बुधवार, 25 अप्रैल 2012

Premanjali Pushpanjali - By Hari Om Sharan Ji


Premanjali Pushpanjali


By Hari Om Sharan Ji




Vasudevsutam Devam Kans Charur Mardanam
Devaki Paramanandam Krishnam Vande Jagadgurum

Aarti Kunj Bihari Ki
Shri Girdhar Krishna Murari Ki
Gale Mein Baijanti Mala, Bajave Murali Madhur Bala
Shravan Mein Kundal Jhalakala,
Nand Ke nand, shri anand kand, Mohan brijchand
Radhika Raman bihari ki
Shri Giradhar Krishnamuraari Ki
Aarti Kunj Bihari ki ...

Gagan Sam Ang Kanti Kali, Radhika Chamak Rahi Aali
Ratan Mein Thadhe Banamali
Bhramar Si Alak, Kasturi Tilak, Chandra Si Jhalak
Lalit Chavi Shyama Pyari Ki
Shri Giradhar Krishnamuraari Ki
Aarti Kunj Bihari Ki ...

Kanakmaya Mor Mukut Bilse, Devata Darsan Ko Tarse
Gagan So Suman Raasi Barse
Baje Murchang, Madhur Mridang, Gwaalin Sang
Atual Rati Gop Kumaari Ki
Shri Giradhar Krishna Murari Ki
Aarti Kunj Bihari Ki....

Jahaan Se Pragat Bhayi Ganga, Kalush Kali Haarini Shri Ganga,
Smaran Se Hot Moh Bhanga
Basi Shiv Shish, Jataa Ke Biich, Harei Agh Kiich;
Charan Chhavi Shri Banvaari Ki.
Shri Giradhar Krishnamuraari Ki…
Aarti Kunj Bihari Ki...

Chamakati Ujjawal Tat Renu, Baj Rahi Vrindavan Benu
Chahu Disi Gopi Gwaal Dhenu
Hansat Mridu Mand, Chandani Chandra, Katat Bhav Phand
Ter Sun Diin Bhikhaarii Kii
Shri Giradhar Krishnamuraari Ki
Aarti Kunj Bihari Ki

  
Aisa Pyar Baha De Maiya charnon se lag jaau main
sab andhkaar mita de maiya daras tera kar paun main
Jag mein aakar jag ko maiya ab tak na pehchaan saka
kyu aaya hoon kahan hai jana yeh bhi main na jaan saka
tu hai agam agochar maiya kaho kaise lakh paun main
kar kirpa jagdamb bhavani main balak naadaan hoon
nahi aaradhan jap tap jaanoon main avaguna ki khan hoon
de aisa vardaan hey maiya sumiran tera gaaun main
main balak tu maiya meri nis din teri ot hai
teri kirpa mein hi mere bhitar jo bhi khot hai
sharan laga le mujhko maiya tujhpe bali bali jaaun main


Data ek ram bhikhari saari duniya 
raam ek devata pujari saari duniya 

dware pe uski jaake koi bhi pukarta 
param kripa de apni bhav se ubarta
aise deenanath pe balihari saari duniya

do din ka jeevan prani kar le vichar tu
pyare prabhu ko apne man mein vichar tu
bina hari naam ke dukhiyari saari duniya

naam ka prakaash jab antar jagayega
pyare shreeram ka tu darshan payega
jyoti se uski hai ujiyari sari duniya

Listen to Maili Chadar Odhke Kaise

maili chadar odh ke kaise dwar tumhare aaun
hey pawan parmeshwar mere man hi man sharmaoon

tune mujhko jag mein bheja nirmal dekar kaya
aakarke sansaar mein maine isko daag lagaya
janam janam ki maili chadar kaise daag chhudaun

nirmal vaani paakar tujhse naam na tera dhyaya
nain mund kar hey parmeshwar kabhi na tujhko dhyaya
man veena ki taaren tooti ab kya geet sunaun

in pairon se chalkar tere mandir kabhi na aaya
jahan jahan ho puja teri kabhi na sheesh jhukaya
hey harihar main haar ke aaya ab kya haar chadhaun


Man maila aur tan ko dhoye
phool ko chahe kante boye

kare dikhava bhakti ka tu ujli odhe chadariya
bhitar se man saaf kiya na bahar manje gagariya
parmeshwar nit dwar pe aaya tu bhola raha soye

kabhi na man mandir mein tune prem ki jyot jalayi
sukh paane tu dar dar bhatke janam hua dukhdayi
ab bhi naam sumir le hari ka janam vritha kyu khoye

swanson  ka anmol khajana din din lutata jaye
moti lene aaya tat pe seep se man behlaaye
saancha sukh to paye sharan prabhu ki hoye



Prabhu humpe daya karna kripa karna daya karna
Prabhu humpe kripa karna prabhu humpe daya karna
vaikunth to yahi hai hirdaya mein raha karna

Gunjenge raag bankar veena ki taar banke
pragato mein naath mere hirdaya mein pyaar banke
har aadmi ki dhun pe swar ban ke utha karna

Naachenge mor bankar hey shyam tere dware
ghanshyam chhaye rehna ban kar ke megh taare
amrit ki dhaar bankar pyason pe daya karna

Tere viyog mein hum din raat hain udaasi
apni sharan mein le lo hey naath vraj ke vaasi
tum so hum shabd bankar pranon mein rama karna


Shree radhey govinda man bhaj le hari ka pyar anaam hai
gopala hari ka pyara naam hai nandlala hari ka pyara naam hai

mor mukut sir dalban mala kesar tilak lagaya
vrindavan ki kunj galin mein sabko naach nachaya

Yamuna kinare dhenu charave maadhav madan murari
madhur muraliya jabhi bajaave har le sudh budh saari

Giridhar naagar kehti meera sur ko shyamal bhaya
Tukaram aur Naamdev ne vitthal vitthal gaaya

Radha shakti bina na koi shyamal darshan paave
aaradhan kar radhe radhe kanha bhaage aave


charan shara maein aaye ke karoon tihar dhyan
sankat se raksha karo pavan putra hanuman
durgam kaaj banaya ke kinhe bhakt nihal
ab mori binati suno hey anjani ke laal
haath jod vinati karoon suno beer hanuman
kaston se raksha ram bhakti bhakti dehu daan
pawan putra hanuman
bolo pavan sut hanuman ki jai !
  

Vighna haran  gauri ke nanadan sumir sada sukhdayi re
tulsidas jo ganapati sumire re koti vighna tal jayi re
ved puran katha se pehle jo sumire sukhdayi re
astha siddhi nav nidhi lakshmi man isksha phaldayi re

Sukh varan prabhu narayana hey
dukh haran prabhu narayana hey
trilok pati data sukhdhaam
sweekaro mere parnaam

man vaani mein woh shakti kahan jo mahima tumhari gaan kare
hey agam agochar avikari nirlep ho har shakti se pare
hum aur to kuchh bhi jaane na keval gaaten hain paavan naam

aadi madhya aur ant tumhi aur tum hi atma adhare ho
bhakton ke tum pran prabhu is jeevan ke rakhvare ho
tumame jive janme tumme aur ant kare tumme vishram

charan kamal ka dhyan dharoon aur pran karen sumiran tera
deenashraya deenanath prabhu bhav bandhan kato hari mera
sharnagat ke shyam hari hey nath mujhe tum lena thaam


Ram naam sohi jaaniye jo ramta sakal jahan
Ghat ghat mein jo ram raha usko ram pehchaan

Tera raam ji karenge beda paar udasi man kahen ko dare
udasi man kahen ko dare

naiya teri Ram hawale lehar lehar hari aap sambhale
hari aap hi uthaven tera bhaar udasi man kahe ko dare

kaabu mein majhdhaar usi ke haathon mein patwaar usi ke
teri haar bhi rahi hai teri haar udasi man kahen ko dare

sahaj kinara mil jaayega param sahara mil jaayega
dori saup ke to dekh ik baar udasi man kahen ko dare


yeh garv bhara mastak mera prabhu charan dhool tak jhukne de
ahankaar vikaar bhare man ko nij naam ki maala japne de

main man ke mail ko dho na saka yeh jeevan tera ho na saka
main premi hoon itna na jhuka gir bhi jo padun to uthne de

main gyan ki baaton mein khoya aur karam heen ban kar soya
jab aankh khuli to man roya jag soye mujhko jagne de

jaisa bhi hooon main khota ya khara nirdosh sharan mein aa to gaya
ek baar keh de khali ja ya preet ki reet jhalakane de


Premanjali Pushpanjali By Hari Om Sharan ji with lyrics,