बुधवार, 27 नवंबर 2013

Haman hai isq mastana - Kabirdas ji bhajans with starting letter




Haman hai isq mastana

Haman hai isq mastana humko hoshiyari kya
rahe aazad yah jag mein ,haman duniya se yaari kya
jo bichhude hain piyare se bhatakte dar badar phirte
humara yaar hai humme haman ko intzari kya
khalak sab naam ape ko bahut kar sar patakata hai
haman hari naam rancha hai haman duniya se yaari kya
na pal bichhude piya humse ,a hum bichhude piyare se
unhi se neh laaga hai hama se bekarari kya
kabira ishq ka maata dui ko door kar dil se
jo chalna raah nazuk hai ,haman sar bojh  bhari kya

Hum ka odhave chadariya
hum ka odhave chadariya chalti beriya
pran raam jab nikasan laage ulti gayi dou nain putariya
bhitar se jab bahar laayen chhut gayi sab mahal ataariya
char jane mil khaat uthave,rovat le chale dagar dagariya
kahat kabir suno bhai sadho ,sang chali wahh sukhi lakadiya

Ho baliya


Lyrics -

ho baliya kab dekhungo tohi
pahun savatur darshan kaaran 
aisi jaave mori
nain humare tumko chahen 
rati na mane humari
biraha din tan adhik jarave 
aisi lelu bichari
sunahu humari tari gusain
ab din karahun badhire
tum deeraj main aatur swami
khanche bhande kheer
bahut dinan ke bicchude mano 
man nahi bandhe dheer 
deh jada tum milahu kripa kari 
aartivandya Kabeer

Humare guru mile brahma gyani 


Humare guru mile brahma gyani
payi amar nishani 

kaag palatehu hansa kine 
dinhi naam nishani 
hansa sukhsagar par 
mukti bhare jahan pani 

jal bich kumbh kumbh vich jal hai 
bahar bhitar pani 
bikasyo kumbh jal, jal hi samana 
ye gati birle hi jani 

hai athah thah santan mein 
dariya lehar samani 
bhiwar jaal dal ka karihe 
jab meen bikhal bhaye pani 

anubhav ka gyan bujhalta ki vaani 
so hai akath kahani 
kahe kabir kunge ki sain 
jin jani un maani 


Heerana samajh bujh ke van charna

Lyrics-


Heerana samajh bujh van charana
ek bana charana duje ban charana tije ban pag nahi dharana 
tije ban mein paanch paradhi unke nazar nahi parana 
toi mar tero mas bikave teri khal ka karenge bichona
kahe kabira ji sunao bhai sadho  guru ke charana chit dharana 



Share: