गुरुवार, 14 जुलाई 2011

THE UNFORGETABLE



  1. Aaye Hain Samjhaane Log
    Hain Kitne Deewane Log

    Dair-o-haram Mein Chain Jo Miltha
    Kyon Jaathe Maikhaane Log

    Jaan Ke Sab Kuch, Kuch Bhi Na Jaane
    Hain Kitne Anjaane Log

    Waqt Pe Kaam Nahin Aathe Hain
    Ye Jaane Pehchaane Log

    Ab Jab Mujh Ko Hosh Nahin Hain
    Aaye Hain Samjhaane Log


  1. Bahut Pehle Se Un Qadmon Ki Aahat Jaan Letey Hai
    Tujhe Ae Zindagi Hum Door Se Pehchaan Letey Hain

    Tabiyat Apni Ghabraati Hai Jab Sunsaan Raaton Mein
    Hum Aise Mein Teri Yaadon Ki Chaadar Taan Lete Hain

    Meri Nazren To Aise Qaafiron Ka Jaan-o-imaan Hai
    Nigaahen Milte Hi Jo Jaam Aur Imaan Lete Hain

    'firaq' Aksar Badal Kar Bhesh Milta Hai Koi Qaatil
    Kabhi Hum Jaan Lete Hian Kabhi Pehchaan Lete Hain


  1. Dard Badhkar Fughan Na Ho Jaaye
    Ye Zameen Aasmaan Na Ho Jaaye

    Dil Mein Dooba Hua Jo Nashtar Hai
    Mere Dil Ki Zubaan Na Ho Jaaye

    Dil Ko Le Leejiye Jo Lena Hai
    Fir Ye Sauda Garan Na Ho Jaaye

    Aah Kije Magar Latif Tabhi
    Lab Tak Aakar Dhuaan Na Ho Jaaye

  1. Ek Na Ek Shamma Andhere Mein Jalaye Rakhiye
    Subah Hone Ko Hai Maahol Sajaaye Rakhiye

    Jinke Haathon Se Hume Zakm-e-neha Pahunchi Hai
    Wo Bhee Kehte Hain Ke Zakhmon Ko Chupaaye Rakhiye

    Kaun Jaane Ke Wo Kis Raah-guzar Se Guzre
    Har Guzar Raah Ko Phoolon Se Sajaaye Rakhiye

    Daaman-e-yaar Ki Zeenat Na Bane Har Ansoo
    Apni Palkon Ke Liye Kuch To Bachaaye Rakhiye


  1. Hum Hi Mein Thee Na Koi Baat, Yaad Hi Na Tumko Aa Sake
    Tumnay Hamein Bhula Diya Hum Na Tumhe Bhula Sake

    Tum Hi Na Sun Sake Agar Kissa-e-gham Sunega Kaun
    Kis Ki Zubaan Khulegi Phir Hum Na Agar Suna Sake

    Shauk-e-visaal Hain Yahan Lab Pe Sawaal Hai Yahan
    Kis Ki Majaal Hai Yahan Hum Se Nazar Mila Sake


  1. Jawan Hai Raat Sakiya Sharaab La Sharaab La
    Zara Si Pyaas To Bhuja Sharaab La Sharaab La

    Tere Shabab Par Sada Karam Rahey Bahaar Ka
    Tujhay Lage Meri Dua Sharaab La Sharaab La

    Yahan Koi Na Jee Saka Na Jee Sakega Hosh Mein
    Mitaa Dey Naam Hosh Ka Sharaab La Sharaab La

    Tera Bada Hi Shukriya Pilaaye Ja Pilaaye Ja
    Na Zikr Kar Hisaab Ka Sharaab La Sharaab La



  1. Kisi Ranjish Ko Hawa Do Ke Main Zinda Hoon Abhi
    Mujhko Ehsaas Dila Do Ke Main Zinda Hoon Abhi

    Mere Rukne Se Meri Saanse Bhi Ruk Jaayengi
    Faasile Aur Badha Do Ke Main Zinda Hoon Abhi

    Zehar Peene Ki To Aadat Thi Zamaane Waalon
    Ab Koi Aur Dawa Do Ke Main Zinda Hoon Abhi

    Chalti Raahon Mein Yoonhi Aankh Lagi Hai 'faakir'
    Bheed Logon Ki Hata Do Ke Main Zinda Hoon Abhi


  1. Raat Bhi Neend Bhi Kahaani Bhee
    Haaye Kya Cheez Hai Jawaani Bhee

    Dil Ke Sholon Se Padti Hai Sehra
    Zindagi Aag Bhee Hai Paani Bhee

    Khark Kya Kya Mujhe Nahin Kehti
    Kuch Sunoon Main Teri Zubaani Bhee

    Paas Rehna Kisi Ka Raat Ki Raat
    Mehmaani Bhee Mezbaani Bhee


  1. Tumne Sooli Pe Latakte Jise Dekha Hoga
    Waqt Aayega Wahi Shaksh Maseeha Hoga

    Khwaab Dekha Thaa Ke Sehra Mein Basera Hoga
    Kyaa Khabar Thi Ke Yahi Khwaab To Sachcha Hoga

    Main Fizaaon Mein Bikhar Jaaoonga Khushboo Bankar
    Rang Hoga Na Badan Hoga Na Chehra Hoga

  1. Yeh Mojeza Bhi Mohabbat Kabhi Dikhaaye Mujhe
    Ke Sang Tujhpe Gire Aur Zakhm Aaye Mujhe

    Wo Meharbaan Hai Tho Ikraar Kyoon Nahin Kartha
    Wo Badgumaan Hai Tho Sau Baar Aazmaaye Mujhe

    Wo Mera Dost Hai Saare Jahaan Ko Hai Maaloom
    Daga Kare Wo Kisi Se Tho Sharm Aaye Mujhe

    Main Apni Zaat Mein Neelam Ho Raha Hoon 'qateel'
    Gham-e-hayaat Se Keh Do Khareed Laaye Mujhe
Share: