शनिवार, 22 अक्तूबर 2011

Dard rukhta nahi eak pal bhi..

Udasiyan jo na late to or kya karte,
Na jashn-e-shola manate to or kya karte,
Andhera mangne aaya tha roshni ki bhikh,
Hum apna ghar na jalate to or kya kare.

Dard rukhta nahi eak pal bhi,
Ishq ki ye saza mil rahi hai
Mowt se pahle hi mar gaye ham,
Chot najron ki aisi lagi hai..

Bewafa itna ahsaan kar de,
Kam se kam ishq ki laaz rakh le,
Do kadam chal ke kandha to de de,
Tere aashiq ki mayyat uthi hai..

Raat katati hai gin gin ke tare,
Neend aati nahi eak pal bhi,
Aankh lagti nahi ab humari,
Aankh us but se aisi lagi hai.

Do kadam rah gaya tha kinara,
Yak bayak aake mowjo ne ghera,
Dekho ay ahle shahil tamasha,
Meri kashti kaha dubti hai..

Is kadar mere dil ko nichida
Eak qatra lahu ko na chhoda
Jagmagati hai jo unki silwat,
Wo mere khoon ki roshni hai..

Ladkhdata huwaj jabhi nadan,
Unki rangi mahfil me pohcha,
Dekh kar mujhko logo se bola,
Ye wahi bewafa aadmi hai..