शुक्रवार, 22 फ़रवरी 2008

Jaane Kya Dhoondta Hai - LUCKY ALI - SUR




Song : Jaane Kya Dhoondta Hai
Movie Name: SUR
Singer: LUCKY ALI
Music :MM Kreem

Jaane kya dhoondta hai, ae mera dil

Tujhko kya chaahiye zindagi

(Jaane kya dhoondta hai, ae mera dil

Tujhko kya chaahiye zindagi)

Raaste hi raaste hain, kaisa hai yeh safar

Dhoondti hain jisko nazrein, jaane hai voh kidhar

(Jaane kya dhoondta hai, ae mera dil

Tujhko kya chaahiye zindagi)

Bechehra sa koi sapna hai voh

Kahin nahin hai phir bhi apna hai voh

Aise mere andar shaamil hai voh

Main hoon behta dariya, saahil hai voh

Hai kahan voh, voh kidhar hai, raaste kuch to bata

Kaun sa uska nagar hai, reh guzar kuch to bata

Dhoondti hain jisko nazrein, jaane hai voh kidhar

(Jaane kya dhoondta hai, ae mera dil

Tujhko kya chaahiye zindagi)

Soona sa hai mandir, moorat nahin

Khaali hai aaina, soorat nahin

Jeene ka jeevan mein kaaran to ho

Maheke kaise kaliyaan, gulshan to ho

Shamma hai jo mujh mein roshan, voh viraasat kisko doon

Door tak koi nahin hai, apni chaahat kisko doon

Dhoondti hain jisko nazrein, jaane hai voh kidhar

(Jaane kya dhoondta hai, ae mera dil

Tujhko kya chaahiye zindagi)
Share: