रविवार, 27 मई 2012

Shyam Teri Yaad Mein Album By Hari Om Sharan ji And Nandini haran ji



Om Shree ram


Om shree ram jai ram jai jai ram (keertan)

Kahin Sajan


Kahin saajan tumhe paakar hridaya madir mein laun main 
Kahin pal do pal palkon ke tumhe andar chhipa loon main

Tumhe phoolon mein hai paya, tumhe rangon mein hai dekha  
Ulajh jaati hain daman se tumhe kaanton mein paaun main

Hansi ban ke labon par ho Khushi dil ki tumhi to ho
Chhalk aati hai aankhon mein kabhi milna jo chahun main 

Amar jyoti ho tum mohan  tumhi seha jagat roshan
tumhi bate parvane agar deepak jalaunmain

Ye Tan Man Jeevan


Yeh tan man jeevan sulagh uthe koi aisi aag lagaye re
din dooni ho birah vedana pal bhar chain naa aaye re

Aisi lou hari naam ki laage re rah na jaaye re mera naam
man vaani se ram pukarun tan se ho bhagwat katham
hari ka so rah jaaye aur mera sab jal jaaye re

Jeevan path par thaka hai rahi maarg chala nahi jata
ek taraf jag ek taraf prabhu mujhse chuna nahi jata
haanth pakad koi mujh andhe koi hari ki ore jhukaye re

Mujhe parvat banana pasand nahi abhiman maan har lo mera
Main prem nagar ka vasi hoon gun gyan dhyan har lo mera
Dharti ki aanchal par meri raakh bikheri jaaye re

Jeevan ki is kathin dagar mein tujhe pukarun deenanath
deenanath deenanath... mere deenanath -3
bade kathin sadhan se paaya ab na chhodu tera haanth
chahe duniya dorangi nirdosh ko dosh lagay re

Antarami ek tum  


Antaryami ek tum aatam ke aadhar
Jo tum chhodo haath to kaun lagave paar

Patta tuta dari se le gayi pawan udaye 
ab ke bichhude na mile door padenge jaaye 

Maati kahe kunhar se tu kya raunde moye 
ek din aisa hoyega main rodungi toye 

Mera mujhme kuchh nahi jo kuchh hai so tor 
tera tujhko saupte kya laagat hai mor 

Mali aavan dekh ke kaliya kari pukar 
phoole phoole chun liye kaal humari baar 

Chalti chaki dekh ke diya kabira roye 
dui patan ke beech mein sabut bacha na koi 

Dukh mein sumiran sab karen sukh mein kare na koye
jo sukh mei sumiran kare to dukh kahe ko hoye

Kabira jag mein aaye jab jag hanse tum roye 
aisi karni ka chalo tum hanso jag roye 

Tu tu karta tu bhaya mujhme rahi na hoon 
Vari tere naam par jit dekhu tit tu 

Koi kahe Ram 


Koi kahe ram ram koi kahe shyam
hey hari tere kitne naam
bolo ram siya ram bolo shyam radhe shyam

tere naam mein shakti bhari jisko gaati duniya saari
dukhiyon ka tu hi sukhdhaam hey hari .....

jab bhi koi naam ye gata hirdaya mein sukh shanti pata
parmanand mile vishram hey hari......

maya deti bharam bhulave tuhi sanchi raah dikhave
sharan pade ko leta thaam hey hari ......

Tune kaisi ye preet lagayi


Tune kaisi yeh preet lagayi
oh shyamal krishna kanhayi
Hum yaad mein teri gaake ro ro ke dil samjhate
aa dekh le o harjaayi oh shyamal...
tera prem bohat tarpaye ek aag si dil mein lagaye
tune kaisi yeh bansi bajayi oh shyamal....
tere prem mein mitate jaate tum door door muskate
kya dil mein tere samayi oh shyamal...
Ab mera kaun sahara tujh bin hai kaun humara
Kyu dekhe nahi dikhayi oh shyamal ....

Prabhu teri raza mein hai


Prabhu teri raza mein hai meri raza
Nis din tumko hi dhyaya karoon
Jis haal mein rakho khush hoon main 
gungaan tumhara gaaya karoon  

Hari tum jaano tum hi samjho
kya mujhko subhkar hitkar hai
main chakar hoonthakur tum ho
sab bhaar prabhu ji tumpar hai
jo kar do so sweekaar mujhe
na lab pe shikayat laaya karoon

Mujhe raaj mahal tak pahuncha do
ya path ka kankad rehne do
dhanwaan bana sukh do data
dhukhi deen bane hi rahne do 
ardas yehi har swans meri
ek daas tumhara kahaya karoon

Bas ek akele tum kafi
dekhu bhagwan kahi aur nahi
jo mangu tumse paaun
taaku jhanku kahi aur nahi
manvanchit phal nirdosh rahoon
jab jab tere dar aaya karoon

Kaun milave jogiya


Kaun milave mohe jogiya ho , jogiya bin rahiyo na jaaye

main pyasi hari daras daras karun kit jaaye
nahi mile jo saanvare to jeevan dehun mitaye

shyam bina main baanwari ri log karen badnaam
khojat khojat haar gayi main ho gayi jeevan sham

jaaye chhupi kahan saavare tum aisi lagan lagaye
sharan laga ke hey manmohan kyu dinhi bisraaye

Ek aag lagi hai seene mein


Ek aag lagi hai seene mein nainon se neer na dhalta hai
oh shyam idhar bhi dekh zara maati ka mandir jalta hai

Chun chun kar yaadon ki kaliyaan singhasan ek banaya tha
hey nath tumhare swagat ko man mandir khub sajaya tha
yug beet gaye tum naa aaye  tan se ab pran nikalta hai
oh shyam .... 

Hey nath tumhare paane ko paavan man mera ho na saka
paapon se bhare is jeevan ko  bhagwan main ab tak dho na saka
charnon mein tere mit jaane ko ek prem hridaya mein machalta hai
oh shyam ...... 

Oh shyam sharan mein aaye ko ab dar se to thukrao na
hey madhur manohar manmohan mad bhari jhalak dikhao na
Is kaal ki aandhi mein jeevan ka ek deepak jalta bujhta
oh shyam ...