मंगलवार, 1 जनवरी 2008

Anjaani raahon mein - Lucky ali



Hindi Song Title: Anjaani raahon mein

Album Name: Meri Jaan Hindustan 

(This album was produced to celebrate 50 years of Indian independence)

Singer : LUCKY ALI
Music : LUCKY ALI

Anjaani raahon mein tu kya dhoondta phire..
Door jisko samjha woh to paas hai tere
Saans mein hawaa, jaan mein zameen
Dil mein khula aasmaan
Pyaar hai khuda, pyaar hai khushi
Pyaar se hai dono jahaan
Tera yeh aashiyana, mera bhi aashiyana

To anjaani raahon mein tu kya dhoondta phire
Door jisko samjha woh to paas hai tere
Ghoomta raha door tu kahin, udte baadalon ki tarah
Kahin se tujhe aayi hai sadaa, laut ke aa ab zara
Tera yeh aashiyana, mera bhi aashiyana

Woh jhilmilati aankhen, bholi si adaa
Woh dheere dheere chalke lahrati hawaaein
Hum ko le jaaye wahan
Jahan ho ghar apna ..o..o.Meri yaadon mein paaya hai
Aaj to milne ka din hai aaya, aaya

Saans mein hawaa, jaan mein zameen .........Dil mein khula aasmaan
Pyaar hai khuda, pyaar hai khushi Pyaar se hai dono jahaan
Tera yeh aashiyana, mera bhi aashiyana
To anjaani raahon mein tu kya dhoondta phire
Door jisko samjha woh to paas hai tere

    Share: