मंगलवार, 2 जुलाई 2013

KaSHmIR MaIN TU KaNYAKUMARi Full Song LYRICS:From Movie Chennai Express (2013)

Kashmir Main Tu Kanyakumari Lyrics from Chennai Express Full Song Lyrics Of Kashmir Main Tu Kanyakumari

Kashmir Main Tu Kanyakumari Lyrics from Chennai Express Full Song Lyrics Of Kashmir Main Tu Kanyakumari
Singers: Arijit Singh, Sunidhi Chauhan and Neeti Mohan    
Music: Vishal-Shekhar
Lyricist: Amitabh Bhattacharya
Cast: Shahrukh Khan, Deepika Padukone
Music on: T-Series
     





















Kashmir Main Tu Kanyakumari Lyrics




Chipak-chapak ke chalti hain
Kabhi kabhi do raahein
Jude-jude kuch aise ki laga ho jaise gum
Double-double hoti thi jo kabhi-kabhi taqleefein
Kisi ke sang mein chalne se hui half se kum
Ho tera-mera, mera-tera
Tera-mera, mera-tera qissa atrangi
Kabhi-kabhi chalti hai
Kabhi-kabhi rukti kahani bedhangi

Kashmir main tu Kanyakumari
North-South ki kat gayi dekho doori hi saari
Kashmir tu main kanyakumari
Fifty-fifty har situation mein hissedari

Ek taraf to jhagda hai, saath phir bhi tagda hai
Do kadam chalte hain to lagta hai aath hain
Do tarah ke flavour, sau tarah ke tevar
Dar-badar firtein hain ji phir bhi apni thaath hai

Kabhi-kabhi chale seedhe, kabhi mud jaayein
Kabhi-kabhi kahin tootein, kahin jud jaayein
Hum sham-sahar ke
Chaaron pahar ke
Mood mein dhal jaayein

Kashmir main, tu Kanyakumari
Uttar ne dakshin ko aflatoon aankh maari
Kashmir tu, main Kanyakumari
Tel bechne jaaye toh phir yeh duniya saari
Hey hey...

Main zara sa puncture to tu hawa ke jaisi hai
Sath ho to pahiye taqdeeron ke tight ho
Bulb ban jaaun main aur tu switch ban jaa
Bhaad mein jaaye duniya apni batti light ho

Kabhi-kabhi chale seedhe kabhi mud jaayein
Kabhi-kabhi paidal kabhi ud jaayein
Humein dekh zamane walon ki chaahe naak sikud jaye

Kashmir main, tu Kanyakumari
Halke-fulke packet mein dekho mushqil bhari
Kashmir tu, main Kanyakumari
Hindi mein gustakhi hai to English mein sorry

Chipak-chapak ke chalti hain
Kabhi kabhi do raahein
Jude-jude kuch aise ki laga ho jaise gum
Double-double hoti thi jo kabhi-kabhi taqleefein
Kisi ke sang mein chalne se hui half se kum
Ho tera-mera, mera-tera
Tera-mera, mera-tera qissa atrangi
Kabhi-kabhi chalti hai
Kabhi-kabhi rukti kahani bedhangi

Kashmir main, tu Kanyakumari
North-South ki kat gyi dekho doori hi saari
Kashmir tu, main Kanyakumari
Fifty-fifty har situation mein hissedari