THE LATEST
- Charaag Aaftaab Gum, Badi Haseen Raat Thee
Shabaab Ki Naqaab Gum, Badi Haseen Raat Thee
Mujhe Pila Rahe The Wo Ke Khud Hi Shamma Bujh Gayee
Gilaas Gum, Sharaab Gum, Badi Haseen Raat Thee
Likha Tha Jis Kitaab Mein Ke Ishq To Haraam Hai
Huyee Wohi Kitaab Gum, Badi Haseen Raat Thee
Labon Se Lab Jo Mil Gaye, Labon Se Lab Hi Sil Gaye
Sawaal Gum, Jawaab Gum, Badi Haseen Raat Thee
- Jis Mod Par Kiye The Hum Intejaar Barson
Us'se Lipat Ke Roye, Deewana-waar Barson
Tum Gulsitan Se Aaye Zikre Khizaan Hilaaye
Humne Kafas Mein Dekhi Fasle Bahaar Barson
Hoti Rahee Hai Yun To Barsaat Aasuon Kee
Uth'te Rahe Hain Phir Bhi Dil Se Gubaar Barson
Wo Sang-e-dil Tha Koi Begaana-e-wafa Tha
Karte Rahen Hai Jiska Hum Intezaar Barson
- Dhal Gaya Aaftaab Ae Saaqi
La Pila De Sharaab Ae Saaqi
Ya Suraahi Laga Mere Mooh Se
Ya Ulat De Naqaab Ae Saaqi
Maikada Chod Kar Kahan Jaaoon
Hai Zamana Kharaab Ae Saaqi
Jaam Bhar De Gunaahgaaron Ke
Ye Bhi Hai Ik Sawaab Ae Saaqi
Aaj Peene De Aur Peene De
Kal Karenge Hisaab Ae Saaqi
- Shayad Main Zindagi Ki Sahar Le Ke Aa Gaya
Qaatil Ko Aaj Apne Hi Ghar Le Ke Aa Gaya
Taa Umr Dhoondta Raha Manzil Main Ishq Ki
Anjaam Ye Ke Garde Safar Le Ke Aa Gaya
Nashtar Hai Mere Haath Mein Kaandhon Pe Maikada
Lo Main Ilaaje Dard-e-zigar Le Ke Aa Gaya
'faakir' Sanam Maikade Mein Na Aata Main Lautkar
Ik Zakhm Bhar Gaya Tha Idhar Le Ke Aa Gaya
- Dil Ke Deewaron Dar Pe Kya Dekha
Bas Tera Naam Hi Likha Dekha
Teri Aankhon Mein Humne Kya Dekha
Kabhi Qaatil Kabhi Khuda Dekha
Apnee Soorat Lagi Paryee Si
Jab Kabhi Humne Aa'inah Dekha
Haaye Andaaz Tere Rukne Ka
Waqt Ko Bhi Ruka Ruka Dekha
Tere Jaane Mein Aur Aane Mein
Humne Sadiyon Ka Faasila Dekha
Phir Na Aaya Khayaal Zannat Ka
Jab Tere Ghar Ka Raasta Dekha
- Uss Mod Se Shuru Karen Phir Ye Zindagi
Har Shay Jahan Haseen Thee, Hum Tum The Ajnabi
Lekar Chale The Hum Jinhe Jannat Ke Khwaab The
Phoolon Ke Khwaab The Wo Mohabbat Ke Khwaab The
Lekin Kahan Hai Unmein Wo Pehle See Dilkashi
Rehte The Hum Haseen Khayaalon Ki Bheed Mein
Uljhe Huye Hain Aaj Sawaalon Ki Bheed Mein
Aane Lagi Hai Yaad Wo Fursat Ki Har Ghadi
Shaayad Ye Waqt Humse Koi Chaal Chal Gaya
Rishta Wafa Ka Aur Hi Rangon Mein Dhal Gaya
Ashkon Ki Chandini Se Thee Behtar Wo Dhoop Hi
- Ye Daulat Bhi Le Lo, Ye Shohrat Bhi Le Lo
Bhale Cheen Lo Mujhse Meri Jawaani
Magar Mujhko Lauta Do Bachchpan Ka Saawan
Wo Kaagaz Ki Kasthi Wo Baarish Ka Paani
Mohalle Ki Sabse Nishaani Purani
Wo Budhiya Jise Bachche Kehte The Naani
Wo Naani Kee Baaton Mein Pariyon Ka Dera
Wo Chehre Ke Jhuriyon Mein Sadiyon Ka Phera
Bhulaaye Nahin Bhool Saqta Hai Koi
Wo Choti See Raaten Wo Lambi Kahaani
Kadi Dhoop Mein Apne Ghar Se Nikalna
Wo Chidiya Wo Bulbul Wo Thithli Pakadna
Wo Gudiya Ki Shaadi Pe Ladna Jhagadna
Wo Jhoolon Se Girna, Wo Gir Ke Sambhalna
Wo Pithal Ke Challon Ke Pyaare Se Tho'fe
Wo Tuti Hui Chudiyon Ki Nishaani
Kabhi Re't Ke Oonche Tilon Pe Jaana
Gharonde Banana, Banaake Mitaana
Wo Maasoom Chaahat Ki Tasveer Apni
Wo Khwabon Khilono Ki Taabir Jaageer Apni
Na Duniya Ka Gham Tha Na Rishton Ke Bandhan
Badi Khoobsoorat Thi Wo Zindgaani
- Zindagi Tujhko Jiya Hai Koi Afsos Nahin
Zehar Khud Maine Piya Hai Koi Afsos Nahin
Maine Mujrim Ko Bhi Mujrim Na Kaha Duniya Mein
Bas Yahi Zurm Kiya Hai Koi Afsos Nahin
Meri Kismat Mein Jo Likkhe The Unhi Kaanton Se
Dil Ke Zakhmon Ko Seeya Hai Koi Afsos Nahin
Ab Gire Sang Ke Sishon Ki Hoon Baarish 'faakir'
Ab Kafan Odh Liya Hai Koi Afsos Nahin