रविवार, 28 जुलाई 2013

Hari sumiran by Sudha Malhotra (Classic),



Hari sumiran by Sudha Malhotra 

Sumiran karle mere mana


Lyrics -

Sumiran kar le mere mana
 teri beeti umar hari naam bina 

koop neer bin dhenu ksheer bin 
dharti neh bina 
jaise taruvar phal bin heena 
taise prani hari naam bina 

deh naian bin, rain chain bin 
mandir deep bina 
jaise pandit ved vihina 
taise  prani hari naam bina 

kaam krodh mad lobh vikaro 
chhod jagat tu sant jana 
kahe nanak suno bhagwanta 
is jag mein koi nahi apna 

Bhajman ram chanarn sukhdayi


Lyrics -

Bhajman Ram charan sukhdayi 
japo re ram charan sukhdayi 

Jihi charnan se nikasi sursari sankar jata samayi 
jata sankari naam paryo hai tribhuvan taran aayi

soyi charan santan jan sevat sada rahat sukhdayi
soyi charan gautam rishi nari parasi param pad paayi 

dandak ban prabhu paavan kinho rishiyan tras mitayi 
soyi prabhu trilok ke swami kanak mriga sang dhayi 

shiv sanakadik aru brahmadik shesh sahas mukh gaayi 
tulsidas marut sut ki prabhu nij mukh karat badhai 

RAM....

Hari ko naam sada sukhdayi


Lyrics -

Hari ko naam sada sukhdayi
jako simar alamil ubaryo ganikahu gati payi 

panchali ko raaj sabha mein ram naam sudhi aayi  
tako dukh haryo karunamaya apni sez badhai 

jai nar jap kripanidhi gayo tako bhayo sahayi 
kahe nanak mero bharoso gahi aan sharnayi 

Hari pardes bahut din aayen


Lyrics -

Hari pardes bahut din aayen 
kali ghata dekh baadal ki, nain neer bhar aayen 

Pa laago tum beer bataun kaun des se aayen 
itni patiyan mori dijo, jahan shyam ghan chhayen 

Dadur mor papiha bole sobat madan jagaye 
sur das swami jo bichhude preetam bhaye paraye 

Hey nath tumhi sabke malik


Lyrics -

Mera mujhme kuchh nahi jo kuchh hai so tor 
tera tujhko saup te kya lage hai mor 
tan pavitra seva kiye , dhan pavitra kiye daan 
man pavitra hari bhajan se , is vidhi ko kalyaan 

Hey nath tumhi sabke malik 
tum hi sabke rakhware ho tum hi sab jag mein vyap rahe 
prabhu roop anekon dhare ho hey nath tumhi .... 

hum maha mudh agyani jan prabhu bhav sagar mein doob rahe 
nahi nritya tumhari bhakti karen man malin vishaya mein khoob rahe 
sat sangat mein nahi jaye kabhi khal sangat mein bharpoor rahe 
hey nath tumhi ...

Tum deen bandhu jag paawan ho, hum deen patit ati bhari hain
hai nahi jagat mein thaur kahin hum aaye sharan tumhari hain 
hum khade tumhare dar par hain tumpar tan man dhan vaare hain 
hey nath tumhi ....

is tooti phuti naiya ko bhavsagar se khena hoga 
phir nij hanthon se nath utha kar paas bitha lena hoga 
hey asharan sharan nath anath ab to aashraya dena hoga 
hey nath tumhi ... 

Naiya padi majhdhar


Lyrics -

Naiya padi majhdhar guru bin kaise laage paar 
main apradhi janam janam ka man mein bhara vikar 
tum data dukh bhanjana meri karo sambhaar

Ram ram ratte raho jab lag ghat mein pran 
kabahu to deen dayal ke bhanak padegi kaan 
sahib tum mat bhuliyo lakh log lad jaaye 
humse tumharo bahot hai tum sam hamaro nahi 

antaryami ek tum ho aatam ke aadhaar 
jo tum chhodo saath prabhu ji kaun utare paar 

Prabhu charnon mein aaya pujari


Lyrics -

Prabhu charnon mein aaya pujari jeevan bhet chadhane 
naina daras deewani 

jo apne woh sabhi paraye sab swarath ki dori laayen 
maaya ke bandhan se hat kar aaya tere dware 
naina daras deewani 

chamki ek prakash ki rekha bhagaton ne apna bhagwan dekha 
jyot se jyot jali chali hai milne jo aaye so jaaye 
naina daras deewani 

Tera janam maran mit jaaye


Lyrics -

tera janam maran mit jaaye 
 hari ka naam sumir pyare 

jag mein aaya nar tan paaya 
bhagya bade bhare 
moh bhulana kadar na jaana 
ret ratan daare 

balapan mein man khelan mein 
sukh dukh nahi dhare 
joban rasiya ka man basiya 
tan man dhan haare 

budha ho kar ghar mein sokar 
sune vachan khare 
durbal kaya ro sataya 
trishna tan jaare 

prabhu nahi sumira beeti umara 
kaal aaye maare 
brahmanand bina jagdeeshwar 
kaun vipat taare 

Tera koi nahi rokan haar


Lyrics -

Tera koi nahi rokan haar magan huye meera chali

laaj sharam kul ki maryada sir se door kari  

maan apmaan ko udhar patke nikasi gyan gali
unchi atariya laal kiwadiya nirguna sez bicchi
pachrangi jhalar subh sohe phulan phool kali
magan huye meera chali

Baju bandh kadula sohe sindhur maang bhari
sumiran thal haanth mein linho sobha adhik khari
sej sukhmana meera sohe subh hai aaj ghadi
tum jaao raana ghar apne meri thari na hi sahi
 magan huye meera chali

Share: