1. Benaam Sa Ye Dard, Thar Kyo Nahi Jata,
Jo Beet Gya Hai, Woh Gujar Kyo Nahi Jata,
Sab Kuch To Hai, Kya Dundti Rahti Hai Nigahe,
Kya Baat Hai Main Waqt Pe Ghar Kyo Nahi Jata,
Woh Ek Hi Chera To, Nahi Sare Jahan Mein,
Jo Dur Hai Who Dil Se Utar Kyo Nahi Jata,
Main Apni Hi Ulzi Hui Raho Ka Tamasha,
Jate Hai Jidhar Sab, Main Udhar Kyo Nahi Jata,
Woh Naam Jo Barso Se, Na Chera Na Badan Hai,
Woh Khawaab Agar Hai To Bikhar Kyo Nahi Jata
2. Har Ek Ghar Mein Diya Bhi Jale Anaaj Bhi Ho,
Agar Na Ho Kahi Aisa To Ehetraaz Bhi Ho,
Huqumato Ko Badalna To Kuch Muhal Nahi,
Haqumatey Jo Badalta Hai Woh Samaj Bhi Ho,
Rahegi Kab Talak Wado Mein Qyed Khushhali,
Har Ek Bar Hi Kal Kyu Kabhi Aaj Bhi Ho,
Na Karte Shoor Sharaba To Aur Kya Karte,
Tumhare Shaher Mein Kuch Aur Kam Kaj Bhi Ho
3. Teri Aankhon Se Hi Jaage Soye Hum,
Kab Tak Akhir Tere Gum Ko Roye Hum,
Waqt Ka Marham Zakhmo Ko Bhar Deta Hai,
Shishey Ko Bhi Yeh Pathar Kar Deta Hai,
Raat Ko Tuz Ko Paye Din Mein Khoye Hum,
Har Ahat Par Lagta Hai Tu Aya Hai,
Dhoop Hai Mere Peche Age Saya Hai,
Khud Aapni Hi Lash Ko Kab Tak Dhoye Hum
Share: