शनिवार, 28 अगस्त 2010

FORGET ME NOT



1. Aakho Se Yuh Aasu Dhalke

Sagar Se Jaise Mye Chalke
Hum Samze Mafhum-e-bhara
Koi Aaya Bhesh Badal Ke
Kash Bata Sakte Parvane
Kya Khoya, Kya Paya Jalke
Manjil Tak Wo Kya Phucha
Jisne Dekhi Raah Na Chalke


2. Abhi Wo Kamsin Ubhar Raha Hai
Abhi Hai Us Par Shabab Aadha
Abhi Jigar Mein Khalish Hai Aadhi
Abhi Hai Mujh Par Itab Aadha
Mere Sawal-e-wasal Par
Tum Nazar Zhuka Kar Khade Hue Ho
Tumhi Batao Yeh Baat Kya Hai
Sawal Pura Jawab Aadha
Laga Ke Lare Pe Le To Aaya Hu
Shekh Sahab Ko Maykade Tak
Agar Yeh Do Ghut Aaj Pile
Milega Mujhko Sawab Aadha
Kabhi Sitam Hai, Kabhi Tagaphul
Yeh Safh Jahir Hai Mujhe Ab Tak
Hua Hu Men Kamyab Aadha


3. Husn Walo Ka Ahtram Karo
Kuch To Dunia Me Nake Kam Karo
Shekh Aye Hai Bavju Hokar
Ab To Pine Ka Intezam Karo
Abhi Barsege Har Taraf Jalwe
Tum Nigaho Ka Ehtmam Karo
Log Darne Lage Gunaho Se
Barish-e-rhmat-e-tamam Karo


4. In Ashako Ko Pani Kehna
Bhool Nahi Nadani Hai
Tan Man Mein Jo Aag Lagade
Yeh To Aysa Pani Hai
Kaise Tum Se Ishq Hua Tha
Kya Kya Hum Par Biti Hai
Sun Lo To Sacha Afsana
Warna Ek Khani Hai
Shaekh-o-brhaman, Jahid-o-waiz
Piri Mein Yeh Kya Jane
Bhool Bhi Ho Jati Hai Isme
Ishq Mein Lazami Hai Yeh 'sehar'
Dil Wale Ho Maat Ghbrao
Yeh To Reet Purani Hai


5. Phool Bhare Hai Daman Daman
Lakin Vira Ghulshan Ghulshan
Akal Ki Baten Karne Waale
Kya Samzhege Dil Ki Dhadkan
Kaun Kisi Ke Dukh Ka Sathi
Aapne Aasu Apna Daman
Tera Daman Chodu Kaise
Meri Dunia Tera Daman


6. Teri Behrukhi Aur Teri Mehrbani
Yahi Maut Hai Aur Yahi Zindagani
Wahi Ek Fasana Wahi Ek Kahani
Javani, Javani, Javani, Javani
Laboo Par Tabasum
To Aakho Mein Pani
Yahi Hai Dil Zalo Ki Nishani
Batau Hai Kya Aasuo Ki Hakikath
Jo Samzho To Sab Kuch
Na Samzho To Pani


7. Tum Hamare Nahi To Kya Gam Hai
Hum Tumhare To Hai Yeh Kya Kam Hai
Husn Ki Sohkhia Zara Dekho
Gahe Shoal Hai Gahe Shabnam Hai
Muskura Do Zara Khuda Ke Liye
Sham-e-mhafil Mein Roshni Kam Haai
Ban Gaya Hai Yeh Zindagi Aab To
Tuz Se Badkar Hume Tera Gam Hai


8. Utha Surahi Yeh Shisha-o-jaam Le Saki
Phir Iske Baad Khuda Ka Bhi Naam La Saki
Phir Iske Baad Hame Tishnagi Rahe Na Rahe
Kuch Aur Dare Muravat Se Kaam Le Saki
Phir Iske Baad Jo Hoga Wo Dekha Jayega
Abhi To Peene Pelane Se Kaam Le Saki
Tere Hajur Mein Hosh-o-khird Se Kya Hasil
Nahi Hai Mye To Nigaho Se Kaam Le Saki
Share: