मंगलवार, 26 नवंबर 2013

Maaya maha thagini hum jaane - Kabirdas ji bhajans with starting letter M

M

Maaya maha thagini hum jaane

Maya Maha Thugni Hum Jaani
  Tirgun Phans Liye Kar Dole Bole Madhuri Bani 
Kesav Ke Kamla Ve Baithi Shiv Ki Bhavan Bhavani 
Punda Ke Murat Ve Baithi Tirath Mein Bhai Pani 
Yogi Ke Yogin Ve Baithi Raja Ke Ghar Rani
 Kahu Ke Hira Ve Baithi Kahu Ke Kodi Kani 
Bhaktan Ke Bhaktin Veh Baithi Brahma Ke Brahmani 
Kahe Kabir Suno Bhai Sadho Yeh Sab Akath Kahani

Main kehi samujhavo sab jag andha

main kehi samujhavo sab jag andha
ek dui hoye unhe samujhawo,sabahi bhulaa pet ke dhandha 
paani ke ghoda pawan aswarwa,dharki pade jas os ke bunda 
gahiri nadiya agam bahe dharwa khewanhaara ke padi ga phanda
ghar ki wastu azar nahi aawat,diyana baari ke dhoondhat andha 
lagi aag sabe ban jariga,bi guru gyan bhatkiga banda
kahe kabir suno bhai sadho,ek din jaye langoti jhaar banda 

Mati kahe kumhar se tu kya raunde mohe 

Lyrics -

Mati Kahe Kumhaar se Tu Kya Raunde Moye

Ek Din Aisa Aayega MAin Raundungi Toye  

Aaye Hai So Jayenge Raaja Rank Fakir
Ek Sinhaasan Chadh Chale Ek Bandhe Janjir

Durbal Ko Na Sataiye Jai Moti Haaye
Bina Jeebh Ki haaye Se 
Loha Basam Ho Jaye

Chalti Chaaki Dekh Ke Diya Kabira Roye
Do Paatan Ke Bich Me Sabut Bacha Naa Koi

Dukh Me Sumiran Sab Kare Sukh Mein Kare Na Koyi                  

Jo Dukh me Sumiran Karen To Dukh Kahe Ko Hoye

Patta Tuta Dal Se Le Gayi Pawan Udaye
Ab Ke Bichade Kab Milenge Door Padenge Jaye

Kabir Aap Thagaiye Aur Na Thagiye Koi

Aap Thage Sukh Upaje Aur Thage Dukh hoye


Man lago mero yaar fakiri mein

Lyrics -

man lagyo mero yaar phakiri mein
jo sukh paavo naam bhajan mein so sukh nahi amiri mein 
bhala bura sabko suni lije kari gujraan garibi mein
prem nagar mein rahani humari bhali bani aayi saburi mein 
haanth mein kundi bagal mein sonta charon disha jagiri mein
aakhir yah tan khakh milega kaha phirat magroori mein 
kahat kabir suno bhai sadho sahab mile saburi mein



Mere nazar mein moti aayo



Lyrics -

Mere nazar mein moti aayo 
Main bhala bharose paayo

Char kunj ka dewarh banayo 
Uspar kalash dharayo

Sej sooni par saaheb mera 
Teeno lok dhari aayo 

Desh desh ke darshan aaye
Santan ke man bhayo 

kahat kabira suno bhai sadho 
Hukmi naao chalayo


MAt bandho gathariya apyash ki

Lyrics-

Mat bandho gathariya apyash ki 

tum karo kamayi hari yash ki 


maat pita se mukhhun na bolo 

tirya se baat karo ras ki


dhan yowan ye phir na rahega 
bali umariya din das ki 


yam ke doot mudka mare 
kasak nikarti nas nas ki  

kahat kabira sun bhai sadho  
yeh duniya hai matlab ki 


Murshid Naino bich

Lyrics-

Murshid naino bich nabi hai 


sah safed trilok chetana 
ankhen madya pankhen 


chamkat dhamke  

aankhe madhya dwara 
tehi dware durbin laga ke  


utare bahvjal para

sundar sahar mein baas humara  


taha sarvange java  
saheb kabir sada ke sangi  

sabad mahal taj aave 


Mat Kar Moh Tu


Mat kar moh tu hari bhajan ko maan le
nayan diye darshan karne ko shravan diye sun gyan re 
vadan diya hari gun gaane ko  haanth diye kar daan re 
kahat kabir suno bhai sadho kanchan nipajat khan mein



Man mast hua phir


Lyrics-

Man mast hua phir kya bole 
Halki thi tab chadi taraaju Bhaari bhayi ab kyon tole 
Heera paayo gaanth gathaayo Baar baar wa ko kyon khole 
Ghatt hi mein tera sahib betha Baahar naina kyon khole


Surat kalari bhayee matwari 
madwa pe gayee bin tole 
Hansa paaye maansarovar


Taal talaiya kyu dole



Tera sahib hai ghat bhitar 
bahar naina kyun khole
Kehat kabir suno bhayi saadho  Sahib mil gaya dil kohle 

Meri Surati suhagin  

Lyrics-
Meri surati suhagin jaag ri 
kya tu sove moh nind mein uth ke bhajan vich laag ri 
anhad sabad sun chit deke  uthat madhur dhun raag ri 
chran sheesh dhar vinati kariyo  paao ge atal suhag ri 
kahat kabira suno bhai sadho jagatpita de bhaar ri 

Man lago mero yaar phakiri mein 

Lyrics-
Man lago mero yaar phakiri mein 
jo sukh paanvo naam bhajan mein  so sukh nahi amiri mein 
bhala bura sab ka sun lije  kar gujran garibi mein 
prem nagar mein rehna humare  bhali ban aayi saburi mein 
haanth mein puni bagal mein sota  charo disha jagiri mein 
aakhir yeh tan khakh milega  kah phirat magroori mein 
kahat kabir suno bhai sadho saheb mile saburi mein 

Man tohe kih bidhi main samjhaun 

man tohe kih bidhi main samjhaun 
sona hoye to suhag magaun banknaal ras laaun 
gyan sabad ki phoonk chalau paani kar pighlaun
ghoda hoye to lagaam lagaun upar jeen kasaun
hoye sawar ter par baithun chabuk deke chalaun
hathi hoye janzeer gadhaun ,charo pair bandhaun
hoye mahavatam tere gar baithun ankush leke chalaun
loha hoye to airan mangau ,upar dhuvan dhuvaun 
dhuvan ki ghanghor machaun jantar taar khichaun 
gyani na ho gyan sikhaun,satya ki raah chalaun
kahat kabir suno bhai sadho amrapur pahunchaun