Memorable Concert
- Baabul Moraa, Naihar Chhuuto Hii Jaaye
Chaar Kahaar Mil, Morii Doliyaa Sajaave.n
Moraa Apanaa Begaanaa Chhuto Jaaye
Aa.nganaa To Parbat Bhayo Deharii Bhayii Bidesh
Je Baabul Ghar Aapanaa Mai.n Piiyaa Ke Desh
- Der Lagi Aane Mein Tumko Shukr Hai Fir Bhi Aaye To
Aas Ne Dil Ka Saath Na Chodaa Waise Hum Ghabraaye To
Shafak Dhanuk Mehtaab Ghataayen Taare Naghmen Bijli Phool
Us Daaman Mein Kya Kya Kuch Hai Wo Daaman Haath Mein Aaye To
Jhooth Hai Sab Taarikh Hamesha Apne Ko Dohraati Hai
Achcha Mera Khwaab-e-jawaani Thoda Sa Dohraaye To
Suni Sunaayi Baath Nahin Hai Apne Oopar Beethi Hai
Phool Nikalte Hain Sholon Se Chaahat Aag Lagaaye To
- Ismen Koi Shiqwa Na Shikaayat Na Gila Hai
Ye Bhee Koi Khat Hai Ke Mohabbat Se Bhara Hai
Kya Yaad Dilaayenge Mujhe Mere Sitamgar
Har Naksh-e-sitam Khud Mere Sinen Mein Likha Hai
Mujhko Meri Aawaaz Sunaayee Nahin Deti
Kaisa Ye Mere Jism Mein Ik Shor Macha Hai
Chehre Mein Hai Aayeena Ke Aayeena Mein Chehra
Maloom Nahin Kaun Kise Dekh Raha Hai
- Andaaz Apnay Dekhtay Hain Aainey Mein Woh
Aur Yeh Bhi Dekhte Hain Koi Dekhta Na Ho
Kal Chaudhveen Ki Raat Thee Shab Bhar Rahaa Charcha Tera
Kuch Ne Kaha Yeh Chaand Hai Kuch Ne Kaha Chehra Tera
Hum Bhi Waheen Maujood They Hum Se Bhi Sab Poocha Kiye
Hum Hans Diye Hum Chup Rahe Manzoor Tha Parda Tera
Is Shehar Mein Kis Se Milen Hum Say To Chooti Mehfilen
Har Shakhs Tera Naam Le Har Shakhs Deewana Tera
Kooche Ko Tere Chodkar Jogi Hee Ban Jaayen Magar
Jungle Teri Parbat Teri Basti Teri Sehra Tera
Bedard Sonani Ho To Chal Kehta Hia Kya Achchi Ghazal
Aashiq Tera Ruswa Tera Shaayar Tera 'insha' Tera
- Saun Da Mahina Yaaro, Saun Damahina Yaaro Hai,
Ambara Which Baal Koi Zhadi Hasina Hai,
Ek Ek Boond Koi Moti Te Nagina Hai,
Bhij Bhij Sili Sili Paun Da Mahina Hai,
Dharti Te Mukde Nu Dhaun Da Mahina Hai,
Te Tip Tip Kothya De Chaun Da Mahina Hai,
Te Dila Wich Kucz Kucz Hown Da Mahina Hai,
Kheer Te Malpuye Khan Da Mahina Hai,
Rus Rus Man Man Jan Da Mahina Hai,
Haan Walw Haniya Da Mahina Hai,
Te Soun Wale Liya Soun Da Mahina Hai,
Bhardewe Ranj Nalo Nako Naki Ranjheya Nu,
Bada Hi Heran Kare Mahina Te Ye Ganjya Nu,
Baar Baar Lawna Pawe Kuthe Uto Manjiya Nu,
Dhili Kade Kasi Hoi Dawn Da Mahina Hai.
- Umr Jalvon Mein Basar Ho Ye Zaroori To Nahin
Har Sab-e-gham Ki Sehar Ho Ye Zaroori To Nahin
Chasm-e-saaqi Se Piyo Yaa Lab-e-saagar Se Piyo
Bekhooodi Aathon Pehar Ho Ye Zaroori To Nahin
Neend To Darrd Ke Bishtar Par Bhee Aa Saqti Hai
Unki Aahosh Mein Sar Ho Ye Zaroori To Nahin
Seikh Karta To Hai Masjid Mein Khuda Ko Sajde
Uske Sajde Mein Asar Ho Ye Zaroori To Nahin
Sab Ki Nazron Mein Ho Saaqi Ye Zaroori To Hai Magar
Sab Pe Saaqi Ki Nazar Ho Ye Zaroori To Nahin
Share: