Moksha
Opening invocation
Shree hanuman moksha vandana
Lyrics -
Charan sharan meinaayi ke dharun tumhara dhyan
sankat se raksha karopawan putra hanuman
durgam kaaj banaye ke kije bhata nihal
ab mori binati suno hey anjani ke laal
haath jod binati suno veer hanuman
kashton se raksha karo ram bhakti dehu aaj
pavan putra hanuman
Mangal moorati maruti nandan
Lyrics -
Mangal moorati ram dulare aan pada ab tere dware
hey bajrang bali hanuman
hey mahaveer karo kalyan
teeno lok tera ujiyara
dukhiyon ka tune kaaj sanwaara
hey jag vandan kesari nandan
kashta haro hey kripa nidhan
tere dware jo bhi aaya
khali haath nahi lautaya
durgam kaaj banawan haare
mangal maya dijo vardaan
tera sumiran hanumat veera
naase rog hare sab peera
ram lakhan seta man basiya
sharan pade ka dije dhyan
teeno lok tera ujiyara
dukhiyon ka tune kaaj sanwara
hey jagvandan kesari nandan
kashta haro hey kripa nidhan
Hey dukh bhanjan maruti nandan
Lyrics -
Hey dukh bhanjan maruti nandan
sun lo meri pukar pawan sut binati barambar
asta siddhi nav nidhi ke data
dukhiyon ke tum bhagya vidhata
siya ram ke kaaj sanware
mera kar uddhar
pawan sut binati barambar
aprampar hai shakti tumhari
tumpar rijhe awadhbihari
bhakti bhav se dhyaun tohe
kar dukhon se paar
japoon nirantar naam tihara
ab nahi chhodun tera dwara
ram bhakt mohe sharan mein lije
bhavsagar kar paar
Jai jai jai bajrang bali
Lyrics -
jai shree hanuman
jai jai jai bajrang bali
mahaveer hanuman gosai tumhari yaad padi
jai jai jai bajrangbali
sadhu sant ke hanumat pyare
bhakt hridaya shree ram dulare
ram rasayan paas tumhare
sada raho tum ram duware
tumhari kripa se hanumat veera
sabri vipati tari
tumhari sharan maha sukhdayi
jai jai jai hanuman gosain
tumhari mahima tulsi gaayi
jag janani sita mahamayi
shiv shakti ki tumhare hirdaya
jyot mahan jali
jai jai jai hanuman gosain
tumhari mahima tulsi gaayi
jag janani sita mahamayi
shiv shakti ki tumhare hirdaya
jyot mahan jali