मंगलवार, 24 अप्रैल 2012

Golden Collection Hari Om Sharan Vol 2




Golden Collection Hari Om Sharan Vol 2




Hey parmeshwar vishwavidhata


Hey parmeshwar vishwavidhata
mam vandan sweekaar karo
Hey paripuran brahma hey data
deenan ka udhhaar karo 

hey karunamaya hey sukhkari
sukh shantimaya bhav bhaya hari
tera sumiran man ko bhata
nath kripa ek baar karo

hey sarvagya sahayak swami 
prem puneet hey antaryami
sharan ho tera naam pukarta
ab to daya kartaar karo  

bhet karun kya kuchh nahi mera
tujhe samarpit jeevan tera
rahoon yahi anand manata
hey prabhu pavan pyar varo 

Maalik jage banda sove 

Listen to malik jaage

Lyrics -

Malik jaage banda sove 
aakhir kaise milna hove 

Rakh laaj meri ganapati 


Rakh laaj meri ganapati apni sharan mein lijiye
kar aaj mangal ganapati apni kripa ab kijiye

sidhhi vinayak dukh haran santaap hari sukh karan
karun prarthana main nit prati vardaan mangal dijiye 

teri daya teri kripa hey nath hum maange sada
tere dhyan mein khoye mati parnaam mam ab lijiye

karte pratham tav vandana tera naam hai dukh bhanjana
karna  prabhu meri subh gati ab to sharan mein lijiye

Ram sumir ke reham


Ram sumir ke reham kare na phir kaise sukh payega
kriishna sumir ke karam kare na yunhi jag se jaayega

Oh bhagwaan ko bhajne wale kya bhagwaan ko jana hai
paas pados dukhi deenon mein kya usko pehchana hai
jab tak teri khudi na toote khuda nazar na aayega

yeh sansaar hai karam ki kheti jo boye wohi paave
prem pyar se seench le jeevan yeh awasar phir na aaye
char dino ka jeevan hai yeh kab tak thokar khayega

andar tere antaryami roz tujhko samjhata hai
bhala bura kya karna tujhko rah tujhe dikhlata hai
man ki kahi pe chalne wale phir phichhe pachhtayega

sharan gaye bin jaap hai nishphal nishphal hai jeevan tera
janam maran ki saadh na choote rahe dukhon se nit ghera
paap gathariya bhari hogayi kab tak bojh uthayega

Toote na preet tihari data


Toote na preet tihari data

jab se tumse neh lagaya man ne apna aap bhulaya
tan mein man mein in saanson mein tu hi krishna murari 

mere man mandir mein aana aake nath nahi phir jaana 
yugan yugan ka nata hai ye tu data main bhikhari

main hoon jeevar tu hai jeevan tu hai moti main hoo bandhan
apni sharan mein leke vipdayen sab taari

Data ek ram


Data ek ram bhikhari saari duniya 
raam ek devata pujari saari duniya 

dware pe uski jaake koi bhi pukarta 
param kripa de apni bhav se ubarta
aise deenanath pe balihari saari duniya

do din ka jeevan prani kar le vichar tu
pyare prabhu ko apne man mein vichar tu
bina hari naam ke dukhiyari saari duniya

naam ka prakaash jab antar jagayega
pyare shreeram ka tu darshan payega
jyoti se uski hai ujiyari sari duniya

Share: