बुधवार, 11 अगस्त 2010

AAJ



1. Phir Aaj Mujhe Tumko Bas Itna Bataana Hai

Hasna Hee Jeewan Hai Haste Hee Jaana Hai


Madhuban Ho Ya Gulshan Ho Patjhad Ho Ya Saawan Ho
Har Haal Mein Insaan Ka Ik Phool Sa Jeewan Ho
Kaanton Mein Ulajh Ke Bhi Khushboo Hee Lutaana Hai
Hasna Hee Jeewan Hai Haste Hee Jaana Hai


Har Pal Jo Guzar Jaaye Daaman Ko To Bhar Jaaye
Ye Soch Ke Jee Lein Tho Takdeer Sawar Jaaye
Is Umr Kee Raahon Se Khushiyon Ko Churaana Hai
Hasna Hee Jeewan Hai Haste Hee Jaana Hai


Sab Dard Mitaa De Hum, Har Gham Ko Saza De Hum
Kehte Hai Jise Jeena Duniya Ko Sikha De Hum
Ye Aaj To Apna Hai Kal Bhee Apnaana Hai
Hasna Hee Jeewan Hai Haste Hee Jaana Hai





2. Rishtaa Ye Kaisa Hai Naata Ye Kaisa Hai
Pehchaan Jisse Nahin Thee Kabhi


Apna Bana Hain Wahi Ajnabi
Rishtaa Ye Kaisa Hai Naata Ye Kaisa Hai


Tumhe Dekhte Hee Rahoon Main Hamesha
Mere Saamne Yoon Hee Baithe Raho Tum


Karoon Dil Ki Baaten Main Khaamoshiyon Se
Aur Apne Labon Se Na Kuch Bhee Kaho Tum


Ye Rishta Hai Kaisa, Ye Naata Hai Kaisa
Tere Tan Ki Khushboo Bhee Lagti Hai Apni


Ye Kaisi Lagan Hai Ye Kaisa Milan Hai
Tere Dil Ki Dhadkan Bhee Lagti Hai Apni

Tumhe Paake Mehsoos Hota Hai Aise
Ke Jaise Kabhi Hum Judaa Hee Nahin The


Ye Maana Ke Jismon Ke Ghar To Naye Hain
Magar Hai Puraane Ye Bandhan Dilon Ke





3. Ye Daulat Bhi Le Lo, Ye Shohrat Bhi Le Lo
Bhale Cheen Lo Mujhse Meri Jawaani


Magar Mujhko Lauta Do Bachchpan Ka Saawan
Wo Kaagaz Ki Kasthi Wo Baarish Ka Paani


Mohalle Ki Sabse Nishaani Purani
Wo Budhiya Jise Bachche Kehte The Naani


Wo Naani Kee Baaton Mein Pariyon Ka Dera
Wo Chehre Ke Jhuriyon Mein Sadiyon Ka Phera


Bhulaaye Nahin Bhool Saqta Hai Koi
Wo Choti See Raaten Wo Lambi Kahaani


Kadi Dhoop Mein Apne Ghar Se Nikalna
Wo Chidiya Wo Bulbul Wo Thithli Pakadna


Wo Gudiya Ki Shaadi Pe Ladna Jhagadna
Wo Jhoolon Se Girna, Wo Gir Ke Sambhalna


Wo Pithal Ke Challon Ke Pyaare Se Tho'fe
Wo Tuti Hui Chudiyon Ki Nishaani


Kabhi Re't Ke Oonche Tilon Pe Jaana
Gharonde Banana, Banaake Mitaana


Wo Maasoom Chaahat Ki Tasveer Apni
Wo Khwabon Khilono Ki Taabir Jaageer Apni


Na Duniya Ka Gham Tha Na Rishton Ke Bandhan
Badi Khoobsoorat Thi Wo Zindgaani
Share: