बुधवार, 26 अक्तूबर 2011

Ab yaha koi nahi apna paraya bhi nahi...



Ab yahan koi nahi, apna paraya bhi nahi,
Humne ye soch ke mahfil ko sazaya bhi nahi..

Gham ne eak bhid se bhi dhoondh nikala humko,
Humne to apna hi pata khud bataya bhi nahi..

Hal-e-dil jaan gaye kaise jamaane wale,
Usne poocha bhi nahi, humne sunaya bhi nahi..

Humne patjhad ko bhi samjha hai baharen lekin,
Tumko is dard ka ahsaas dilaya bhi nahi..

Ab yaha koi nahi apna paraya bhi nahi...
Share: