बुधवार, 11 अगस्त 2010

AAEENA




1. Badal Ki Tarha Jhoom Ke Lehara ke Piyenge,

Saki Tere Maykhane Men Hum Chha Ke Piyenge,


Un Madbhari Akho Ko Bhi Sharma Ke Piyenge,
Paymane Ko Paymane Se Takra ke Piyenge,


Baadal Bhi Hai Wada Bhi Hai Meena Bhi Tum Bhi,
Itrane Ka Mausam Hai Ab Itrake Piyenge


Dekhege Ki Aata Hai Kidhar Se Game Duniya,
Saki Tuzhe Hum Samne Bithake Piyenge






2. Ghar Se Nikle The Hausala Karke,
Laut Aaye Khuda Khuda Karke,
Hamne Dekha Hai Tajruba Karke,

Zindagi To Kabhi Nahi Aye,
Maut Aye Jara Jara Karke,

Log Sunte Rahe Dimag Ki Baat,
Hum Chale Dil Ko Rhnuma Karke,

Kisne Paya Sukun Dunia Me,
Zindagani Ka Samna Karke



3. Kanton Se Daaman Uljhana Meri Aadat Hai
Dil Me Praya Dard Basana Meri Aadat Hai


Mera Gala Agar Kat Jaye To Mujh Per Kya Ilzam
Har Katila Ko Gale Lagana Meri Aadat Hai


Jin Ko Duniya Ne Thukraya Zin Se Hai Sab Door
Ayse Logo Ko Apnana Meri Aadat Hai


Sab Ki Baten Sun Leta Hu Mein Chup Chap Magar
Apne Dil Ki Karte Jana Meri Aadat Hai




4. Apna Apna Rasta Hai Kuch Nahi,
Kya Bhala Hai Kya Bura Hai Kuch Nahi,


Justaju Hai Ek Musalsal Justaju,
Kya Kahi Kuch Kho Gya Haikuch Nahi,


Mohar Mere Nam Ki Har Shaype Hai,
Mere Ghar Me Mera Kya Hai Kuch Nahi,


Kahene Wale Apni Apni Kah Gaye,
Muzse Puch Kya Suna Hai Kuch Nahi,


Koi Darwaje Pe Hai To Kya Huya,
Aap Se Kuch Mangta Hai Kuch Nahi






5. Muskurakar Mila Karo Humse,
Kuch Kaha Aur Suna Karo Hamse,


Baat Karne Se Baat Badhti Hai,
Rooj Bate Kiya Karo Hamse,


Dushmani Se Milaiga Kya Tumko,
Dost Bankar Raha Karo Hamse,


Dekh Lete Hai Saat Pardo Me,
Yuh Na Parda Kiya Karo Hamse






6. Parakhana Mat Parakhne Me Koi Apna Nahi Rehta,
Kisi Bhi Aaeene Mein Deer Tak Chera Nahi Rehta,

Bade Logo So Milne Mein Hamesha Fasala Rakhna,
Jaha Dariya Samandar Se Mila Dariya Nahi Rehta,


Tumhara Shaar To Bilkul Naye Andaaz Walahai,
Hamare Shaar Me Bhi Ab Koi Hamsa Nahi Rehta,


Mohabaat Ek Khusbu Hai Hamesha Saath Chalti Hai,
Koi Insaan Tanhai Me Bhi Tanha Nahi Rehta



7. Phir Nazar Se Pila Dijiye,
Hosh Mere Uda Dijiye,


Chodiye Barhmi Ki Ravish,
Ab Jara Muskura Dijiye,


Baat Afsanaban Jayegi,
Is Kadar Mat Hawa Dijiye,


Aaye Khulke Miliye Gale,
Sab Takaluf Hata Dijiye,


Kab Se Mushtake Didar Hu,
Ab To Jalwa Dikha Dijiye.






8. Tera Chera Hai Aaene Jaisa,
Kyo Na Dekhu Hai Dekhne Jaisa,


Tum Kaho To Main Puch Lu Tumse,
Hai Sawal Ek Puchne Jaisa


Dost Mil Jayege Kayi Lakin,
Na Milega Koi Mere Jaisa,


Tum Achanak Mile The Jab Pahle,
Pal Nahi Hai Wo Bhulne Jaisa






9. Uski Baten To Phool Hon Jaise,
Baki Baten Babul Ho Jaise,


Choti Choti Si Uski Wo Akhe,
Do Chameli Ke Phool Ho Jaise,


Uski Haskar Nazar Zhuka Lena,
Sari Sharte Kubul Ho Jaise,


Kitni Dilkash Hai Uski Khamoshi,
Sari Baten Phijul Ho Jaise





10. Uski Baten To Phool Hon Jaise,
Baki Baten Babul Ho Jaise,


Choti Choti Si Uski Wo Akhe,
Do Chameli Ke Phool Ho Jaise,


Uski Haskar Nazar Zhuka Lena,
Sari Sharte Kubul Ho Jaise,

Kitni Dilkash Hai Uski Khamoshi,
Sari Baten Phijul Ho Jaise
Share: