neend Aa Jayegi Hum Bhi So Hi Jayenge,
Abhi Kuchh Bekarari Hai Sitaron Tum To So Jaao
6. Sadma Hai Mujhe Bhi Ke Tujhse Juda Hoon Main,
Lekin Ye Sonchtaa Hoon Ke Ab Tera Kyaa Hoon Main
Bikhraa Pada Hai Tere Hi Ghar Mein Tera Wajood,
Bekaar Mehfilon Mein Tujhe Dhoondtaa Hoon Main
Naa Jaane Kis Adaa Se Liya Toone Mera Naam,
Duniya Samajh Rahee Hai Ke Sab Kuch Tera Hoon Main
Le Mere Tajurbon Se Sabak Ae Mere Raqeeb,
Do Chaar Saal Umr Mein Tujhse Bada Hoon Main
7. Tere Khushbuu Me.n Base Khat Mai.n Jalaataa Kaise
Pyaar Me.n Duube Huye Khat Mai.n Jalaataa Kaise
Tere Khat Aaj Mai.n Gangaa Me.n Bahaa Aayaa Huu.n
Aag Bahate Hue Paanii Me.n Lagaa Aayaa Huu.n
Jin Ko Duniyaa Kii Nigaaho.n Se Chhupaaye Rakhaa
Jin Ko Ik Umr Kaleje Se Lagaaye Rakhaa
Diin Jin Ko, Jinhe.n Iimaan Banaaye Rakhaa
Tune Duniyaa Kii Nigaaho.n Se Jo Bachkar Likhe
Saalahaa-saal Mere Naam Baraabar Likhe
Kabhii Din Me.n To Kabhii Raat Me.n Uthakar Likhe
Pyaar Me.n Duube Huye Khat Mai.n Jalaata Kaise
Tere Haatho.n Ke Likhe Khat Mai.n Jalaata Kaise
Tere Khat Aaj Mai.n Gangaa Me.n Bahaa Aayaa Huu.n
Aag Bahate Huye Paannii Me.n Lagaa Aayaa Huu.n
8. Tumhare Anjuman Se Uthke Diwane Kahaan Jaate,
Junba Basta Huye Hamse Wo Ab Sare Kahaan Jaate
Tumhari Berukhi Ne Laaj Rakh Li Waada-faan-e Ki,
Tum Aankhon Se Pila Dete To Paimane Kahaan Jaate
Chalo Achchha Hua Kaam Aa Gayi Diwaangi Apni,
Warna Ham Zamaane Bhar Ko Samjhaane Kahaan Jaate
9. Yeh Mojeza Bhi Mohabbat Kabhi Dikhaaye Mujhe,
Ke Sang Tujhpe Gire Aur Zakhm Aaye Mujhe
Wo Meharbaan Hai Tho Ikraar Kyoon Nahin Kartha,
Wo Badgumaan Hai Tho Sau Baar Aazmaaye Mujhe
Wo Mera Dost Hai Saare Jahaan Ko Hai Maaloom,
Daga Kare Wo Kisi Se Tho Sharm Aaye Mujhe
Main Apni Zaat Mein Neelam Ho Raha Hoon 'qateel',
Gham-e-hayaat Se Keh Do Khareed Laaye Mujhe
Manvendra Singh