बुधवार, 7 मई 2008

Lyrics Of Hindi Song Ghar Tera Ghar Mera



Hindi Song Title:Ghar Tera Ghar Mera
Hindi Movie:Sirf
Singers:Shaan & Shreya Ghoshal

Hindi Lyrics:

[apna bhi hoga ek basera, apni shame apna sabera
ghar tera ghar mera, khushiyon ka ho dera, jane ja]....2
chaahat ki hongi baatein yaar, baahon mein beete raatein yaar
ghar tera ghar mera, khushiyon ka ho dera,jane ja

hingi mushkilein bhi, hongi manjilein bhi....2
pyaar se woh sanam hum milaake kadam, apna sajaaye aashiyaana
sab kuchh abb hoga tera mera, apni shame apna sabera
ghar tera ghar mera, khushiyon ka ho dera, jane ja
ho chaahat ki hongi baatein yaar, baahon mein beete raatein yaar
ghar tera ghar mera, khushiyon ka ho dera, jane ja

[hongi pyaar mein bhi meethi takraare]....2
ruth kar tum sanam chhod jaana na ghar, ho jaau na main deewaana
hasana rona hai milke yaara, ho apni shame apna sabera
ghar tera ghar mera, khushiyon ka ho dera, saajana
chaahat ki hongi baatein yaar, baahon mein beete raatein yaar
ghar tera ghar mera, khushiyon ka ho dera,saajana

Return To Main Menu
Share: