In Search
- Apne Hothon Par Sajaana Chaahta Hoon
 Aa Tujhe Main Gun-gunaana Chaahta Hoon
 
 Koi Aansoo Tere Daaman Par Girakar
 Boond Ko Moti Banaana Chaahta Hoon
 
 Thak Gaya Main Karte-karte Yaad Tujhko
 Ab Tujhe Main Yaad Aana Chaahta Hoon
 
 Chaa Raha Hai Saari Basti Mein Andhera
 Roshni Ko Ghar Jalaana Chaahta Hoon
 
 Aakhri Hichki Tere Zaano Pe Aaye
 Maut Ko Bhi Shaayarana Chaahta Hoon
- Bebasi Jurm Hai Hauslaa Jurm Hai
 Zindagi Teri Ek-ek Adaa Jurm Hai
 
 Ae Sanam Tere Baare Mein Kuch Sonchkar
 Apne Baare Mein Kuch Sochna Jurm Hai
 
 Yaad Rakhna Tujhe Mera Ek Jurm Thaa
 Bhool Jaana Tujhe Doosra Jurm Hai
 
 Kya Sitam Hai Ke Tere Haseen Sehar Mein
 Har Taraf Gaur Se Dekhnaa Jurm Hai
- Dosti Jab Kisi Se Kee Jaaye
 Dushmano Ki Bhi Raaye Lee Jaaye
 
 Maut Ka Zahar Hai Fizaon Mein
 Ab Kahan Ja Kay Saans Lee Jaaye
 
 Bas Isee Sonch Mein Hoon Dooba Hua
 Ye Nadi Kaise Paar Kee Jaaye
 
 Mere Maazi Ke Zakhm Bharne Lage
 Aaj Phir Koi Bhool Kee Jaaye
 
 Botlayen Khol Ke To Pee Barson
 Aaj Dil Khol Ke Bhee Pee Jaaye
- Jab Kisi Se Koi Gila Rakhnaa
 Saamne Apne Aai'ina Rakhna
 
 Yun Ujaalon Se Waasta Rakhnaa
 Shamma Ke Paas Hi Hawa Rakhnaa
 
 Ghar Ki Taameer Chaahe Jaisi Ho
 Ismen Rone Ki Jageh Rakhnaa
 
 Masjiden Hain Namaaziyon Ke Liye
 Apne Ghar Mein Kahin Khuda Rakhnaa
 
 Milan-julna Jahan Zaroori Ho
 Milne-julne Ki Hauslaa Rakhnaa
- Kahin Aisa Naa Ho Daaman Jala Lo
 Hamaare Aansoon Par Khaak Daalo
 
 Manaana Hee Zaroori Hai To Fir Tum
 Hume Sabse Khafa Hokar Mana Lo
 
 Bahut Royee Huyee Lafti Hain Aankhen
 Meri Khaatir Zara Kaajal Laga Lo
 
 Akelepan Se Khauf Aata Hai Mujhko
 Kahan Jo Ae Mere Khwab-o-khayaalon
 
 Bahut Masoom Baitha Hoon Main Tumse
 Kabhi Aakar Mujhe Hairat Mein Daalo
- Kahin Aisa Naa Ho Daaman Jala Lo
 Hamaare Aansoon Par Khaak Daalo
 
 Manaana Hee Zaroori Hai To Fir Tum
 Hume Sabse Khafa Hokar Mana Lo
 
 Bahut Royee Huyee Lafti Hain Aankhen
 Meri Khaatir Zara Kaajal Laga Lo
 
 Akelepan Se Khauf Aata Hai Mujhko
 Kahan Jo Ae Mere Khwab-o-khayaalon
 
 Bahut Masoom Baitha Hoon Main Tumse
 Kabhi Aakar Mujhe Hairat Mein Daalo
- Khaamoshi Khud Apni Sada Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai
 Sannata Hee Goonj Raha Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai
 
 Mera Maaji Mujh Se Bichad Kar Kya Jaane Kis Haal Mein Hai
 Meri Tarah Wo Bhi Tanha Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai
 
 Sehra Sehra Kab Tak Main Dhoondoon Ulfat Ka Ek Aalam
 Aalam Aalam Ik Sehraa Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai
 
 Aehle Toofaan Sonch Rahe Hain Saahil Dooba Jaata Hai
 Khud Unka Dil Doob Raha Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai
- Ya To Mit Jaa'iye Ya Mita Dijiye
 Kijiye Jo Bhi Sauda Khara Kijiye
 
 Ab Jafa Kijiye Ya Wafa Kijiye
 Aakhri Waqt Hai Bas Dua Kijiye
 
 Apnee Chehre Se Zulfen Hata Dijiye
 Aur Phir Chaand Ka Saamna Kijiye
 
 Har Taraf Phool Hi Phool Khil Jaayenge
 Aap Aise Hee Hanste Raha Kijiye
 
 Aapkee Ye Hansi Jaise Ghoongru Baje
 Aur Qayamat Hai Kya Ye Bata Dijiye
Share: