गुरुवार, 20 अक्तूबर 2011

Chahat des se aane wale..



Chahat des se aane wale,
ye to bata ke sanam kaise hain,
Dil walon ki kya haalat hai,
pyar ke mousam kaise hain..

kya ab bhi koi baton baton me,
rota hai has deta hai,
us raah ki khushiyan kaisee hain,
un galiyon ke gam kaise hain..

jugnu shabnam taare bankar,
mere aansun dhoodh rahe hain,
aane wale tu hi bata de,
mere humdam kaise hain..

Chahat des se aane wale,
ye to bata ke sanam kaise hain....
Share: