1. Har Ghadi Khud Se Ulazana Hai Mukadar Mera
Mein Hi Kasti Hu Mujhi Mein Hai Samandar Mera
Ek Se Ho Gaye Mosamho Ke Chere Sare
Meri Aakho Se Kahi Kho Gaya Manjar Mera
Kis Se Puchu Ke Kaha Gum Hu Kayi Barso Se
Har Jagha Dhunda Phirta Hai Mujhe Ghar Mera
Mudaate Ho Gayi Ek Khawab Sunhera Dekhe
Jaagta Rehta Hai Har Neend Mein Bistar Mera
2. Baat Nikalegee To Phir Duur Talak Jaayegee
Log Bewajah Udaasee Kaa Sabab Poochhenge
Ye Bhee Poochhenge Ke Tum Itnee Pareshaan Kyoon Ho
Oongliyaan Uthengee Sookhe Huye Baalon Kee Taraf
Ek Nazar Dekhenge Guzre Huye Saalon Kee Taraf
Choodiyon Par Bhee Kai Tanz Kiye Jaayenge
Kaanpate Haathon Pe Bhee Fikre Kase Jaayenge
Log Zaalim Hain Har Ek Baat Kaa Taanaa Denge
Baaton Baaton Mein Meraa Zikr Bhee Le Aayenge
Unakee Baaton Kaa Zaraa Saa Bhee Asar Mat Lenaa
Warnaa Chehre Ke Taasur Se Samajh Jaayenge
Chaahe Kuchh Bhi Ho Sawaalaat Naa Karnaa Unse
Mere Baare Mein Koi Baat Na Karnaa Unse
Baat Nikalegii To Phir Door Talak Jaayegee
3. Ye Daulat Bhi Le Lo, Ye Shohrat Bhi Le Lo
Bhale Cheen Lo Mujhse Meri Jawaani
Magar Mujhko Lauta Do Bachchpan Ka Saawan
Wo Kaagaz Ki Kasthi Wo Baarish Ka Paani
Mohalle Ki Sabse Nishaani Purani
Wo Budhiya Jise Bachche Kehte The Naani
Wo Naani Kee Baaton Mein Pariyon Ka Dera
Wo Chehre Ke Jhuriyon Mein Sadiyon Ka Phera
Bhulaaye Nahin Bhool Saqta Hai Koi
Wo Choti See Raaten Wo Lambi Kahaani
Kadi Dhoop Mein Apne Ghar Se Nikalna
Wo Chidiya Wo Bulbul Wo Thithli Pakadna
Wo Gudiya Ki Shaadi Pe Ladna Jhagadna
Wo Jhoolon Se Girna, Wo Gir Ke Sambhalna
Wo Pithal Ke Challon Ke Pyaare Se Tho'fe
Wo Tuti Hui Chudiyon Ki Nishaani
Kabhi Re't Ke Oonche Tilon Pe Jaana
Gharonde Banana, Banaake Mitaana
Wo Maasoom Chaahat Ki Tasveer Apni
Wo Khwabon Khilono Ki Taabir Jaageer Apni
Na Duniya Ka Gham Tha Na Rishton Ke Bandhan
Badi Khoobsoorat Thi Wo Zindgaani
Share: