मंगलवार, 21 जून 2011

SAMVEDANA



  1. Chaurahe Par Lutta Cheer,
    Pyade Se Pit Gaya Wajir,
    Chalu Aakhri Chaal Ki Baji Chod Virakti Rachau Main,
    Raah Kaun Se Jau Main,

    Sapna Jaanma Aur Mar Gaya,
    Madhu Ritu Mein Hi Baag Jhar Gaya,
    Tinke Bikhare Huye Batoru Ya Nav Saristi Sajau Main,
    Raah Kaun Si Jayu Main,

    Do Din Mile Udhaar Mein,
    Ghaate Ke Vayapar Mein,
    Shan Shan Ka Hisab Jodu,
    Ya Punji Shesh Lutau Main,
    Rah Kaun Si Jayu Main.

  1. Door Kahin Koi Rota Hai,
    Tan Par Pehra, Bhatak Raha Man,
    Saathi Hai Kaival Sunapan,
    Bichud Gaya Kya Savajan Kisi Ka,
    Krandan Sada Karun Hota Hai,

    Janam Divas Par Hum Ithalate,
    Kyu Na Maran Tyohaar Manate,
    Aantim Yatra Ke Avsar Par,
    Aasu Ka Aashkun Hota Hai,

    Aantar Roye, Aakh Na Roye,
    Dhul Jayege Savapan Sanjoye,
    Chalna Bhare Vishwa Mein,
    Keval Spana Hi To Sach Hota Hai,

    Is Jeevan Se Mrityu Bhali Hai,
    Aatankit Jab Gali Gali Hai,
    Main Bhi Rota Aaspaas Jab,
    Koi Kahi Nahi Hota Hai,
    Door Kahin Koi Rota Hai.



  1. Ek Baras Beet Gaya,
    Jhulsata Jaith Maas,
    Sharad Chandni Udaas,
    Siski Bharte Sawan Ka,
    Antar Ghat Reet Gaya,
    Ek Baras Beet Gaya,

    Seekchon Mein Simta Jaag,
    Kintu Vikal Pran Vinag,
    Dharti Se Ambar Tak,
    Gunj Mukti Geet Gaya,
    Ek Baras Beet Gaya,

    Path Niharte Nayan,
    Ginte Din, Pal Chin,
    Laut Kabhi Aayega,
    Maan Ka Jo Meet Gaya,
    Ek Baras Beet Gaya.

  1. Jeevan Beet Chala,
    Kaal, Kaal Karte, Aaj,
    Haath Se Nikle Sare,
    Bhoot Bhavishyat Ki Chinta Mein,
    Vartaman Ki Baji Hare,
    Pehra Koi Kaam Na Aaya,
    Rasghat Reet Chala,
    Jeevan Beet Chala,
    Hani - Labh Ke Paldo Mein,
    Tulta Jeevan Vayapar Ho Gaya,
    Maul Laga Bikne Wale Ka,
    Bina Bika Bekar Ho Gaya,
    Mujhe Haat Mein Chod Akela,
    Ek Ek Kar Meet Chala,
    Jevan Beet Chala




  1. Kadam Milakar Chalna Hoga,
    Badhaye Aati Hai Aaye,
    Ghire Praly Ki Ghor Ghataye,
    Paavo Ke Niche Aangare,
    Sir Par Bares Yadi Javalaye,
    Nij Hitho Se Hanste Hanste,
    Aag Laga Kar Jalna Hoga,
    Kadam Milakar Chalna Hoge,
    Hasye Rudan Mein, Tufano Mein,
    Amar Asankhaye Balidano Mein,
    Udyano Mein, Virano Mein,
    Aapmano Mein, Sammano Mein,
    Unnat Mastak , Ubhra Sinaa,
    Peedayo Mein Palna Hoga,
    Kadam Milakar Chalna Hoga,
    Ujiyaro Mein, Aandhkar Mein,
    Kal Kachar Mein, Beech Dhar Mein,
    Ghoor Ghrinaa Mein, Puut Payaar Mein,
    Shanik Jeet Mein, Dergha Haar Mein,
    Jeevan Ke Shat Shat Aakarshak,
    Aarmano Ko Dalna Hoga,
    Kadam Milakar Chalna Hoga.

  1. Kya Khoya, Kya Paya Jag Mein,
    Milte Aur Bichadte Maag Mein,
    Mujhe Kisi Se Nahi Shikayat,
    Yadhyapi Chala Gaya Pag Pah Main,
    Ek Darishti Beeti Par Dale,
    Yado Ki Potali Tatole,

    Parithvi Lakho Varsh Purani,
    Jevaan Ek Anant Kahani,
    Par Tan Ki Apni Semaye,
    Yadhyapi Soo Shardon Ki Vani,
    Itna Kafi Hai Aantim Dastak,
    Par Khud Darwaja Khole,
    Janam-maran Ka Avirt Phera,
    Jevaan Banjaro Ka Dera,
    Aaj Yah, Kal Kaha Kauch Hai,
    Kaun Janta, Kidhar Sawera,
    Aandhiyara Aakash Asemit,
    Prano Ke Pankho Ko Toole,
    Aapne Hi Maan Se Kuch Boole.
Share: