मंगलवार, 21 जून 2011

SILSILE

  1. Dard Apnaata Hai Paraaye Kaun
    Kaun Sunta Hai Aur Sunaaye Kaun

    Kaun Dohraaye Puraani Baten
    Gham Abhi Soya Hai Jagaaye Kaun

    Wo Jo Apne Hain, Kya Wo Apne Hain
    Aur Dukh Jhele, Aazmaayen Kaun

    Ab Sukoon Hai To Bhoolne Mein Hai
    Lekin Us Shaksh Ko Bhulaaye Kaun

    Aaj Fir Dil Hai Kuch Udaas-udaas
    Dekhiye Aaj Yaad Aaye Kaun

  1. Dard Ke Phool Bhi Bikhar Jaate Hain
    Zakhma Kaise Bhi Ho Bhar Jaate Hain

    Jab Dareeche Mein Bhi Ab Koi Nahin Aur Hum Bhi
    Sar Jhukaaye Huye Chupchaap Guzar Jaaten Hain

    Raasta Roke Khadi Hai Yahi Uljhan Kabse
    Koi Pooche To Kehen Kya Ki Kidhar Jaate Hain

    Naram Awaaz, Bhali Baaten Muhazzab Lehze
    Pehli Barish Mein Hi Ye Rang Utar Jaate Hain

  1. Jaate Jaate Wo Mujhe Achchhi Nishaani De Gaya
    Umr Bhar Dohraoonga Aisi Kahaani De Gaya

    Uss Se Main Kuch Paa Sakoon Aisi Kahan Ummeed Thi
    Gham Bhi Shaayad Wo Baraaye Meharbaani De Gaya

    Sab Hawaaen Le Gaya Mere Samander Ki Koi
    Aur Mujhko Ek Kashti Baadbaani De Gaya

    Khair Main Pyaasa Raha, Par Usne Itna To Kiya
    Mere Palkon Ki Kataron Ko Wo Paani De Gaya

  1. Dariya Ka Saahil Ho, Poore Chaand Ki Raat Ho
    Aur Tum Aao, Kabhi Yoon Bhi To Ho

    Pariyon Ki Mehfil Ho, Koi Tumhari Baat Ho
    Aur Tum Aao, Kabhi Yoon Bhi To Ho

    Ye Naram Mulaayam Thandi Hawaayen, Jab Ghar Se Tumhaare Guzre
    Tumhari Khushboo Churaayen, Mere Ghar Le Aayen, Kabhi Yoon Bhi To Ho

    Sooni Har Mehfil Ho, Koi Na Mere Saath Ho
    Aur Tum Aao, Kabhi Yoon Bhi To Ho

    Ye Baadal Aise Toot Ke Barse, Mere Dil Ki Tarah Milne Ko,
    Tumhara Dil Bhi Tarse, Tum Niklo Ghar Se, Kabhi Yoon Bhi To Ho

    Tanhaai Ho Dil Do, Boonde Hon Barsaat Ho Aur Tum Aao.

  1. Main Bhool Jaaoon Tumhe, Ab Yahi Munaasib Hai
    Magar Bhoolna Bhi Chaahoon To Kis Tarah Bhooloon
    Ke Tum To Fir Bhi Haqikat Ho Koi Khwaab Nahin
    Yahan To Dil Ka Ye Aalam Hai Kyaa Kahoon 'kambakht'
    Bhula Saka Na Ye Wo Silsila Jo Thaa Hi Nahin
    Wo Ik Khyaal Jo Awaaz Tak Gaya Hi Nahin
    Wo Ek Baat Jo Main Keh Nahin Saka Tumse
    Wo Ek Rawt Jo Hum Mein Kabhi Raha Hi Nahin
    Mujhe Hai Yaad Wo Sab Jo Kabhi Huwa Hi Nahin
    Agar Ye Haal Hai Dil Ka To Koi Samjhaaye
    Tumhe Bhulaana Bhi Chaahoon To Kis Tarah Bhooloon
    Ke Tum To Fir Bhi Hakikat Ho Koi Khwaab Nahin

  1. Mere Dil Ne Kaha, Ae Diwaane Bata
    Jab Se Koi Mila, Tu Hai Khoya Huwa,
    Ye Kahani Hai Kya, Hai Ye Kyaa Silsila, Ae Diwaane Bata

    Maine Dil Se Kaha, Ae Diwaane Bata
    Dhadkane Mein Chupi, Kaisi Awaz Hai
    Kaisa Ye Geet Hai Kaisa Ye Saaz Hai,
    Kaisi Ye Baat Hai, Kaisa Ye Raaza Hai, Ae Diwaane Bata

    Mere Dil Ne Kaha , Jab Se Koi Mila
    Chaand Taare Fizaan, Phool Bhanwaare Hawa
    Ye Hansi Waadiyaan, Neela Ye Aasmaan
    Sab Hai Jaise Naya, Mere Dil Ne Kaha
    Maine Dil Se Kaha, Mujhko Ye To Bata,
    Jo Hai Tujhko Mila, Usme Kyaa Baat Hai
    Kya Hai Jaadoogari, Kaun Hai Wo Pari, Ae Diwaane Bata

    Na Wo Koi Pari, Na Koi Mehjabin
    Na Wo Duniya Mein Sabse Hai Zyaada Haseen,
    Bholibhaali Si Hai, Seedhi Saadhi Si Hai,
    Lekin Usme Adaa Ek Niraali Si Hai
    Uske Bin Mera Jeena Hi Bekaar Hai,
    Maine Dil Se Kaha, Baat Itni Si Hai,
    Ki Tujhe Pyuaar Hai Mere Dil Ne Kaha Mujhko Ikraar Hai,
    Haan Mujhe Pyaar Hai.

  1. Mujhko Yakeen Hai Sach Kehti Thi Jo Bhi Ammi Kehti Thi
    Jab Mere Bachpan Ke Dine The, Chaand Mein Pariyaan Rehti Thee

    Ek Ye Din Jab Apnon Ne Bhi Humse Jnaata Tod Liya
    Ek Wo Din Jab Ped Ki Shaakhen Bojh Hamara Sehti Thee

    Ek Ye Din Jab Saari Sadken Ruthi Ruthi Lagti Hain
    Ek Wo Din Jab Aao Khele Saari Galiyan Kehti Thee

    Ek Ye Din Jab Jaagi Raaten Diwaaron Ko Takti Hain
    Ek Wo Din Jab Shaamon Ko Bhi Palken Bojhal Rehti Thee

    Ek Ye Din Jab Laakhon Gham Aur Kaal Pada Hai Aansoon Ka
    Ek Wo Din Jab Ek Zara Sa Baat Pe Nadiyaan Behti Thee


  1. Sach Ye Hai Bekaar Mein Gham Hota Hai
    Jo Chaaha Tha Duniya Mein Kam Hota Hai

    Dhalta Suraj Faila Jangal Rasta Gum
    Humse Pucho Kaisa Aalam Hota Hai

    Gairon Ko Kab Fursat Hai Dukh Dene Ki
    Jab Hota Hai Koi Hamdum Hota Hai

    Zakhm To Humne In Aankhon Se Dekhen Hain
    Logon Se Sunte Hain Marham Hota Hai

    Zehan Ki Shaakhon Par Ashaar Aa Jaaten Hain
    Jab Teri Yaadon Ka Mausam Hota Hai