kyun, meri raahein,
mujhse poochhen ghar kahan hai
kyun mujhse aake
dastak pooche dar kahan hai
raahein aise inki manzil hi nahin
dhoondho mujhe ab main rehta hoon wahin
dil hai kahin aur dhadkan hai kahin
saansen hai magar kyun zinda main nahin
ret bani haathon se yoon beh gayi
takdeer meri bikhri har jagah
kaise likhoon phir se nayi daastan
gham ki syahi dikhti hai kahan
aahen jo chuni hain meri thi raza
rehta hoon kyun phir khud se hi khafa
aisi bhi hui thi mujhse kya khata
tune jo mujhe di jeene ki saza
kyun........
bande tere mathe pe hain jo khinche
bas chand lakeeron jitna hai jahan
aansoo mere mujhko mita de rahe
rab ka hukum na mit-ta hai yahan
raahein aise inki manzil hi nahin
dhoondho mujhe ab main rehta hoon wahin
dil hai kahin aur dhadkan hai kahin
saansen hai magar kyun zinda main nahin
kyun main jaagoon, aur wo sapne bo raha hai
kyun mera rab yoon, aankhen khole so raha hai..