गुरुवार, 3 नवंबर 2011

Dil mein ek laher si utthi hai abhi..



Dil mein ek laher si utthi hai abhi,
Koi taaza hawa chali hai abhi.
Dil mein ek laher si utthi hai abhi..

shor barpa hai khana-e-dil mein,
koi deewar si giri hai abhi.
koi taza hawa chali hai abhi,
Dil mein ek laher si utthi hai abhi..

kuchh to nazuk mizaaj hain hum bhi,
aur ye chote bhi nayi hai abhi.
koi taza hawa chali hai abhi,
Dil mein ek laher si utthi hai abhi..

yaad ke be-nishaan jazeeron se,
teri awaaz aa rahi hai abhi.
koi taza hawa chali hai abhi,
Dil mein ek laher si utthi hai abhi..

shehar ki be-charaagh galiyon mein,
zindagi tujh ko dhoondti hai abhi.
koi taza hawa chali hai abhi,
Dil mein ek laher si utthi hai abhi..
Share: