मंगलवार, 10 सितंबर 2013

Bhawana by Ahmed & Muhammad hussain,



Bhawna 



Mangal data buddhi vidhata


Lyrics -

Modak priya lambodar ekdant gajanan hey gananaayak
vidyavaridhi mangal daayak ganapati putra umesh 

vishnupriye pramod vilak dhoomketu gana
bhal chandra shiv nand umasut sarvasiddhi ganesh 

vigna haran sukhnidhi samukh kripasindu mahodaya

Jai Saraswati var de maharani 

Listen to jai saraswati var de

Lyrics -

Jai saraswati var de maharani 
hum deen hai maa tu dayadani

taar de tu hi deen dukhon ke 
dukh sankat mein nirbhaya karni
tav charnon mein hum kar jore 
karate prarthana bhav bhaya harni 
vidya daan de maa gyan nidani 
jai saraswati ...

shanti sukh maya vatavaran kar 
bhagwati vidya jyoti jaga de 
veena vadini saar varsha se 
gyan sarita jag mein baha de 
vinati karat hain hum agyani 
jai sarasawti ...

sahitya sangeet kala ki 
hey maa devi tu hai vibhuti 
sharan tihare vignavinashini 
maane gyan prakash ki jyoti 
dayadrishti de jagat kalyani 
jai saraswati ...

Jai Shankar chandra bhal

Listen to Jai shankar chandra bhal

Lyrics - 

Jai shankar chandrabhal gangadhar kanthbyal
 kalanath ashutoth kato bhav bandh jaal 

Om namah Shivaya ...

shweta bhashma ang ang 
dhare bhushan bujang 
nirkhat natraj shambhu 
kar trishul bhuri bhang 

jata joot chandra lekh 
sheesh sohe ganga dhar
bajat kar damru naad 
tandav santat vihar 


jaya trinetra ajin dhar 
sarva ang mund maal 
ardh naari uma sange 
karo kripa mahakaal 

Asur harni dusht dalni

Listen to asur harni dusht dalni

Lyrics -

Asur harni dusht dalni singh vahini durge maa
sukh pradayini bhaya nivarini jai bhawani durge maa

chanda mund vinashkarini rund mund sada dhare 
mahisi mardini kar kapalini sadhako ke dukh hare 
maat ganapati shiv ardhangini maha rani durge maa

nirbhaykarni asur harni dukh dalidra nivarini 
bhukti mukhti dayini maa roop nek darini 
maha kaali jagat janani dayadani durge maa

jagat ka palan karo maa bhakt jan bhav bhaya haro 
bhakton ke sankat nivaro riddhi siddhi sada dharo
madhur madhuri madhur kalash ki amrit daani durge maa 

Shubhan teri qudrat ke qurbaan

Listen to subhan teri qudrat ke

Lyrics -

Shubhan teri qudrat ke qurbaan

paani upar bichha bichhona tambu tana aasmaan 
subhan teri kudrat ke qurbaan 

chand suraj bhaye mashanchi nachat sara jahan 
subhan teri.....  

is naach ko jo dekhane aaya raaha na buddha jawaan
subhan teri ...

kahat kabir suno bhai sadho ek wahi pehchan 
subhan teri .....

Krishna Janam bhayo aaj 

Listen to Krishna janam bhayo aaj

Lyrics -

Krishna janam bhayo aaj bhadhava leke aayi 

na leve khadva na leve kadva 
levo yashoda ji ka kangana 
bhadhava le ke aayi 

na levo bindiya na levo bicchiya 
levo yashoda ji ka chhalla
badhava le ke aayi 

na levo nahthiya na levo besar 
levo yashoda ji ka harva 
badhava le ke aayi

Kya kya main kahoon krishna kanhaiya 

Listen to kya kya kahoon main

Lyrics -

jai jai shyam radhe shyam 
jai jai shyam radhe shyam

kya kya kahoon main krishna kanhaiya ka baalpan 
aisa tha bansuri ke bajaiya ka baal pan 

unko to baalpan se tha na kaam bhi zara
sansaar ki jo reet thi usko rakha bacha 
malik woh aap hi the unhe baalpan se kya 
woh baalpan jawani budhapa sab ek tha 
aisa tha bansuri ke bajaiya ka baalpan 

baale ho brijraj jo duniya mein aa gayen 
leela ke lakh rang tamashe dikha gaye 
is baalpan ke roop mein kitno ko bha gayen 
ek yeh thi lehar jo duniya ko dikha gayen 
aisa tha basuri ke bajaiya ka baalpan 

sab mil yaaron krishna murari ki bolo jai 
govind chhail kunj bihari ki bolo jai 
dadhi chor gopinath bihari ki bolo jai 
tum dheer heer krishna murari ki bolo jai 
aisa tha bansuri ke bajaiya ka baalpan


Kaise jaun main paniya bharan ko sakhi 

Listen to kaise jaun main paniya bharan ko

Lyrics -

Kaise jaun main paniya bharan ko sakhi 
dekho kanha kahde hain biraj ki ore 

Yamuna tat par bansi bajaye manmohan sabke man bhaye 
Lalita chandra gopiyan ke sang holi khele raas rachaye 
Leela nis din dikhaye woh saanjh se bhor 
dekho kanha khade hain biraj ki ore

nit nit mori raah takat hai nakhat mose jab bhi milat 
kankar maare phore gagariya dheeth na maane jhagara karat hai 
mori jhatake woh sir se chunar chitchor 
dekho kanha khade hain biraj ki ore 

chhod de baiyan krishna kanhaiya taana dengi saari sakhiyaan 
chori chori main aayi hoon ghar jaane de oh sanwariya 
kahin dekhe na saas nanadiya mor 
dekho kanha khade hain biraj ki ore 


Share: