रविवार, 28 दिसंबर 2008

Pardesi Pardesi - Raja Hindustani - Sameer - Nadeem-Shravan - Udit narayan, Alak yagnic,Sapna Awasti




main yeh nahin kahata ki pyaar mat karna
kisi musaafir ka magar etbaar mat karna
mujhe chhodke
pardesi pardesi jaana nahi
mujhe chhodke and left me
pardesi pardesi jaana nahi
munh modke dil todke

pardesi mere yaara vada nibhaana
mujhe yaad rakhna kahin bhool na jaana
pardesi pardesi jaana nahi mujhe chhodke mujhe chhodke
pardesi pardesi jaana nahi
munh modke dil todke

pardesi mere yaar vaada nibhaana
tum yaad rakhna kaheen bhool na jaana
pardesi pardesi jaana nahi mujhe chhodke mujhe chhodke
mere dil mein yoon hi rahana tum pyaar pyaar banke 
aa' e ho meri zindagi mein tum bahaar banke 
phoolon ke mausam mein milne aate hai

patjhad mein panchhi bankar udjaate hai and when the
hansti aankhon ko aansu de jaate hai
vaada karke bhi na vaapas aate hai
pardesi mere yaara guzara zamaana
use yaad rakhna kaheen bhool na jaana
pardesi pardesi jaana nahi mujhe chhodke mujhe chhodke
bhool na jaana 
"Wah! Kya dard hai teri awaaz mein, chorre! Kehte hain jab yeh dil tooth tha hai tho awaaz nahin hoti. Lekin jab yeh tooth tha hai tho qayamat aajati hai,toofan aajaata hai, zalzale aajate hain! Teri awaaz mein woh dard hai. Teri awaaz mein woh mohabbat hai! Margar sun, tere dard, teri mohabbat ke saat yeh duniya wale-yeh duniya wale kya insaaf karenge, ha? Tu tadapta rehjayega, gaata rehjayega, yeh dekhti rehjayegi duniya."
(( "Wow! What pain there is in your voice, boy. They say when the heart breaks there is no sound, but when it breaks, the world ends, storms rage, earthquakes come. In your voice is that pain, in your voice is that love. But listen, with your pain, with your love these people-these people, what possible justice could they possibly do you, huh? You will be left suffering, and singing. The world will just be left watching"))
sach kahate hain duniya vaale pyaar na kar
pyaar to hai ik rog bura is rog se dar
deewaanon ki qismat mein tanhaai hai
ishq ka dooja naam to yaar judaa' i hai
pardesi mere yaara mujhe na rulaana
tum yaad rakhna kaheen bhool na jaana

pardesi pardesi jaana nahi
mujhe chhodke mujhe chhodke
pardesi mere yaara vaada nibhaana
pardesi mere yaara laut ke aana
mujhe yaad rakhna kaheen bhool na jaana

o mere pardesi jaana nahi
mujhe chhodke mujhe chhodke
o mere pardesi jaana nahi
munh modke dil todke
o mere pardesi tu jaana nahi
mujhe chhodke han mujhe chhodke


Share: