Golden Collection Hari Om Sharan Vol 2
Hey parmeshwar vishwavidhata
Hey parmeshwar vishwavidhata
mam vandan sweekaar karo
Hey paripuran brahma hey data
deenan ka udhhaar karo
hey karunamaya hey sukhkari
sukh shantimaya bhav bhaya hari
tera sumiran man ko bhata
nath kripa ek baar karo
hey sarvagya sahayak swami
prem puneet hey antaryami
sharan ho tera naam pukarta
ab to daya kartaar karo
bhet karun kya kuchh nahi mera
tujhe samarpit jeevan tera
rahoon yahi anand manata
hey prabhu pavan pyar varo
Maalik jage banda sove
Listen to malik jaage
Lyrics -
Malik jaage banda sove
aakhir kaise milna hove
Rakh laaj meri ganapati
Maalik jage banda sove
Listen to malik jaage
Lyrics -
Malik jaage banda sove
aakhir kaise milna hove
Rakh laaj meri ganapati
Rakh laaj meri ganapati apni sharan mein lijiye
kar aaj mangal ganapati apni kripa ab kijiye
sidhhi vinayak dukh haran santaap hari sukh karan
karun prarthana main nit prati vardaan mangal dijiye
teri daya teri kripa hey nath hum maange sada
tere dhyan mein khoye mati parnaam mam ab lijiye
karte pratham tav vandana tera naam hai dukh bhanjana
karna prabhu meri subh gati ab to sharan mein lijiye
Ram sumir ke reham
Ram sumir ke reham kare na phir kaise sukh payega
kriishna sumir ke karam kare na yunhi jag se jaayega
Oh bhagwaan ko bhajne wale kya bhagwaan ko jana hai
paas pados dukhi deenon mein kya usko pehchana hai
jab tak teri khudi na toote khuda nazar na aayega
yeh sansaar hai karam ki kheti jo boye wohi paave
prem pyar se seench le jeevan yeh awasar phir na aaye
char dino ka jeevan hai yeh kab tak thokar khayega
andar tere antaryami roz tujhko samjhata hai
bhala bura kya karna tujhko rah tujhe dikhlata hai
man ki kahi pe chalne wale phir phichhe pachhtayega
sharan gaye bin jaap hai nishphal nishphal hai jeevan tera
janam maran ki saadh na choote rahe dukhon se nit ghera
paap gathariya bhari hogayi kab tak bojh uthayega
Toote na preet tihari data
Toote na preet tihari data
Toote na preet tihari data
jab se tumse neh lagaya man ne apna aap bhulaya
tan mein man mein in saanson mein tu hi krishna murari
mere man mandir mein aana aake nath nahi phir jaana
yugan yugan ka nata hai ye tu data main bhikhari
main hoon jeevar tu hai jeevan tu hai moti main hoo bandhan
apni sharan mein leke vipdayen sab taari
Data ek ram
Data ek ram bhikhari saari duniya
raam ek devata pujari saari duniya
dware pe uski jaake koi bhi pukarta
param kripa de apni bhav se ubarta
aise deenanath pe balihari saari duniya
do din ka jeevan prani kar le vichar tu
pyare prabhu ko apne man mein vichar tu
bina hari naam ke dukhiyari saari duniya
naam ka prakaash jab antar jagayega
pyare shreeram ka tu darshan payega
jyoti se uski hai ujiyari sari duniya