शनिवार, 18 जून 2011

LOVE IS BLIND



  1. Aaj Ham Bichhade Hain to, Kitne Rangeele Ho Gaye
    Meri Aankhen Sukhi, Tere Haath Peele Ho Gaye

    Kab Ki Patthar Ho Chuki Thee Muntazir Aankhe Magar
    Chhooke Dekha To Mere Hath Geele Ho Gaye

    Jane Kya Ehsas Saaz-e-husn Taron Mein Hain
    Jinko Chhoote Hi Mere Nagmen Raseele Ho Gaye

    Ab Koi Ummeed Hai Sahid, Na Koi Aarzoo
    Aasre Toote To Jeene Ke Waseele Ho Gaye

  1. Aaj Fir Unka Saamna Hoga
    Kya Pata Uske Baad Kya Hoga

    Aasmaan Ro Raha Hai Do Din Se
    Aapne Kuchh Kaha Suna Hoga

    Do Kadam Par Sahee Tera Gooncha
    Ye Bhi Sadiyon Ka Fasala Hoga

    Ghar Jaltaa Hai Roshni Ke Liye
    Koi Mujhsaa Bhi Dil-jala Hoga

  1. Chak Jigar Ke See Lete Hain
    Jaise Bhi Wo Jee Lete Hain

    Dard Mile To Seh Lete Hain
    Ashk Mile To Pee Lete Hain

    Aap Kahen To Mar Jaayen Hum
    Aap Kahen To Jee Lete Hain

    Bejari Ke Andhi-yaare Mein
    Jeene Wale Jee Lete Hain

    Hum To Hain Un Fulon Jaise
    Jo Kaanto Mein Jee Lete Hain

  1. Ek Jaam Bhee Leke, Kuchh Log Ladkhadayen
    Peene Gaye The Chalke, Le Gaye Uthake

    Sahebaan Ki Aabaroo Par, Pani Na Fare 'saqi'
    Main Khud Bhee Pi Raha Hoon, Aansoo Mila Mila Ke

    Wo Mere Lagajeesho , Tana Kide Kar Rahe Hai
    Jo Maikade Mein Khud Bhi, Chalate Hain Lad-khadaake

    Ek Deen Tu Aa Ke Bhi, Mannat Ki Laaj Rakha Le
    Kab Se Ujadata Hun, Mehfil Saja Saja Ke

    Ae Man Najeer Rakhana, Dera-e-muto Ko (!!!)
    Dil Ke Bade Dhani Hai, Baithe Hain Dhan Luta Ke

  1. Kabhi Khamosh Baithogi, Kabhi Kuchh Gungunaaogi
    Main Utna Yaad Aaoonga, Mujhe Jitna Bhulaaogi

    Koi Jab Poochh Baithega, Khamoshi Kaa Sabab Tumse
    Bahot Samajahna Chaahogi, Magar Samjhaa Na Paogee

    Kabhi Duniya Mukkammal Banake, Aayengi Nigaahon Mein
    Kabhi Meri Kami Duniya Ki, Har Ek Shey Mein Paaogi

    Kahin Par Bhee Rahen Hum Tum Mohabbat Fir Mohabbat Hai
    Tumhe Hum Yaad Aayenge, Hamen Tum Yaad Aaogee

  1. Samajhte The, Magar Fir Bhi, Na Rakhi Dooriyan Humne
    Charakhon Ko Jalaane Mein, Jalalee Oongliyaan Humne

    Koi Titalee, Hamare Paas, Aati Bhi To Kya Aati
    Sajae Ang Bhar Kagaj Ke Phool-pattiyaan Humne

    Yoon Hi Ghut Ghut, Ke Mar Jana, Humen Manjoor Thaa Lekin
    Kisi Kambal Par, Zaahir Na Ki, Majbooriyaan Humne

    Hum Us Mehfil Mein Bas Ek Bar Sach Bolane Vali
    Jubaan Par Umr Bhar Mehsoos Kee Chingariyaan Humne

  1. Tum Ye Kaise Juda Ho Gaye
    Har Taraf Har Jagah Ho Gaye

    Apana Chehra Na Badlaa Gaya
    Aayine Se Khafa Ho Gaye

    Jaane Waale Gaye Bhi Kahaan
    Chand Suraj Ghata Ho Gaye

    Bewafa To Na Wo The Na Hum
    Yuun Hua Bas Juda Ho Gaye

    Aadmi Banana Aasaan Na Tha
    Sheikhjee Aarasa Ho Gaye

  1. Wo Kaun Hai, Duniya Mein Jise, Gam Nahin Hota
    Kis Ghar Mein Khushi Hoti Hai, Maatam Nahin Hota

    Aise Bhi Hain, Duniya Mein Jinhein, Gam Nahin Hota
    Ek Hum Hain Hamaara, Kabhi Kam Nahin Hota

    Kya Surmaa Bhari, Aankhon Se, Aansoo Nahin Girte
    Kya Mehandi Lage, Hathon Se, Matam Nahin Hota

    Kuch Aur Bhee, Hotin Hain, Bigadane Ki Adaayen
    Par Meri Samaj Ye, Ek Aalam Nahin Hota

Share: