Rare bhajans from hindi films 
Listen to tere phoolon se bhi pyar by Lata Mangeshkar 
Lyrics- 
tere phoolon se bhi pyaar
tere kaanton se bhi pyaar
jo bhi dena chaahe de de karataar
duniya ke taaran haar
chaahe sukh de yaa dukh, chaahe khushi de yaa gham
maalik jaise bhi rakhega vaise, rah lenge ham
maalik rah lenge ham
chaahe hansi bhara sansaar de, yaa aansuon ki dhaar
jo bhi dena chaahe de de karataar
duniya ke taaran haar
ham ko donon hain pasand, teri dhoop aur chhaanv 
daata kisi bhi disha men le chal, zindagi ki naav
le chal zindagi ki naav
chaahe hamen laga de paar, dooba de chaahe hamen manjhadhaar
jo bhi dena chaahe de de karataar
duniya ke taaran haar
Listen to Vaishnav Jan to tene kahiye By lata Mangeshkar  
Lyrics-
Vaishnav Jan to tene kahiye
Jay peerh paraaye janneyray
Par dukkhey upkar karey teeyey, man abhiman na anney ray
Sakal lokma Sahuney bandhey,
Ninda Na karye kainee ray
Baach kaachh, Man nischal Raakhey, dhan-dhan jananee tainee ray
Samdrishi nay trishna tyagee, par-stree jaynay mat ray
Vivihva thaki asatya na bolay, par-dhan nav jhaley haath ray
Moh maaya vyaayey nahin Jeynay, dridth vairagya jana manma ray
Ram-nam-shoom taalee laagee,
Sakal teerth seyna tanma ray
Vanloohee nay kapat rahit chhay,
Kaam, Krodh nivarya ray
Bhane Narsinhyo tainoo darshan karta kul ekotair taarya re
Listen to Tori jai jai kartar Ustad aameer khan  
Lyrics-
Tori Jai Jai Kartaar 
Mori Bharde Aaj Jholiya
Tu Rahim Daata Tu Paak Kirtikaar
Tori Jai Jai Kartaar
Tansen Ko Tu Rab Gyaan Dhyaan Deejo Sab
Raagarang Saagar Hai Karde Naiyya Paar
Listen to man tadpat hari darshan ko aaj Mahammad rafi 
Lyrics-
Hari Om Hari Om Hari Om Hari Om
Man Tarpat Hari Darshan Ko Aaj 
More Tum Bin Bigade Sagare Kaaj 
Ho Binti Karat Hoon Rakhiyo Laaj
Man Tarpat Hari Darshan Ko Aaj
Tumare Dwaar Ka Main Hoon Jogi
Aaa Aaa Aaa Aaa
Tumare Dwaar Ka Main Hoon Jogi
Humari Aor Najar Kab Hogi
Suno More Vyaakul Man Ka Baaj
Man Tarpat Hari Darshan Ko Aaj 
Bin Guru Gyaan Kahaan Se Paau
Aaa Aaa Aaa Aaa
Bin Guru Gyaan Kahaan Se Paau
Deejo Daan Hari Gun Gaau
Sab Guni Jan Pe Tumara Raaj
Man Tarpat Hari Darshan Ko Aaj 
Murli Manohar Aas Na Todo
Dukh Bhanjan Mora Saath Na Chhodo
Mohe Darshan Bhiksha De Do Aaj
Listen to tora man darpan kehlaye  
Lyrics-
man hi devta
man hi ishwar
man se bada na koye
man ujiyara jab jab phaile
jag ujiyara hoye
is ujle darpan par praani
dhool na jamne paaye
tora man darpan kehlaaye
bhale bure saare karmo ko
dekhe aur dikhaaye
tora man darpan kehlaaye
sukh ki kaliyaan
dukh ke kaante
man sab ka aadhar
man se koi baat chhupe na
man ke nain hazaar
jag se chaahe bhaag le koi
man se bhaag na paaye
tan ki daulat dhalti chhaaya
man ka dhan anmol
tan ke kaaran man ke dhan ko
mat maati mein raund
man ki kadar bhulaane waala
veeran janam ganvaaye
Listen to itni shakti hume de na data 
Lyrics-
itni shakti hume dena daata, man kaa wishwaas kamajor ho na
hum chale nek raste pe hum se, bhool kar bhee koi bhool ho na
har taraf julm hain, bebasi hain, sahama sahama sa har adami hain
paap kaa bojh badhata hi jaaye, jaane kaise ye dharati thami hain
bojh mamata se too ye uthhaa le, teri rachana ka hi ant ho na
hum chale nek raste pe humse bhool kar bhi koi bhool ho na
hum andhere mein hain roshani de, kho na de khud ko hi dushmani se
hum sada paaye apane kiye ki, maut bhi ho to sah le khushi se
kal jo gujara hain fir se naa gujare, anewaala wo kal ayesa ho na
hum chale nek raste pe humse bhool kar bhi koi bhool ho na
Listen to banwari re 
Lyrics-
banawaari re, jine ka sahaara tera naam re
muze duniyaanwaalon se kyaa kaam re
zoothhi duniyaan, zoothhe bandhan  zoothhee hain ye maayaa
zoothha saans kaa aanaa jaanaa, zoothhee hain ye kaayaa
yahaan saachon teraa naam re, banawaaree re ...
rang mei tere rang gayee giradhar, chhod diyaa jag saaraa
ban gayi tere parem ki jogan  lekar man ik taaraa
muze pyaara tera dhaam re, banawaaree re ...
darshan tera jis din paaoo, har chintaa mit jaaye
jeewan meraa in charanon mein aas kee jyot jalaaye
meree baah pakadalo shaam re, banawaaree re ...
Listen to ai malik tere bande hum  
Lyrics-
ai malik tere bande ham, aise ho hamare karam
neki par chale, aaur badi se tale, tanki hasate huye nikale dam
yeh andhera ghana chha raha, tera insan ghabara raha
ho raha bekhabar kuchh na aata najar, sukh ka suraj chhupa ja raha
hai teri roshani me jo dam toh amawas ko karde punam
bada kamjor hain aadami, ab bhi lakho hain iss me kami
par tu jo khada hain dayalu bada, teri kirapa se dharati thami
diya tune hume jab janam, tu hi jhelega ham sabke gam
jab julmo ka ho samana, tab too hi hame thamana
woh burayee kare, ham bhalayi bhare, nahi badle ki ho kamana
badh uthhe pyar ka har kadam, aur mite bair ka yeh bharam
Listen to allah tero naam  
Lyrics-
Allaah Tero Naam Eeshwar Tero Naam
sab Ko Sanmati De Bhagawaan
maangon Kaa Sendoor Naa Chhoote
maan Bahanon Kee Aas Naa Toote
deh Binaa Bhatake Naa Paran
o Saare Jag Ke Rakhawaale
nirbal Ko Bal Denewaale
balawaanon Ko De De gyaan
Listen to bada natkhat hai re  
Lyrics-
bada natakhat hai re krishhn-kanhaiya 
ka kare yashoda maiyyaa, haan ... bada natakhat hai re 
(dhoondhe ri ankhiyaan use chaaron or 
jaane kahaan chhup gaya nandakishor ) - 2 
ud gaya aise jaise puravayya 
ka kare yashoda maiyyaa, haan ... bada natakhat hai re 
(a tohe mai gale se laga loon 
laage na kisi ki nazar man me chhupa loon ) - 2 
dhoop jagat hai re mamata hai chhainya 
ka kare yashoda maiyyaa, haan ... bada natakhat hai re 
(mere jeevan ka tu ek hi sapana 
jo koi dekhe tohe samajhe vo apana ) - 2 
sab ka hai pyaaraa, ho sab ka hai pyaara bansee-bajayya 
ka kare yashoda maiyyaa, haan ... bada natakhat hai re
Listen to sabko naach nachata 
Lyrics-
sabko naach nachata phir bhi nazar nahi jo aata
aisi duniya ko banane wala kaun hai
o ji shyam hain ghanshyam hain 
Amber se pani barsata patthar pe jo phool khilata
aisi duniya ko banane wala kaun hai 
O ji shyam hain ghanshyam hain
mala ghumane pe woh nahi milta 
laxmi lagane pe woh nahi hilta
jhopadiyon mein phool ho khilta 
koi garib ke aankh mein milta 
wohi pita hai wohi maata
wohi hi sabka bhagyavidhata
aisa darshanhara sabka pyara kaun hai
ek hai raja ek bhikari kyun ek bhikari
ek achhoot aur ek pujari kyun ek pujari
yeh bhed paapi humne banaya hai
woh to sabhi man mein samaya
sabko ek pyar se sincha 
koi unch na koi nicha  
aisa ek saman samjhane wala kaun hai
Listen to marne wala hai bhagwan 
Lyrics-
shradha rakho jagat ke logon apne deenanath pe
laabh haani jeevan aur mrityu sabkuch uske haanth mein
marne wala hai bhagwaan bachane  wala hai bhagwan 
bal bhi banka na hota uska jiska rakshak dayanidhan
tyag do bhai phal ki asha swarth bina preet joro
kal kya hoga iski chinta jagatpita par chhodo 
kya honi hai kya unhoni sabka isko gyan
jal that aur aakash gagan par keval uski satta 
prabhu iccha ke bina yahan par ud na  sake ek patta 
usi ka socha yahan pe hota uski shakti mahan 
Listen to Jai jai narayana narayana hari hari 
Listen to Jai Raghunandan jai Siyaram   
Lyrics-
Jai raghunandan jai siyaram 
Hey dukhbhanjan tumhe pranam
Bhanti bhanti ke hey parmeshwar neh tumhi sikhlate 
Nar nari mein prem ki jyoti jag mein tumhi jalate 
Oh naiya ke khevan hare japoo main tumharo naam
Tum ho daya ke sagar prabhu ji tum hi paalanhare 
Chain tumhi se paye bekal manwaa saanjh sakare 
Jo bhi tumhari aas lagaye bane usi ke kaam  
Listen to jaise suraj ki garmi se 
Lyrics- 
Jaise suraj ki garmi se 
jalte hue tan ko
mil jaaye taruvar ki chhaya
aisa hi sukh mere man ko mila hai 
main jab se sharan teri aaya mere ram
bhatka hua mera man tha
koi mil na raha tha sahara
lehron se behti hui naav ko 
jaise mil na raha ho kinara
is dagmagati hui naav ko jaise 
tune dikhaya kinara 
aisa hi sukh mere man ko ...
jis rah ki manzil tera milan ho 
uspar kadam main badhaun 
phoolon mein kaanton mein 
patjhad baharon mein 
main na kabhi dagmagaoon 
paani ke pyase ko taqdeer ne jaise 
ji bhar ke amrit pilaya 
aisa hi sukh mere man ko ...
Listen to Dukh haro Dwarika nath  
Lyrics-
Tum kahan chupe bhagwan karo mat deri
Dukh haro Dwarika nath sharan main teri
yehi suna hai deenbandhu tum sabka dukh har lete 
Jo nirash hain unki jholi asha se bhar dete 
Agar sudama hota main to daud dwarika aata
Paanv aansuon se dho kar main man ki pyas bujhata 
Tum bano nahi anjan suno bhagwaan karo mat deri 
Jo bhi sharan tumahri aata unko dheer bandhate 
nahi dubane dete daata naiya paar lagate 
Tum na sunoge to main kisko apni vyatha sunaao
Dwar tumhara chhod ke bhagwan aur kahan main jaaon
Prabhu kab se raha pukar main tere dwar karo mat deri