मंगलवार, 21 जून 2011

SAJDA



  1. Aankh Se Door Na Ho Dil Se Utar Jaayega
    Waqt Ka Kya Hai Guzarta Hai Guzar Jayega

    Itna Manoos Na Ho Khilwat-e-gham Se Apni
    Tu Kabhi Khud Ko Bhi Dekhega To Dar Jayega

    Tum Sar-e-raah-e-wafa Dekhte Reh Jaoge
    Aur Woh Baam-e-rifaqat Se Utar Jayega

    Zindagi Teri Ata Hai To Yeh Jaane Wala
    Teri Bakhshish Teri Dahleez Pe Dhar Jayega

  1. Jo Bhee Bura Bhala Hai Allah Janta Hai
    Bande Ke Dil Mein Kya Hai Allah Janta Hai

    Yeh Farsh-o-arsh Kya Hai Allah Janta Hai
    Pardon Mein Kya Chhupa Hai Allah Janta Hai

    Jaakar Jahaan Se Koi Wapas Nahin Hai Aata
    Woh Kaunsi Jagah Hai Allah Janta Hai

    Neki-badi Ko Apnee Kitna Hi Tu Chupaaye
    Allah Ko Sab Pata Hai Allah Janta Hai

    Ye Dhoop-chaon Dekho Ye Subah-shaam Dekho
    Sab Kyoon Ye Ho Raha Hai Allah Janta Hai

    Kismat Ke Naam Ko To Sab Jaante Hain Lekin
    Kismat Mein Kya Likha Hai Allah Janta Hai

  1. Dard Se Mera Daaman Bharde Ya Allah
    Phir Chahe Deewana Karde Ya Allah

    Maine Tujh Se Chaand Sitaare Kab Maange
    Roshan Dil Bedaar Nazar De Ya Allah

    Suraj Si Ek Cheez To Hum Sab Dekh Chuke
    Sachmuch Ki Ab Koi Saher De Ya Allah

    Ya Dharti Ke Zakhmon Par Marham Rakhde
    Ya Mera Dil Patthar Kar De Ya Allah

  1. Dhoop Mein Niklo Ghataaon Mein Naha Kar Dekho
    Zindagee Kya Hai Kitaabon Ko Hataakar Dekho

    Wo Sitaaraa Chamakane Do Yoonhee Aankhon Mein
    Kya Zarooree Hai Us'e Jism Banaakar Dekho

    Pattharon Mein Bhee Zubaan Hoti Hai Dil Hota Hai
    Apane Ghar Ke Dar-o-deewaar Sajaakar Dekho

    Faasilaa Nazaron Ka Dhokhaa Bhee To Ho Saktaa Hai
    Wo Mile Ya Na Mile Haath Badhaakar Dekho

  1. Dhooaan Banake Fizaan Mein Udaa Diyaa Mujhko
    Main Jal Raha Tha Kisi Ne Bhjha Diya Mujhko

    Khada Hoon Aaj Bhi Roti Ke Chaar Harf Liye
    Sawaal Ye Hai Kitaabon Ne Kya Diya Mujhko

    Safed Sang Kee Chaadar Lapet Kar Mujhpar
    Faseene Shehar Se Kisi Ne Saja Diya Mujhko

    Main Ek Zarra Bulandi Ko Choone Nikla Thaa
    Hawa Ne Tham Ke Zameen Par Gira Diya Mujhko

  1. Dil Mein Ab Dard-e-mohabbat Ke Siwa Kuch Bhi Nahin
    Zindagi Meri Ibaadat Ke Siva Kuch Bhi Nahin

    Main Teri Baargah-e-naaz Mein Kya Pesh Karoon
    Meri Jholi Mein Mohabbat Ke Siwa Kuch Bhi Nahin

    Aye Khuda Mujh Se Na Le Mere Gunaahon Ka Hisaab
    Mere Paas Ashq-e-nadamat Ke Siwa Kuch Bhi Nahin

    Woh To Mit Kar Mujhe Mil Hi Gayee Rahat Warna
    Zindagi Ranj-o-museebat Ke Siwa Kuch Bhi Nahin


  1. Gham Ka Khazana Tera Bhi Hai Mera Bhi
    Ye Nazraana Tera Bhi Hai Mera Bhi

    Apne Gam Ko Geet Bana Kar Gaa Lena
    Raag Purana Tera Bhi Hai Mera Bhi

    Tu Mujhko Aur Main Tujhko Samjhaaoon Kya
    Dil Deewana Tera Bhi Hai Mera Bhi

    Shehar Mein Galiyon Galiyon Jiska Charcha Hai
    Wo Afsaana Tera Bhi Hai Mera Bhi

    Maikhaane Kee Baat Na Kar Waaiz Mujhse
    Aana-jaana Tera Bhi Hai Mera Bhi

  1. Har Taraf Har Jagah Beshumaar Aadmee
    Phir Bhi Tanhaaiyon Ka Shikaar Aadmee

    Subah Se Shaam Tak Bojh Dhotaa Hua
    Apanee Hi Laash Ka Khud Mazaar Aadmee

    Har Taraf Bhaagate Daudate Raaste
    Har Taraf Aadmee Ka Shikaar Aadmee

    Roz Jeetaa Hua Roz Martaa Hua
    Har Naye Din Nayaa Intezaar Aadmee

    Zindagee Ka Muqaddar Safar Dar Safar
    Aakhree Saans Tak Beqaraar Aadmee

  1. Kisko Qaatil Main Kahoon Kisko Maseehaa Samajhoon
    Sab Yahaan Dost Hee Baithe Hain Kise Kya Samajhoon

    Wo Bhi Kya Din The Ke Har Vaham Yakeen Hota Tha
    Ab Haqeekat Nazar Aaye To Use Kya Samajhoon

    Dil Jo Tootaa To Kai Haath Duaa Ko Utthe
    Aise Mahaul Mein Ab Kis'ko Paraayaa Samajhoon

    Zulm Ye Hai Ke Hai Yaqtaa Teri Beganaaravee
    Lutf Ye Hai Ke Main Ab Tak Tujhe Apana Samajhoon

  1. Mausam Ko Ishaaron Se Bula Kyoon Nahin Lete
    Roothaa Hai Agar Wo To Manaa Kyoon Naheen Lete

    Deewaana Tumhaaraa Koi Gair Naheen
    Machalaa Bhi To Seene Se Lagaa Kyoon Naheen Lete

    Khat Likhkar Kabhi Aur Kabhi Khat Ko Jalaakar
    Tanhaaee Ko Rangeen Bana Kyoon Naheen Lete

    Tum Jaag Rahe Ho Mujhako Achchhaa Naheen Lagtaa
    Chupake Se Meri Neend Churaa Kyoon Naheen Lete

  1. Meri Tasveer Mein Rang Aur Kisi Ka To Nahin
    Gher Le Mujhko Sab Aankhen Main Tamasha To Nahin

    Zindagi Tujhse Se Har Ik Saans Pe Samjhauta Karoon
    Shauk Jeene Ka Hai Mujhko Magar Itna To Nahin

    Rooh Ko Dard Mila Dard Ko Aankhen Na Mili
    Tujhko Mehsoos Kiya Hai Tujhse Dekha To Nahin

    Sonchte Sonchte Dil Doobne Lagta Hai Mera
    Zehan Kee Tay Mein 'muzaffar' Koi Dariya To Nahin

  1. Mili Hawaon Mein Udne Ki Wo Saza Yaaro
    Ke Main Zameen Ke Rishton Se Kat Gaya Yaaro

    Woh Be-khayal Musafir Main Raasta Yaaro
    Kahan Tha Bas Mein Mere Usko Rokna Yaaro

    Mere Kalam Pe Zamane Kee Gard Aisee Thee
    Ke Apne Baare Mein Kuch Bhi Na Likh Saka Yaaro

    Tamaam Sheher Hi Jiskee Talaash Mein Gum Tha
    Main Uske Ghar Ka Pata Kis'se Poochta Yaaro


  1. Tere Jalwe Ab Mujhe Harsoo Nazar Aane Lage
    Kaash Yeh Bhi Ho Ke Mujh Mein Tu Nazar Aane Lage

    Ibteda Yeh Thee Ke Dekhee Thee Khushi Ki Ek Jhalak
    Inteha Yeh Hai Ke Gham Harsoo Nazar Aane Lage

    Beqarari Badhte Badhte Dil Ki Fitrat Ban Gayee
    Shayed Ab Taskeen Ka Pehloo Nazar Aane Lage

    Khatm Karde Ae "saba" Ab Shaam-e-gham Ki Daastan
    Dekh Un Aankhon Mein Bhee Ansoo Nazar Aane Lage

  1. Tujhse Milne Ki Saza Denge Tere Shehar Ke Log
    Ye Wafaon Ka Sila Denge Tere Shehar Ke Log

    Kya Khabar Thee Tere Milne Pe Qayamat Hogi
    Mujhko Deewaana Bana Denge Tere Shehar Ke Log

    Teri Nazaron Se Giraane Ke Liye Jaane-haya
    Mujhko Mujrim Bhi Bana Denge Tere Shehar Ke Log

    Kehke Deewana Mujhe Maar Rahe Hain Patthar
    Aur Kya Iske Siwa Denge Tere Shehar Ke Log

Share: