1. Aaj Ke Daur Mein Ae Dost Ye Manjhar Kyoon Hai,
Zakhm Har Sar Pe Har Ik Haath Mein Paththar Kyoon Hai.
Jab Haqeeqat Hai Ke Har Zarre Mein Tu Rehta Hai,
Fir Zamin Par Kahin Masjid Kahin Mandir Kyoon Hai
Apna Anjaam To Maaloom Hai Sabko Phir Bhi
Apnee Nazron Mein Har Insaan Sikandar Kyoon Hai
Zindagi Jeene Ke Qaabil Hi Nahin Ab "faakir"
Warna Har Aankh Mein Ashkon Ka Samandar Kyoon Hai
2. Ab Main Ration Ki Kataron Mein Nazar Aata Hoon
Apne Kheton Se Bichchadne Ki Saza Paata Hoon
Itnee Menhgaayee Ke Bazaar Se Kuch Laata Hoon
Apne Bachchon Mein Us'se Baant Ke Sharmaata Hoon
Apnee Neendo Ki Lahoo Pochne Ki Koshish Mein
Jaagte Jaagte, Thak Jaata Hoon So Jaata Hoon
Koi Chaadar Samajh Ke Kheench Na Le Fir Se "khaleel"
Main Qafan Odh Kar Foot-paath Pe So Jaata Hoon
3. Apne Chechre Se Jo Zaahir Hai Chupaayen Kaise
Teri Marzi Ke Mutaabik Nazar Aayen Kaise
Ghar Sajaane Ka Tasawwur Bahut Baad Ka Hai
Pehle Ye Tay Ho Ke Is Ghar Ko Bachchayen Kaise
Kar Kaha Aankh Ka Bartaav Badal Deta Hai
Hansne Waale Tujhe Aansoo Nazar Aayen Kaise
Koi Apnee Hi Nazar Se To Hume Dekhega
Ek Qatre Ko Samandar Nazar Aayen Kaise
4. Kabhi Aansoo Kabhi Khushi Bechi
Hum Garibon Ne Bekasi Bechi
Chand Saanse Khareedne Ke Liye
Roz Thodi Si Zindagi Bechi
Jab Rulaane Lage Mujhe Saayee
Maine Uqta Ke Roshni Bechi
Ek Hum The Ke Bik Gaye Khud Hi
Warna Duniya Ne Dosthi Bechi
5. Lab Pe Aati Hai Dua Banke Tamanna Meri
Zindagi Shamma Ki Surat Ho Khuda Ya Meri
Ho Mere Dum Se Yun Hi Mere Watan Ki Zeenat
Jis Tarah Phool Se Hoti Hai Chaman Ki Zeenat
Zindagi Ho Meri Parwaane Ki Surat Ya Rab
Ilm Ki Shamma Se Ho Mujhko Mohabbat Ya Rab
Ho Mera Kaam Garibon Ki Himaayat Karna
Dard Mando Se Zaeefon Se Mohabbat Karna
Mere Allaah Buraayee Se Bachchana Mujhko
Nek Jo Raah Ho Uss Reh Pe Chalaana Mujhko
6. Maa Sunao Mujhe Wo Kahani
Jisme Raja Na Ho Na Ho Rani
Jo Hamari Tumhari Katha Ho
Jo Sabhi Ke Hriday Ki Gatha Ho
Gandh Jisme Ho Apni Dhara Ki
Baat Jisme Na Ho Apsara Ki
Ho Na Pariyan Jahan Aasmaani
Wo Kahani Ko Hasna Sikha De
Pet Ki Bhookh Ko Bhi Mita De
Jisme Sach Ki Bhari Chaandni Ho
Jisme Um'meed Ki Roshni Ho
Jisme Na Ho Kahani Puraani
7. Mujh Mein Jo Kuch Achchha Hai Sab Uska Hai.
Mera Jitna Charcha Hai Sab Uska Hai
Uska Mera Rishta Bada Puraana Hai
Maine Jo Kuch Socha Hai Sab Uska Hai
Meree Aankhen Uski Noor Se Roshan Hai
Maine Jo Kuch Dekha Hai Sab Uska Hai
Maine Jo Kuch Khoya Tha Sab Uska Tha
Maine Jo Kuch Paaya Hai Sab Uska Hai
Jitnee Baar Main Toota Hoon Wo Toota Tha
Idhar Udhar Jo Bikhra Hai Sab Uska Hai
8. Wo Rulakar Hans Na Paya Der Taq
Jab Main Rokar Mushkuraaya Der Taq
Bhoolna Chaaha Agar Usko Kabhi
Aur Bhi Wo Yaad Aaya Der Taq
Bhookhe Bachchon Ki Tasalli Ke Liye
Maa Ne Phir Paani Pakaya Der Taq
Gungunata Jaa Raha Tha Ik Fakeer
Dhoop Rehti Hai Na Saaya Der Taq
Share: