Movie: Rockford (1999)
Music: Shankar-Ehsaan-Loy
Lyrics: Gulzar
Singer: Shankar Mahadevan
Aasman ke paar shayad aur koi aasman hoga
Badalon ke parbaton par koi barish ka makaan hoga
Main hawa ke paron pe kahaan ja raha hoon kahaan
There must be some other sky beyond this sky
There must be a house of rain on the mountains of clouds
Where am I going on the wings of air, where am I going..
kabhi udta hua
kabhi mudta hua
mera raasta chala
Sometimes flying
Sometimes turning
My path moved..
main hawa ke paron pe kahaan ja raha hoon kahaan
Mere paanv ke tale ki ye zameen chal rahi hai
Kaheen dhoop thandi thandi
Kaheen chhaanv jal rahi hai
Is zameen ka aur koi aasman hoga
The earth beneath my feet is moving
Somewhere the sunshine is cool
Somewhere the shadow is burning
There must be some other sky for this earth
Main hawa ke paron pe kahaan ja raha hoon kahaan
In lambe raaston par sab tez chalate honge
Copy ke pannon jaise yahaan din palatate honge
Shaam ko bhi subah jaisa kya samaan hoga
All must be walking briskly on these long paths
The days must be turning (fast) here like the pages of a copy
Like morning even in the evening, what a weather it would be..
main hawa ke paron pe kahaan ja raha hoon kahaan
aasamaan ke paar shaayad aur koi aasamaan hoga
baadalon ke parbaton par koi baarish ka makaan hoga..
Love Gulzar? Here is a candid interview of his that you might like to read. [Text in Hindi]
Birth of a Song: Gulzar in conversation with Bhawana Somaaya at BLF 2013