सोमवार, 29 अक्तूबर 2007

Purani Jeans -AliHaider



Song: Purani Jeans by Ali Haider


Purani jeans aur guitar...Mohalle ki vo chhat ….

Aur mere yaar
Vo raaton ko jaagna … Subah ghar jaan … Kood ke deewar
Vo cigaretee peena … Gali mein jaake .. Wo karna daanton ko Ghadi ghadi saaf
Pahunchna college hamesha late ….Vo kehna sir ka “Get out from the class!”
Vo bahar jaake hamsha kehna …Yahan ka system …Hi hai kharaab

Vo jaake canteen mein ……Table bajaake …Vo gaane gaana Yaaron ke saath
Bas yaadein ..Yaadein Yaadein reh jaati hain ….
Kuchh chhoti ..Chhoti ….
Baatein reh jaati hain Bas yaadein…………………..

Vo papa ka daantna ….Vo kehna mummy ka …..Chhodein ji aap
umhein to bas nazar aata hain ……Jahan mein beta ……Mera hi kharaab

Vo dil mein sochna ……Kar ke kuchh dikha dein …..Vo karna planning . Roz nayi yaar
Ladakpan ka vo pehla pyaar ….Vo likhna haathon pe ….A + R

Vo khidki se jhaankna ….Vo likhna letter ….Unhein baar baar Vo dena tofe mein …..
Sone ki baaliyan ….Vo lena doston se Paise udhaar
Bas yaadein ….Yaadein ….Yaadein reh jaati hain Kuchh chhoti …….Chhoti …
Baatein reh jaati hain ..Bas yaadein..
Aisa yaadon ka mausam chala ……Bhoolta hi nahin ……Dil mera
Kahan meri jeans aur guitar …….Mohalle ki vo chhat ……Aur mere yaar
Vo raaton ko jaagna ……Subah ghar jaan ………..Kood ke deewar Purani jeans …….Aur guitar.. !!!!!!

Share: