गुरुवार, 5 जनवरी 2012







jo bhaje hari ko sada
Listen to jo bhaje hari ko sada

Lyrics -

jo bhaje hari ko sada
soyi param pad paayega
deh ke mala tilak aur
haath nahi kuch kaam denge
prem bhakti ke bina nahi
nath ke man bhayega

dil ke darpan ko safa kar
door kar abhiman ko
khak ho guru ke kadam ki
to prabhu mil jayega

chodd duniya ke maje sab
baith kar ekant mein
dhyan dhar hari ka charan ka
phir janam nahi aayega

dridh barosa man mein karke
jo jape hari naam ko
kehta hai Brahmanand
bheetar payega

krishna krishna kahiye uthi bhor
Listen to krishna krishna kahiye uthi bhor

Lyrics -

Krishna krishna kahiye uthi bhor
bhor kiran ke saath krishna kah
van mein nache mor

pakshi ke kalrav mein vandan
vandan lehrein karti
vandan karti bahe sameerein behti
gaayen hain pag bhartin
krishna krishna kah putra jaga ke mata hoye vibhore

gun gun kar ke krishna krishna kahe
bhanware dol rahe hain
krishna krishna kah kamal pushpa sab
pankhudi khol rahe hain
vandan ki abha faili hain
dekho charon ore

phool toot ke dhara pe bikhare
isi bhanti hai vandan
doob ke mukh par os padi hai
mahak utha hai chandan
koyal kook ke vandan karti
hans kare kilore .

prabhu ke charnaarvind mein
Listen to prabhu ke charnaarvind mein

Lyrics -

Prabhu ke charnaarvind mein
prani charnaaraj hum ho jaaye

paapon ka shodhan kar bande
parmanand ko hum paayen

shree ram to param tatva hain
param dhaam ati paavan hai
sada sanatan aadi dev hain
bhakti yog man bhaavan hain
dhyan karen hum shree ram ka
tanmaya na hoke gun gayen

janam maran ke bhaya se prani
mukt karen hum bhitar apna
sabhi saadhana puran hogi
shree ram ko hi japana
sumiran kar ke shree ram ka
sheetal man hum apnaayen

valmiki muni rushi dev bhi anek
tran sada karte
shree ram ke shree charan mein
sheesh narayana hain dharte
shree ram hi param brahma hain
amar jyoti hum phailayen

Ram kahiye ram japiye
Listen to Ram kahiye ram japiye

Lyrics -

Shree Ram...
Ram kahiye ram japiye
saans ke hi pravesh mein
chir nirantar man rama le
ram ke parivesh mein

punya hi aadhar hai woh
tej hai rakesh hai
kanj hai woh kant hai woh
aadya hai woh nimesh mein

prat japiye sanjh japiye
prem mein aur dwesh mein
desh mein pardesh mein
va kabu rahiye bhesh mein

bhog bhaya udveg chanchal
malin ya aavesh mein
ram mukh se boliye
shree ram hain akhilesh mein

netra mein adharon mein rakhiye
aur japiye bhed mein
jap rahe ehin vadantim
pran vandan bhet mein

Share: