रविवार, 22 जुलाई 2012

Bhajans by Acharya Mridul Krishna Shashtri Ji

Bhajans by Acharya Mridul Krishna Shashtri Ji


Mere man mein base ho base rehna

Listen to mere man mein base ho base rehna

Mere man mein base ho base rehna
prabhu tan mein base ho base rehna

haad maans ka yeh hai madir
aap base hain jiske andar
jisme bole pyari maina

man mandir mein jyoti jagayen
nis din teri aarti gaayen
apne pan mein sada rehna

daas tumhare tumhe pukaren
naina nis din baant niharen
dukh mein sukh mein yahi kehna

jab lag ghat mein pran rahega
tab tak hari ji ka naam rahega


Mere sir par haanth rakho Radha Rani By acharya Gaurav Krishna Shashtri

mere sir par haanth rakho radha rani
charan kamal ke paas rakho radha rani
sree radha rani radha rani maharani maharani

darshan hove aas yahi hai
mere man ki pyaas yahi
puri ho abhilash meri radha rani

darshan deke pyaas bujhao
mere soye bhaag jagao
aaj meri baat rakho radha rani

badi door se chal kar aayi
ter daras ki aas lagayi
Ab darshanon ka haar kar do radha rani

Asuvan moti haar banaya
tere shree charnon pe chadhaya
 meri ye saugaat rakho radha rani

Aao manmohana

aao manmohana aao nandnandana
gopiyon ke pran dhan radha ji ke ramna

laalni ek vinaya suniye ab meri gali mein aaiye na
aaiye to karuna kar ke haster sunaiye gaaiye naath
gaaiye to adharon dhar ke murali yeh mand bajaiye na
sarsaiye na ur prem vyatha puni aaiye to phir jaaiye na

kajrari teri aankhon mein kya bhara hua kuchh tona
tera to asar auron ka maran bas jaan haath se dhona
kya khubi husna bayan karun tu sundar shyam salona hai
lalit kishori pran dhan jeevan tu braj ka ek khilona hai

Nanha sa phool hoon main

Nanha sa phool hoon main
charnon ki dhool hoon main
aaya hoon main to tere dwar
prabhu ji meri pooja karo sweekaar
Guru ji meri pooja karo sweekaar  

Sun lo humari arzi mujhko kuchh gyan do
jeevan ko jeena sikhun aisa vardaan do
suraj si shaan paaun chanda sa maan paaun
itna sa kar do upkaar prabhu ji meri puja karo swekaar

Main to nirguniya hoon bas itni baat hai 
mere jeevan ki dori ab tere haanth hai 
thodha sa gun mil jaayen nirdhan ko dhan mil jaayen
manu tumhara upkaar prabhu ji meri puja karo swekaar 

Naiya le chal parli paar

Naiya le chal parli paar
jahan viraje radha rani albeli sarkaar

gun avagun sab tere arpan
paap punya sab tere arpan
yeh jeevan bhi tere arpan
main tere charnon ki dasi
mere pran adhaar

teri aas laga baithi hoon 
lajja sheel ganva baithi hoon
ankhiyaan khoob thaka baithi hoon 
apna  aap loota baithi hoon
Sanwariya main teri ragini 
tu mera malhaar

tere bina kuchh yaad nahi hai
koi soojhati baat nahi hai 
jab dekho bardasht nahi hai  
mere preetam mere malik
kar do naiya paar

anand yaad ko paras raha 
patta patta harash raha hai
bheeg kar kuchh baras raha hai
man bichara taras raha hai 
bahut hui ab haar gayi main 
kyun chhoda majhdhaar  

Rahe mere mukh mein sada tera naam

Rahe mere mukh mein sada tera naam
oh radha ke shyam oh meera ke shyam

Koi duniya ki takat juda na kare
Mile jo mujhe radha radha kare
Mujhe to hai pyara prabhu tera naam
Oh radha ke shyam ...

Charnon mein apni bula hi liya 
mujhe apna tune bana hi liya 
kahe tumko sab hi yasoda ke laal

Chahe koi bhi mujhko deewani kahe
deewani kahe mastani kahe
mujhe to hai pyara prabhu tera naam 

Radhe tere charnon ki yadi dhool hi mil jaaye

Listen to Radhe tere charnon ki

Radhe tere charnon ki gar dhool hi mil jaaye
Shyama tere chranon ki gar dhool hi mil jaaye
sach kahati hoon meri , taqdeer badal jaaye

yah man bada chanchal hai , kaise tera bhajan karoon
jitna ise samjhaun utna hi machal jaaye

Sunte hai teri rehmat din raat barasati hai
Ek boond jo mil jaaye , dil ki kali khil jaaye

Nazaron se girana na , chahe jitni saza dena
Nazaron s jo gir jaaun , mushkil hai sambhal paana

Bas ek tamanna hai , bhakt ke is dil mein
tu samne ho mere mera dum hi nikal jaaye

Shyam se milne ka satsang ek thikana hai



Shyam se milne ka satsang ek thikana hai
Krishna se preet lagi usko bhi nibhana hai

Satsang hai ek amrit sagar
jitna chaho bhar lo gagar
Mukti ko pana hai satsang ek thikana hai

Kaam krodh mad moh chhudaye 
Vishyon ki aandhi se bachhaye 
yadi kuchh pana hai satsang ek thikana hai 

Koi kahe Govind Koi Gopala 

Koi kahe Govind koi Gopala
Main to kahun Saanwariya Baansuri wala

Radha ne shyam kaha Meera ne Giridhar
Krishna ne krishna kaha Kubja ne natwar 
Gwalon ne pukara kah kar ke Gwala 
main to kahun sanwariya bansuri wala  

Maiya jo kehti thi unko Kanhaiya
Ghanshyam kehte the Balram bhaiya
Baba ke aankhon ke tum the ujala

Bhishm ke banwari Arjun ke mohan
Chhaliya jo kah ke ke bulaya duryodhan
Kansa to kehta tha jal kar ke kala