शनिवार, 7 अप्रैल 2012

Sun bhai sadho vol 2 by Pt . Bhimsen Joshi,



Sangat santan ki karle

Listen to Sangat santan ki karle

Lyrics-

Sangat santan ki karle janma ka sarthak karle
uttam nar deh paya prani iska hit kacchu kar le
sadguru sharan jake baba janma maran door karle
kahan se aaya kahan jaavega ek kuchh malum karna
do din ki zindagani ban mein hoshiyaar ho ke chalna
kaun kisi ke zoru ladke kaun kisi ke saale
jab lag pallu mein paisa bhai tab lag meetha bolen
kahat kabira suno bhai sadho baar baar nahi laana
apna hit kacchu kar kar le bhai aakhir akela jaana

Naam japan kyu chhod diya

Listen to naam japan kyu chhod diya

Lyrics-

Naam japan kyu chhod diya
krodh na chhoda jhoot na chhoda
satya bachan kyu chhod diya
jhhute jag mein dil lalchakar
asal vatan kyun chhod diya
kaudi ko to khoob sambhala
lal ratan kyu chhod diya
jin sumiran se ati sukh paave
tin sumiran kyu chhod diya
khalish ek bhagwaan bharose
tan man dhan kyu na chhod diya

Sab paise ke bhai

Listen to Sab paise ke bhai

Lyrics-

Sab paise ke bhai dil ka sathi nahi koi
khane peene ko paisa hove to joru bandagi kare
ek din khana nahi mile to phir ke zawab kare
bhai bandhu aur bahin saale sab paise ke bhai
ko na kisi ka nahi re pyare kahat kabir sunayi

Darshan dena pran piyare

Listen to darshan dena pran piyare

Lyrics-

darshan dena pran piyare
nandlala mere naino ke pyare
deenanath dayal sakal guna
nava kishore sundar mukh wale
manmohan man rukat na rokyo
darshan ki chit chah humare
rasik khushal milan ki aasha
nisdin sumiran dhyan lagave

Mat kar moh tu

Listen to Mat kar moh tu

Lyrics-

Mat kar moh tu hari bhajan ko maan le
nayan diye darshan karne ko
shravan diye sun gyan re
vadan diya hari gun gaane ko
haanth diye kar daan re
kahat kabir suno bhai sadho
kanchan nipajat khan mein