गुरुवार, 15 जनवरी 2009

TERI MEHFIL MEIN QISMAT



Debate kinda song very interesting and brilliant composition from the Classic Bollywood Movie MUGHAL-E-AZAM 1960.

Singers: Lata Mangeshkar and Shamshad Begum

Lyrics: Shakeel Badayuni

Music Director: Naushad Ali.


Lyrics of the song:

Teri mehfil mein qismat aazmakar hum bhi dekhenge
ghadi bhar ko tere nazdeek aakar hum bhi dekhenge - 2
haan ji haan hum bhi dekhenge

Tere mehfil mein qismat aazmakar hum bhi dekhenge
teri kadmon pe sar apna jhukakar hum bhi dekhenge - 2
haan ji haan hum bhi dekhenge

Bahaarein aaj paigham-e-mohabbat leke aayi hain
badi muddat mein ummeedon ki kaliyaan muskurayi hain
badi muddat mein jee haan, aa aa aa..
badi muddat mein ummeedon ki kaliyaan muskurayi hain

Gham-e-dil se zara daaman bachakar hum bhi dekhenge - 2
haan ji haan hum bhi dekhenge

Agar dil gham se khali ho toh jeene ka maza kya hai
na ho khoon-e-jigar toh ashq peene ka maza kya hai
na ho khoon-e-jigar, haan...
na ho khoon-e-jigar toh ashq peene ka maza kya hai

Mohabbat mein zara aansoo bahakar hum bhi dekhenge - 2
teri mehfil mein qismat aazmakar hum bhi dekhenge
haan ji haan hum bhi dekhenge

Mohabbat karne walon ka hai bas itna hai afsana
tadapna chupke chupke aah bharna, ghut ke mar jana
tadapna chupke ji haan, aa aa aa..
tadapna chupke chupke aah bharna ghut ke mar jana

Kisi din yeh tamasha muskurakar hum bhi dekhenge - 2
haan ji haan hum bhi dekhenge
Teri mehfil mein qismat aazmakar hum bhi dekhenge
haan ji haan hum bhi dekhenge

Mohabbat humne maana zindagi barbaad karti hai
yeh kya kam hai ki mar jaane pe duniya yaad karti hai - 3

Kisi ke ishq mein duniya luta kar hum bhi dekhenge -2
tere kadmon pe sar apna jhukakar

Ghadi bhar ko tere nazdeek aakar
Teri mehfil mein qismat aazmakar hum bhi dekhenge
haan ji haan hum bhi dekhenge -2

">
Share: