SATH SATH
- Pyar Mujh Se Jo Kiyaa Tumne To Kya Paaogi
Mere Haalaat Ki Aandhi Mein Bikhar Jaaogi
Ranj Aur Dard Ki Basthi Ka Main Baashinda Hoon
Ye To Bas Main Hoon Ke Is Haal Mein Bhi Zinda Hoon
Khwaab Kyoon Dekhoon Wo Kal Jispe Main Sahrminda Hoon
Main Jo Sharminda Hoon To Aur Tum Bhi Sharmaaogi
Kyoon Mere Saath Koi Aur Pareshaan Rahe
Meri Duniya Hai Jo Weeraan To Weeraan Rahe
Zindagi Ka Ye Safar Tum Pe To Aasaan Rahe
Humsafar Mujhko Banaaogi To Pachtaaogi
Ek Main Kya Abhi Aayenge Diwaane Kitne
Abhi Goonjenge Mohabbat Ke Taraane Kitne
Zindagi Tumko Sunaaegi Fasaane Kitne
Kyoon Samajhti Ho Mujhe Bhool Nahi Paaogi
- Tum Ko Dekha To Ye Khayaal Aaya
Zindagi Dhoop Tum Ghana Chaaya
Aaj Phir Dil Ne Ik Tamanna Ki
Aaj Phir Dil Ko Humne Samjhaaya
Tum Chale Jaaoge To Sochenge
Humne Kya Khoya Humne Kya Paaya
Hum Jise Gunguna Nahin Sakte
Waqt Ne Aisa Geet Kyoon Gaaya
- Ye Bata De Mujhe Zindagi
Pyaar Ki Raah Ke Humsafar
Kis Tarah Ban Gaye Ajnabee
Ye Bata De Mujhe Zindagi
Phool Kyoon Saare Mujhaa Gaye
Kis Liye Bujh Gayee Chandini
Kal Jo Baahon Mein Thee
Aur Nigaahon Mein Thee
Ab Wo Garmi Kahaan Kho Gayee
Na Wo Andaaz Hai
Na Wo Awaaz Hai
Ab Wo Narmi Kahaan Kho Gayee
Bewafa Tum Nahin
Bewafa Hum Nahin
Fir Wo Jazbaat Kyoon So Gaye
Pyaar Tumko Bhi Hai
Pyaar Humko Bhi Hai
Faasle Phir Ye Kyoon Ho Gaye
Ye Bata De Mujhe Zindagee
- Ye Tera Ghar Ye Mera Ghar Kisi Ko Dekhna Ho Gar
To Pehle Aake Maang Le Meri Nazar Teri Nazar
Ye Tera Ghar Ye Mera Ghar Ye Ghar Bahut Haseen Hai
Ye Ghar Bahut Haseen Hai Ye Ghar Bahut Haseen Hai
Na Baadlon Ke Chaaon Mein Naa Chandni Ke Gaaon Mein
Na Phool Jaise Raaste Bane Hain Iske Waaste
Magar Ye Ghar Ajeeb Hai Zameen Ke Kareeb Hai
Ye Eet-pattharon Ka Ghar Hamaari Hasraton Ka Ghar
Jo Chaandni Nahin To Kya Ye Roshni Hai Pyaar Ki
Dilon Ke Phool Khil Gaye To Fikr Kya Bahaar Ki
Hamaare Ghar Na Aayegi Kabhi Khushi Udhaar Ki
Hamaari Raahaton Ka Ghar Hamaari Chaahaton Ka Ghar
Yahan Mahak Wafaaon Ki Mohabbaton Ka Rang Hai
Ye Ghar Tumhara Khwaab Hai Ye Ghar Meri Umang Hai
Na Aarzoo Pe Qaid Hai Na Hausle Pe Jung Hai
Humare Hauslon Ka Ghar Hamaari Himmaton Ka Ghar
- Yun Zindagi Ki Raah Mein Majboor Ho Gaye
Itne Huye Kareeb Ke Hum Door Ho Gaye
Aisa Naheen Ke Humko Koi Bhee Khushi Nahin
Lekin Ye Zindagi To Koi Zindagi Nahin
Kyoon Iske Faisle Hamen Manzoor Ho Gaye
Paaya Tumhe To Humko Laga Tumko Kho Diya
Hum Dil Pe Roye Aur Ye Dil Humpe Ro Diya
Palkon Se Khwaab Kyoon Gire Kyoon Choor Ho Gaye