1. Apni Aag Ko Zinda Rakhna Kitna Mushkil Hai,
Patthar Beech Aaeeena Rakhna Kitna Mushkil Hai
Kitna Aasaan Hai Tasveer Banaana Auron Kee,
Khud Ko Pase-aaeenaa Rakhna Kitna Mushkil Hai
Tumne Mandir Dekhe Honge Ye Mera Aangan Hai,
Ek Diya Bhee Jalta Rakhna Kitna Mushkil Hai
Chullu Mein Ho Dard Ka Dariya Dhyaan Mein Uske Honth,
Yun Bhee Khud Ko Pyaasa Rakhna Kitna Mushkil Hai
2. Apni Aankho Ke Samundar Mein Utar Jaane De,
Tera Mujrim Hoon Mujhe Doob Ke Mar Jaane De
Ay Nayey Dosth Main Samjhoonga Tujhe Bhee Apna,
Pehle Maazi Ka Koi Zakhm To Bhar Jaane De
Aag Duniya Ki Lagayee Hui Bhuj Jayeygee,
Koi Aansoo Mere Daaman Pe Bikhar Jaane De
Zakhm Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujko,
Sonchtaa Hoon Ki Kahoon Tujhse Magar Jaane De
3. Jahan Jahan Mujhe Sehra Dikhayee Deta Hai,
Meri Tarah Se Akela Dikhayee Deta Hai
Yeh Ek Abr Ka Tukda Kahan Kahan Barse,
Tamam Dasht Hi Pyaasa Dikhayee Deta Hai
Yeh Kis Maqaam Pe Laayee Hai Justjoo Teri,
Jahan Se Arsh Bhi Nicha Dikhayee Deta Hai
4. Jhoothi Sachchi Aas Pay Jeena Kab Tak Aakhir Aakhir Kab Tak,
Mai Ki Jagah Khoon-e-dil Peena Kab Tak Aakhir Aakhir Kab Tak
Saucha Hai Ab Paar Utraingay Ya Takra Kar Doob Marenge,
Toofanon Ki Zad Pay Safeena Kab Tak Aakhir Aakhir Kab Tak
Ek Maheene Ke Waade Par Saal Guzaara Phir Bhi Na Aaye,
Waade Ka Yeh Ek Maheena Kab Tak Aakhir Aakhir Kab Tak
Saamnay Duniya Bhar Ke Gham Hain Aur Idhar Ik Tanha Hum Hain,
Sainkdo Pathar Ik Aaiana Kab Tak Aakhir Aakhir Kab Tak
5. Lab-e-khaamosh Se Izhaar-e-tamanna Chaahe,
Baat Karne Ko Bhee Tasveer Ka Lehja Chaahe
Tu Chale Saath To Aahat Bhee Na Aaye Apni,
Dar Mein Aahan Bhee Na Ho Yun Tujhe Tanha Chaahe
Khwaab Mein Roye To Ehsaas Ho Sairaabi Ka,
Ret Par Soyen Magar Aankh Mein Dariya Chaahe
Aise Tairaaq Bhee Dekhe Hain 'muzaffar' Humne,
Gharq Hone Ke Liye Bhee Jo Sahara Chaahe
6. Log Har Mod Pe Ruk Ruk Ke Sambhalte Kyoon Hain,
Itna Dartay Hain To Phir Ghar Say Nikaltay Kyoon Hain
Main Na Jugnu Hoon Diya Hoon Na Koi Tara Hoon,
Roshni Vaalay Meray Naam Say Jaltay Kyoon Hain
Neend Se Mera Taaluq Hi Nahin Barso Sein,
Khawab Aa Aa Kay Meri Chhat Pay Tehltay Kyoon Hain
Mod Hotaa Hai Jawaani Ka Sambhalne Kay Liye,
Aur Sab Log Yahin Aa Kay Fisaltay Kyoon Hain
7. Mera Dil Bhi Shauk Say Todo Ek Tajurba Aur Sahee,
Lakh Khilonay Tod Chukay Ho Ek Khilona Aur Sahee
Raat Hai Gham Ki Aaj Bhuja Do Jalta Hua Har Ek Chirag,
Dil Mein Andhera Ho Hi Chuka Hai Ghar Mein Andhera Aur Sahee
Dam Hai Niklta Ik Aashiq Ka Bheed Hai Aa Kar Dekh To Lo,
Lakh Tamashay Dekhay Hongay Ek Nazaara Aur Sahee
Khanjar Ley Kar Saunchtay Kya Ho Qatl `murad' Bhi Kar Daalo,
Daag Hain Sau Daaman Pe Tumharay Ek Izaafa Aur Sahee
8. Neend Se Aankh Khuli Hai Abhi Dekha Kya Hai,
Dekh Lena Abhi Kuch Der Mein Duniya Kya Hai
Baandh Rakha Hai Kisee Sonch Ne Ghar Say Humko,
Varna Apna Dar-o-deewar Se Rishta Kya Hai
Ret Ki Eent Ki Pathar Ki Hoon Ya Mitti Ki,
Kisi Deewar Ke Saye Ka Barosa Kya Hai
Apni Daanist Me Samjhay Koi Duniya `shahid',
Warna Hathon Mein Lakiron Ke Ilaawa Kya Hai
9. Saare Badan Ka Khoon Paseene Mein Jal Gaya,
Itna Chale Ke Jism Hamara Pighal Gaya
Chalthehi Gin Rahe The' Museebat Ke Raat Din,
Dam Lene Hum Jo Baith Gaye Dam Nikal Gaya
Achha Hua Jo Raah Mein Thokar Lagee Humen,
Hum Gir Pade To Saara Jamaana Sambhal Gaya
Wehshat Mein Koi Saath Humara Na De Saka,
Daaman Ke Fikr Kee To Garebaan Nikal Gaya
10. Saamne Hai Jo Usey Log Bura Kehte Hain,
Jisko Dekha Hee Nahi Usko Khuda Kehte Hain
Zindagi Ko Bhee Sila Kehte Hain Kehne Waale,
Jeene Waale To Gunaahon Kee Saza Kehte Hain
Faasile Umr Ke Kuch Aur Badha Deti Hai,
Jaaney Kyoon Log Use Phir Bhee Dawa Kehte Hain
Chand Masoom Se Patton Ka Lahoo Hai `fakir',
Jisko Mehboob Ke Haathon Ki Hina Kehte Hain
11. Shaayad Aa Jaayega Saaqi Ko Taras Ab Ke Baras,
Mil Na Paya Hai Un Aankhon Ka Bhi Ras Ab Ke Baras
Aisi Chaayi Thi Kahan Gham Ki Ghatayen Pehle,
Haan Mere Deedar Tar Khoob Baras Ab Ke Baras
Oof Wo Un Umad Bhari Aankhon Ke Chlakthe Huye Jaam,
Badh Gayi Aur Bhi Peene Ki Hawas Ab Ke Baras
Pehle Ye Kab Tha Ki Wo Mere Hain Main Unka Hoon,
Unki Yaadon Ne Sataya Hai Tho Bas Ab Ke Baras
12. Ye Karen Aur Wo Karen Aisa Karen Waisa Karen,
Zindagi Do Din Ki Hai Do Din Mein Hum Kya Kya Karen
Jee Mein Aaata Hai Ki Dein Parde Se Parde Ka Jawaab,
Hum Se Wo Parda Karen Duniyaa Se Hum Parda Karen
Sun Raha Hoon Kuch Lutere Aa Gayey Hain Shehar Mein,
Aap Jaldi Bandh Apne Ghar Ka Darwazaa Karen
Is Puraani Be-wafa Duniya Ka Rona Kab Talak,
Aaiyey Mil-jul Ke Ik Duniya Nayee Paida Karen
Share: