NAYI DISHA
- Bhari Dupheri Mein Andhiyara,
Suraj Parchyi Se Hara,
Antar Tum Ka Deh Nichude,
Buchi Hui Bati Sulgaye,
Aao Phir Se Diya Jalayen,
Hum Padaav Ko Samze Manjil,
Lakshey Hua Aanko Se Ojhal,
Vartaman Keh Moh Jaal Me,
Aane Wala Kal Na Bhulaye,
Aahuti Baki Yagye Pura,
Apno Ke Vighno Ne Ghera,
Antim Jaye Ka Wajra Banane
- Jhuki Na Alken, Jhapi Na Palke,
Sudhiyo Ki Barat Kho Gayi,
Rote Rote Raat So Gayi,
Dard Purana, Meet Na Jana,
Bato Hi Mein Raat Ho Gayi,
Rote Rote Raat So Gayi,
Ghumdi Badli, Bund Na Nikli,
Bichudan Aaise Wyatha Ho Gayi,
Rote Rote Raat So Gayi
- Kya Khoya, Kya Paya Jag Mein,
Milte Aur Bichadte Maag Mein,
Mujhe Kisi Se Nahi Shikayat,
Yadhyapi Chala Gaya Pag Pah Main,
Ek Darishti Beeti Par Dale,
Yado Ki Potali Tatole,
Parithvi Lakho Varsh Purani,
Jevaan Ek Anant Kahani,
Par Tan Ki Apni Semaye,
Yadhyapi Soo Shardon Ki Vani,
Itna Kafi Hai Aantim Dastak,
Par Khud Darwaja Khole,
Janam-maran Ka Avirt Phera,
Jevaan Banjaro Ka Dera,
Aaj Yah, Kal Kaha Kauch Hai,
Kaun Janta, Kidhar Sawera,
Aandhiyara Aakash Asemit,
Prano Ke Pankho Ko Toole,
Aapne Hi Maan Se Kuch Boole.
- Savera Hai Magar, Purab Disha Mein Ghir Rahe Badal,
Rui Se Bhudal Ke Bhi, Meel Ke Pathar Pade Ghayal,
Thitke Paav, Oojhal Gaav, Jadta Hai Na Gati Maeyta,
Sawayam Ko Dusro Ki Dristi Se Main Dekh Pata Hu,
Na Main Chup Hu Na Main Gata Hu,
Samaye Ki Sard Saso Ne Chanaro Ko Zhhulas Dala,
Magar Himpaat Ke Deti Chunoti Ek Druvmala,
Bikhre Meed, Vihassi Jheed, Asu Hai Na Muskane,
Himani Jheel Ke Tat Par Akela Gungunata Hu,
Na Mein Chup Ho Na Gata Hu
Share: