मंगलवार, 21 जून 2011

SOMEONE SOMEWHERE

  1. Aadmi Aadmi Ko Kya Degaa
    Jo Bhi Dega Wohi Khuda Dega

    Mera Qaatil Hi Mera Munsib Hai
    Kya Mere Haq Mein Faisla Dega

    Zindagi Ko Kareeb Se Dekho
    Iska Chehra Tumhe Rulaa Dega

    Hamse Pucho Dosthi Ka Silaa
    Dushmanon Ka Bhi Dil Hilaa Dega

    Ishq Ka Zehar Pee Liya 'faakir'
    Ab Maseeha Bhi Kya Dawa Dega

  1. Ab Ke Barsaat Ki Rut Aur Bhi Bhadkili Hai
    Jishm Se Aag Nikalti Hai, Kaban Gili Hai

    Sonchta Hoon Ke Ab Anjaam-e-safar Kya Hoga
    Log Bhi Kaanch Ke Hain, Raah Bhi Pathrili Hai

    Pehle Rag-rag Se Meri Khoon Nichoda Us'sne
    Ab Ye Kehtha Hai Ke Rangat Hi Meri Peelee Hai

    Mujhko Be-rang Hi Na Karde Kahin Rang Itne
    Sabz Mausam Hai, Hawa Surkh, Fizaan Gili Hai

  1. Dekha To Mera Saaya Bhi Mujhse Juda Mila
    Socha To Har Kisi Se Mera Sil-sila Mila

    Sehar-e-wafa Mein Ab Kise Ehl'-e-wafa Kahen
    Humse Gale Mila To Wo Hi Be-wafa Mila

    Furshat Kise Thi Jo Meri Haalaath Poochchta
    Har Shakhs Apne Baare Mein Kuch Sonchtha Mila

    Ussne To Khair Apno Se Moda That Mooh Haya
    Maine Ye Kya Kiya Ke Main Gairon Se Jaa Mila

  1. Dil Hii To Hai Na Sa.ng-o-khisht Dard Se Bhar Na Aaye Kyuu.n
    Roe.nge Ham Hazaar Baar Koii Hame.n Sataaye Kyuu.n

    Dair Nahii.n Haram Nahii.n Dar Nahii.n Aastaa.n Nahii.n
    Baithe Hai.n Rahaguzar Pe Ham Gair Hame.n Uthaaye Kyuu.n


    Qaid-e-hayaat-o-band-e-gam Asl Me.n Dono.n Ek Hai.n
    Maut Se Pahale Aadamii Gam Se Najaat Paaye Kyuu.n


    Haa.n Vo Nahii.n Khudaaparast, Jaao Vo Bevafaa Sahii
    Jisako Ho Diin-o-dil Aziiz, Usakii Galii Me.n Jaaye Kyuu.n


    "ghalib"-e-khastaa Ke Bagair Kaun Se Kaam Band Hai.n
    Roiie Zaar-zaar Kyaa, Kiijie Haaye-haaye Kyuu.n

  1. Din Guzar Gaya, Aitbaar Mein
    Raat Kat Gayi Intezaar Mein

    Wo Maza Kahan Basle Yaat Mein
    Lutf Jo Milaa Intezaar Mein

    Unki Ik Nazar Kaam Kar Gayi
    Hosh Ab Kahan Hoshiyar Mein

    Mere Kabze Mein Aaiyeena To Hai
    Main Hoon Aapke Ikhtiyaar Mein

    Aankh To Uthee Phool Ki Taraf
    Dil Ulazh Gaya Husn-haar Mein

    Tumse Kya Kahen, Kitne Gam Sahen
    Hamne Be-wafa Tere Pyaar Mein

    Fikr-e-aashiyaan Har Khizaam Ki
    Aashiyaan Jalaa Har Bahaar Mein

    Kis Tarah Ye Gham Bhool Jaaye Hum
    Wo Juda Hua Ishtihaar Mein

  1. Faasila To Hai Magar, Koi Faasila Nahin
    Mujhse Tum Juda Sahi, Dil Se To Juda Nahin

    Aasmaan Ki Fiqr Kya, Aasmaan Khafaa Sahee
    Aap Ye Bataaye'e Aap To Khafa Nahin

    Kashtiyaan Nahin To Kya, Hausle To Paas Hain
    Keh Do Na-khudaaon Se, Tum Koi Khuda Nahin

    Lijiye Bula Liya, Aapko Khayaalon Mein
    Ab To Dekhiye Hamen, Koi Dekhta Nahin

    Aaeeye Charaag-e-dil, Aaj Hi Jalaayen Hum
    Kaisi Kal Hawa Chali, Koi Jaanta Nahin


  1. Koi Samjhega Kya Raz-e-gulshan
    Jab Taq Uljhe Na Kaanton Se Daaman

    Yaq-ba-yaq Saamne Aana Jaana
    Ruk Na Jaaye Kahin Dil Ki Dhadkan

    Gul To Gul-zaar Taq Chun Liye Hain
    Fir Bhi Khaali Hai Khurchi Ka Daaman

    Kitni Aara'ishyen Aashiyaana
    Toot Jaaye Na Nasha Fir Nashe Mein

    Hashmaten Aashiyaana Bana Dee
    Barf Ko Dosth Samjhoon Ke Dushman

  1. Mere Dukh Ki Koi Dawa Na Karo
    Mujhko Mujhse Abhi Juda Na Karo

    Na-khuda Ko Khuda Kaha Hai To Fir
    Doob Jaao Khuda-khuda Na Karo

    Ye Sikhaya Hai Dosthi Ne Hame
    Dosth Bankar Kabhi Wafa Na Karo

    Ishq Hai Ishq Ye Mazaq Nahin
    Chand Lamhon Mein Faishlaa Na Karo

    Aashiqi Ho Ke Bandagi 'faakir'
    Be-dili Se To Ye Fida Na Karo

  1. Meri Zindagi Kisi Aur Ki, Mere Naam Ka Koi Aur Hai
    Mera Naqsh Hai Sar-e-aayina, Pase Aayina Koi Aur Hai

    Meri Dhadkanon Mein Hai Chaapsi, Ye Judaaee Bhi Hai Milaapsee
    Mujhe Kya Patha, Mere Dil Batha, Mere Saath Kya Koi Aur Hai

    Na Gaye Dino Ko Khabar Meri, Na Shareeke Haal Nazar Teri
    Tere Desh Mein, Mere Bhesh Mein, Koi Aur Tha, Koi Aur Hai

    Wo Meri Taraf Nigraan Rahe, Mera Dhyaan Jaane Kahan Rahe
    Meri Aankh Mein Kai Sooraten, Mujhe Chaahta Koi Aur Hai