मंगलवार, 17 अगस्त 2010

CLOSE TO MY HEART

1. Dukhi Man Mere, Sun Mera Kehna,
Jaha Nahi Chaina, Waha Nahi Rehna,


Dard Hamara Koi Na Jane,
Apni Garaj Ke Sab Hai Deewane,


Kis Ke Aage Rona Roye,
Desh Paraya Log Begane,


Lakh Yaha Jholi Phaila Le,
Kuch Nahi Denge Yeh Jag Wale,


Patthar Ke Dil Mom Na Honge,
Chahe Jitna Neer Bha Le




2. Ek Pyaar Ka Naghma Hai, Mojo Ki Rawani Hai,
Zindagi Aur Kuch Bhi Nahi, Teri Meri Kahani Hai,


Kuch Pakar Khona Hai, Kuch Kho Kar Pana Hai,
Jeewan Ka Matlab To, Aana Aur Jana Hai,


Do Pal Ke Jeewan Se, Ek Umr Churani Hai,
Zindagi Aur Kuch Bhi Nahi, Teri Meri Kahani Hai,


Tu Dhar Hai Nadiya Ki, Main Tera Kinara Hu,
Tu Mera Sahara Hai, Main Tera Sahara Hu,


Aankho Mein Samandar Hai, Aashao Ka Pani Hai,
Zindagi Aur Kuch Bhi Nahi, Teri Meri Kahani Hai






3. Jane Who Kaise Log The,
Jinke Pyar Ko Pyar Mila,


Humne To Jab Kaliya Mangi,
Kanto Ka Har Mila,


Khushiyo Ki Manjil Dhundi To,
Gum Ki Dard Mili,


Chahat Ke Nagme Chahe To,
Aanhe Sard Mili,


Dil Ke Bojh Ko Dugna Kar Gaya,
Jo Gum Par Mila,


Bichad Gaya Har Saathi De Kar,
Par Do Pal Ka Saath,


Kis Ko Phursat Hai Jo Thame,
Deewane Ka Haath,


Hum Ko To Apna Saaya,
Aksar Bezar Mila,


Is Ko Hi Jina Kahte Hai To,
Yuh Hi Ji Lege,


Uf Na Karenge Lab Se,
Yuh Hi Ansu Pi Lenge,


Gum Se Ab Ghabrana Kaisa,
Gum Soo Bar Mila





4. Kahin Door Jab Din Dhal Jaye,
Sanjh Ki Dulhan Badan Churaye,
Chupke Se Aaye,


Mere Khayalo Ke Agan Mein,
Koi Sapno Ke Deep Jalaye,


Kab Yuhi Jab Hui Bojhal Saanse,
Ghar Aayi Baithe Baithe Jab Yuhi Aakhe,


Kabhi Machalti Pyar Se Chalti,
Chuye Koi Mujhe Par Nazar Na Aaye,


Kahi To Yeh Dil Kabhi Mil Nahi Pate,
Kahi Se Yeh Nikal Aaye Janmo Ke Nate,


Hai Mithi Ulzhan Bairi Apna Man,
Apna Hi Hoke Sahi Dard Paraye,


Dil Jane Mere Bhed Yeh Gehre,
Ho Gaye Kaise Mere Sapne Sunhere,


Yeh Mere Sapne Yehi To Hai Apne,
Mujh Se Juda Na Honge Inke Saaye






5. Seene Mein Sulagte Hain Aarman,
Aakho Mein Udasi Chayi Hai,


Yeh Aaj Tumhari Duniya Se Hame,
Takdir Kaha Le Ayi Hai,


Kuch Aakh Mein Aansu Baki Hai,
Jo Mere Gum Ke Saathi Hai,


Ab Dil Hai Na Dil Ke Aarman Hai,
Bas Main Ho Meri Tanhai Hai,


Na Tuzhse Gila Hai Koi Hum Ko,
Na Koi Shikayat Duniya Se,


Tu Chaar Kadam Manjil Thi,
Kismat Ne Thokar Kahi Hai,


Ek Aisi Aag Lagi Man Mein,
Jine Bhi Na De Marne Bhi Na De,


Chup Ho To Kaleja Jalta Hai,
Bolu To Teri Ruswai Hai




6. Tasveer Banata Hoon, Tasveer Nahi Banti,
Tasveer Nahi Banti,


Ek Khawab Sa Dekha Hai, Tabeer Nahi Banti,
Tasveer Nahi Banti,


Bedard Mohabat Ka, Itna Sa Hai Afsana,
Nazro Se Mili Nazre, Main Ho Gaya Deewana,


Ab Dil Ke Behlne Ki Takdir Nahi Banti,
Tasveer Nahi Banti,


Dam Bhar Ke Liye Meri, Duniya Mein Chale Aayo,
Tarsi Hui Aankho Ko, Phir Sshakal Dikha Jayo,


Mujhse To Meri Bigdi, Takdir Nahi Banti,
Tasveer Nahi Banti






7. Teri Duniya Mein Jeene Se,
To Behtar Hai Ke Mar Jaaye,


Wahi Ansu Wahi Aankhe,
Wahi Gum Hai Kidhar Jaaye,


Koi To Aisa Ghar Hoga,
Jaha Se Pyaar Mil Jata,


Wahi Begane Chere Hai,
Jaha Phuche Jidhar Jaye,


Are O Asma Wale Bata,
Isme Bura Kya Hai,


Kushi Ke Chaar Jhoke Agar,
Idhar Se Jo Guzar Jaye




8. Waqt Ne Kiya Kya Hasin Sitam,
Tum Rahe Na Tum, Hum Rahe Na Hum,


Bekarar Dil Is Tarha Mile,
Jaise Kabhi Hum Juda Na The,


Tum Bhi Kho Gaye, Hum Bhi Kho Gaye,
Ek Rah Par Chalke Do Kadam,


Jayenge Kaha Sochta Nahi,
Chal Pade Magar Raasta Nahi,


Kya Talash Hai Kuch Pata Nahi,
Bun Rahe Hai Din Khawab Tan Badan




9. Yaad Kiya Dil Ne Kaha Ho Tum,
Zhumti Bahar Hai Kaha Ho Tum,
Pyar Se Pukar Lo Jaha Ho Tum,


O Kho Rahe Hai Aaj Kis Khayal Mein,
O Dil Phasa Hai Bebasi Ke Jaal Mein,
Matlabi Jaha Mehrban Ho Tum,


O Tum Hamari Zindagi Ke Bagh Ho,
O Tum Hamari Rah Ke Chirag Ho,
Mere Liye Aasma Ho Tum




10. Yeh Nayan Dare Dare, Yah Jaam Bhare Bhare,
Mujhe Pine Do, Kal Ki Kise Khabar,
Ek Raat Ruke Idhar, Mujhe Jine Do,


Raat Hansi Yeh Chand Hansi,
Tu Sabse Hansi Mera Dilbar,
Aur Tuzse Hansi Tera Pyar,
Tu Jane Na,


Pyar Mein Hai Jeevan Ki Khushi,
Deti Hai Khushi Kayi Gum Bhi,
Main Maan Bhi Lu, Kabhi Haar,
Tu Mane Na