शनिवार, 28 अगस्त 2010

HARI OM TATSAT



1. Hari Banke Shree Ram Aaye Jagat Mein,

Pita Ke Vachan Ko, Nibhaye Jagat Mein,
Padi Bheer Jab Jab, Sadhu Jano Par,
Mitaye Jagat Mein, Dushto Ko Aakar,
Isi Naam Ko "ram" Kahte The Hanuman,
Hari Om Tatsat, Hari Om Tatsat

2. Hari Ji Bane Krishna Basi Bajaye,
Gokul Mein Makhan Leela Dikhate,
Mor Mukut Pitambar Sajate,
Radhe Ke Sang, Radhe Shyam Kahlate,

Maha Bharat Mein Hanke, Arjun Ke Bhi Rath,
Hari Om Tatsat, Hari Om Tatsat

3. Hari Naam Ko Apna, Jivan Banake,
Do Akhar Ke Naam Ka, Deepak Jala Le,
Hari Jiko Apna, Tu Ishth Banale,
Parabhu Ji Ke Charno Mein Chit Lagale,
Hari Naam Ka Pe Le Pavan Amrit,
Hari Om Tatsat, Hari Om Tatsat


4. Hari Naam Ko, Satya Narayan Kahtey,
Bhav Sindhu, Parani Isi Se Hai Tarte,
Ajamil Isi Naam Se, Moksh Paya,
Yahi Naam Dhruv Ko, Sitara Banaya,
Tu Hari Naam Se Kar Le, Jeevan Ko Jagrit,
Hari Om Tatsat, Hari Om Tatsat


5. Hari Naam Prahlad Ka, Tha Bharosa,
Karta Sada Bhakto Ki, Puri Aasha,
Yahi Naam Palbhar Mein, Narsingh Bankar,
Karipa Aapni Barsata, Apne Bhagat Par,
Mitata Hai Jo Harinyakashyap Ki Takat,
Hari Om Tatsat, Hari Om Tatsat


6. Hari Om Tatsat, Hari Om Tatsat
Japakar Japakar, Man Se Japakar,
Hari Om Tatsat, Hari Om Tatsat
Hai Hari Naam Pawan, Ekomkar Satsat,
Hari Om Tatsat, Hari Om Tatsat.


7. Mahamantra Parbhu Ka, Hari Om Tatsat,
Ishwar Hai Man Ka, Hari Om Tatsat,
Yeh Hai Amrit Vani, Hari Om Tatsat,
Sada Bhajte Gyani, Hari Om Tatsat,
Tan Ko De Shakti, Hari Om Tatsat,
Man Ko De Bhakti, Hari Om Tatsat,
Sada Nandan Deta, Hari Om Tatsat,
Param Shanty Deta, Hari Om Tatsat,
Isi Naam Se Sidh Hota Manorath,
Hari Om Tatsat, Hari Om Tatsat


8. Yahi Naam Narad Ki Veena, Veena Hai Gati,
Namo Vishwarupi Ki, Mahima Sunati,
Yahi Naam Bhramesh Hai Japte,
Sakal Sarishti Ka Karge Sampan Kartey,
Bnaale Isi Naam Ko, Hari Ki Murat,
Hari Om Tatsat, Hari Om Tatsat
Share: