SOMEONE SOMEWHERE
- Aadmi Aadmi Ko Kya Degaa
Jo Bhi Dega Wohi Khuda Dega
Mera Qaatil Hi Mera Munsib Hai
Kya Mere Haq Mein Faisla Dega
Zindagi Ko Kareeb Se Dekho
Iska Chehra Tumhe Rulaa Dega
Hamse Pucho Dosthi Ka Silaa
Dushmanon Ka Bhi Dil Hilaa Dega
Ishq Ka Zehar Pee Liya 'faakir'
Ab Maseeha Bhi Kya Dawa Dega
- Ab Ke Barsaat Ki Rut Aur Bhi Bhadkili Hai
Jishm Se Aag Nikalti Hai, Kaban Gili Hai
Sonchta Hoon Ke Ab Anjaam-e-safar Kya Hoga
Log Bhi Kaanch Ke Hain, Raah Bhi Pathrili Hai
Pehle Rag-rag Se Meri Khoon Nichoda Us'sne
Ab Ye Kehtha Hai Ke Rangat Hi Meri Peelee Hai
Mujhko Be-rang Hi Na Karde Kahin Rang Itne
Sabz Mausam Hai, Hawa Surkh, Fizaan Gili Hai
- Dekha To Mera Saaya Bhi Mujhse Juda Mila
Socha To Har Kisi Se Mera Sil-sila Mila
Sehar-e-wafa Mein Ab Kise Ehl'-e-wafa Kahen
Humse Gale Mila To Wo Hi Be-wafa Mila
Furshat Kise Thi Jo Meri Haalaath Poochchta
Har Shakhs Apne Baare Mein Kuch Sonchtha Mila
Ussne To Khair Apno Se Moda That Mooh Haya
Maine Ye Kya Kiya Ke Main Gairon Se Jaa Mila
- Dil Hii To Hai Na Sa.ng-o-khisht Dard Se Bhar Na Aaye Kyuu.n
Roe.nge Ham Hazaar Baar Koii Hame.n Sataaye Kyuu.n
Dair Nahii.n Haram Nahii.n Dar Nahii.n Aastaa.n Nahii.n
Baithe Hai.n Rahaguzar Pe Ham Gair Hame.n Uthaaye Kyuu.n
Qaid-e-hayaat-o-band-e-gam Asl Me.n Dono.n Ek Hai.n
Maut Se Pahale Aadamii Gam Se Najaat Paaye Kyuu.n
Haa.n Vo Nahii.n Khudaaparast, Jaao Vo Bevafaa Sahii
Jisako Ho Diin-o-dil Aziiz, Usakii Galii Me.n Jaaye Kyuu.n
"ghalib"-e-khastaa Ke Bagair Kaun Se Kaam Band Hai.n
Roiie Zaar-zaar Kyaa, Kiijie Haaye-haaye Kyuu.n
- Din Guzar Gaya, Aitbaar Mein
Raat Kat Gayi Intezaar Mein
Wo Maza Kahan Basle Yaat Mein
Lutf Jo Milaa Intezaar Mein
Unki Ik Nazar Kaam Kar Gayi
Hosh Ab Kahan Hoshiyar Mein
Mere Kabze Mein Aaiyeena To Hai
Main Hoon Aapke Ikhtiyaar Mein
Aankh To Uthee Phool Ki Taraf
Dil Ulazh Gaya Husn-haar Mein
Tumse Kya Kahen, Kitne Gam Sahen
Hamne Be-wafa Tere Pyaar Mein
Fikr-e-aashiyaan Har Khizaam Ki
Aashiyaan Jalaa Har Bahaar Mein
Kis Tarah Ye Gham Bhool Jaaye Hum
Wo Juda Hua Ishtihaar Mein
- Faasila To Hai Magar, Koi Faasila Nahin
Mujhse Tum Juda Sahi, Dil Se To Juda Nahin
Aasmaan Ki Fiqr Kya, Aasmaan Khafaa Sahee
Aap Ye Bataaye'e Aap To Khafa Nahin
Kashtiyaan Nahin To Kya, Hausle To Paas Hain
Keh Do Na-khudaaon Se, Tum Koi Khuda Nahin
Lijiye Bula Liya, Aapko Khayaalon Mein
Ab To Dekhiye Hamen, Koi Dekhta Nahin
Aaeeye Charaag-e-dil, Aaj Hi Jalaayen Hum
Kaisi Kal Hawa Chali, Koi Jaanta Nahin
- Koi Samjhega Kya Raz-e-gulshan
Jab Taq Uljhe Na Kaanton Se Daaman
Yaq-ba-yaq Saamne Aana Jaana
Ruk Na Jaaye Kahin Dil Ki Dhadkan
Gul To Gul-zaar Taq Chun Liye Hain
Fir Bhi Khaali Hai Khurchi Ka Daaman
Kitni Aara'ishyen Aashiyaana
Toot Jaaye Na Nasha Fir Nashe Mein
Hashmaten Aashiyaana Bana Dee
Barf Ko Dosth Samjhoon Ke Dushman
- Mere Dukh Ki Koi Dawa Na Karo
Mujhko Mujhse Abhi Juda Na Karo
Na-khuda Ko Khuda Kaha Hai To Fir
Doob Jaao Khuda-khuda Na Karo
Ye Sikhaya Hai Dosthi Ne Hame
Dosth Bankar Kabhi Wafa Na Karo
Ishq Hai Ishq Ye Mazaq Nahin
Chand Lamhon Mein Faishlaa Na Karo
Aashiqi Ho Ke Bandagi 'faakir'
Be-dili Se To Ye Fida Na Karo
- Meri Zindagi Kisi Aur Ki, Mere Naam Ka Koi Aur Hai
Mera Naqsh Hai Sar-e-aayina, Pase Aayina Koi Aur Hai
Meri Dhadkanon Mein Hai Chaapsi, Ye Judaaee Bhi Hai Milaapsee
Mujhe Kya Patha, Mere Dil Batha, Mere Saath Kya Koi Aur Hai
Na Gaye Dino Ko Khabar Meri, Na Shareeke Haal Nazar Teri
Tere Desh Mein, Mere Bhesh Mein, Koi Aur Tha, Koi Aur Hai
Wo Meri Taraf Nigraan Rahe, Mera Dhyaan Jaane Kahan Rahe
Meri Aankh Mein Kai Sooraten, Mujhe Chaahta Koi Aur Hai
Share: