शनिवार, 18 जून 2011

MIRAGE



  1. Apni Marzi Se Kahan Apni Safar Ke Hum Hain
    Rukh Hawaaon Ka Jidhar Ka Hai Udhar Ke Hum Hain

    Pehle Har Cheez Thi Apni Magar Ab Lagta Hai
    Apne Hi Ghar Mein Kisi Doosre Ghar Ke Hum Hain

    Waqt Ke Saath Mitti Ka Safar Sadiyon Se
    Kisko Maaloom Kahan Ke Hain Kidhar Ke Hum Hain

    Chalte Rehte Hain Ke Chalnaa Hai Musaafir Ka Naseeb
    Sochte Rehte Hain Kis Raah Guzar Ke Hum Hain

  1. Dushman Ko Bhee Seene Se Lagana Nahin Bhoole
    Hum Apne Buzurgon Ka Zamana Nahin Bhoole

    Tum Aankhon Ki Barsaat Bachaaye Huye Rakhna
    Kuch Log Abhi Aag Lagaana Nahin Bhoole

    Ye Baat Alag Haath Qalam Ho Gaye Apne
    Hum Aapki Tasveer Bananaa Nahin Bhoole

    Ik Umr Huyee Main To Hansi Bhool Chuka Hoon
    Tum Ab Bhee Mere Dil To Dukhaana Nahin Bhoole

  1. Ik Baramhahn Ne Kaha Hai Ke Ye Saal Achhaa Hai

    Zulm Ki Raat Ab Jaldi Dhalegi Abto
    Aag Choolhon Mein Har Ek Roz Jalegi Abto
    Bhookh Ke Maare Koi Bachha Nahin Royega
    Chain Ki Neend Har Ik Shaksh Yahan Soyega
    Aandhi Nafrat Ki Chalegi Na Kahin Ab Ke Baras
    Pyaar Ki Fasl Ugaayegi Zamin Ab Ke Baras
    Hai Yakin Ab Na Koi Shor-sharaaba Hoga
    Zulm Hoga Na Kahin Khoon-kharaaba Hoga
    Os Or Dhoop Ke Sadme Na Sahega Koi
    Ab Mere Desh Mein Be-ghar Na Rahega Koi
    Naye Waadon Ka Jo Daala Hai Wo Jaal Achha Hai
    Rehnumaaon Ne Kaha Hai Ke Ye Saal Achha Hai

    Dil Ke Khush Rakhne Mein 'ghaalib' Ye Khayal Achha Hai

  1. Koi Chaudhween Raat Ka Chaand Bankar
    Tumhaare Tasavvur Mein Aaya To Hoga
    Kisi Se To Kee Hogi Tumne Mohabbat
    Kisi Ko Gale Se Lagaya To Hoga

    Tumhaare Khayalon Ke Angdaaiyon Mein
    Meri Yaad Ke Phool Mehke To Honge
    Kabhi Apne Aankhon Ke Kaajal Se Tumne
    Mera Naam Likhkar Mitaaya To Hoga

    Labon Se Mohabbat Ka Jaadoo Jagake
    Bhari Bazm Mein Sabse Nazaren Bachaake
    Nigaahon Ki Raahon Se Dil Mein Samaake
    Kisi Ne Tumhe Bhee Churaaya To Hoga

    Kabhi Aaeene Se Nigaahen Milakar
    Jo Lee Hogi Bharpoor Angdaaiyon Toone
    To Ghabraake Khud Teri Angdaaiyon Ne
    Tere Husn Ko Gud-gudaaya To Hoga

  1. Mai Rahe Meena Rahe Gardhish Mein Paimaana Rahe
    Mere Saaqi Tu Rahe Aabaad Maikhaana Rahe

    Harsh Hee To Ho Chuka Rukh Se Nahin Hatthi Naqaab
    Hadh Bhee Aakhir Kuch Hai Kab Tak Koi Deewaana Rahe

    Raat Ko Jo Baithte Hain Roz Hum Majnu Ke Paas
    Pehle An-ban Reh Chuki Hai Ab To Yaaraana Rahe

    Zindagi Ka Lutf Ho Udati Rahe Hardam 'riyaz'
    Hum Hon Seeshe Ke Pari Ho Ghar Parikhaana Rahe
  1. Main Na Hindu Na Musalmaan Mujhe Jeene Do
    Dosti Hai Mera Imaan Mujhe Jeene Do

    Koi Ehsaan Na Karo Mujhpe To Ehsaan Hoga
    Sirf Itna Karo Ehsaan Mujhe Jeene Do

    Sabke Dookh-dard Ko Apna Samajh Ka Jeena
    Bas Yahi Hai Mera Armaan Mujhe Jeene Do

    Log Hote Hain Jo Hairaan Mere Jeene Se
    Log Hote Rahe Jairaan Mujhe Jeene Do

  1. Rishta Kya Hai Tera Mera
    Main Hoon Shab Aur Tu Hai Sawera

    Tu Hai Chaand Sitoron Jaisa
    Meri Kismat Ghor Andhera

    Phoolon Jaise Raahen Teri
    Kaaton Jaisa Mera Dera

    Aata Jaata Hai Ye Jeewan
    Pal-do-pal Ka Rain Basera

  1. Zindagi Say Badi Saza Hi Nahin
    Aur Kya Jurm Hai Pata Hi Nahin

    Itne Hisson Mein Bat Gaya Hoon Main
    Meray Hisay Mein Kuch Bacha Hi Nahin

    Sach Ghatay Ya Badey To Sach Na Rahey
    Jhooth Ki Koi Intehaa Hi Nahin

    Jad Do Chaandi Mein Chahey Sonay Mein
    Aaiana Jhooth Bolta Hi Nahin


Share: